EUR/USD
Assalam Aalikum!
Iftetahi aur Asian tejarati session ne euro/dollar ki jodi me koi tabdili nahin ki. Filhal, qimat 1.1930-1.1915 ki himayat ke ilaqe me khadi hai. Pichle hafte, 1.1945-55 aur 1.1980-90 ki satah ke zariye tashkil shuda muzahmati zone ne ek bar fir apni ahmiyat ka muzahra kiya aur qimat ko mazid badhne se rok diya. Khas taur par, qimat 1.1980-90 ki satah tak pahunchne me nakam rahi.
Is ka matlab yah hai keh farokht karne wale aur kharidar dono ab kam se kam nuqsan ke sath apne positions ko band karne ke mauqe ke muntazar hain.
Sath hi, qimat abhi bhi 1.1930-1.1915 ke support area ko todne nakam hai. Asian session me, lagta hai keh market participants ne jodi ki mazid naqal o harkat ki zimmedari European session me muntaqil karne ka faisla kiya hai. Lehaza, ham sirf itna kar sakte hain keh ise shuru hone ka intezar karen.
Jahan tak satah ki bat hai, yah pata chalta hai keh jodi ki namo muzahmati zone ke zariye 1.1945-1.1990 tak mahdud hai. Agar qimat aakhri nishan ko tod deti hai to, quotes 1.2035-50 aur 1.2090-1.2100 tak badhne ka imkan hai. Niche se qayam 1.1930-1.1915 ka support zpne hai. Iske mutabiq, agar qimat is se aage nikal jati hai to, ummid hai keh euro/dollar jodi 1.1882-1.1860 tka fisal jayegi. Is surat me, jodi ki kami ka agla hadaf range ki nichli hadd, yani 1.1845, aur fir 1.1820-1.1795 ka raqba hoga.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим