XAU/USD
Aaj XAU/USD market mein volatility dekhne ko milegi jab US Unemployment rate aur Philly Fed Manufacturing data release hoga. Is waqt ke dauran price bounce kar ke resistance zone 2592 cross kar sakti hai. Agar Philly Fed Manufacturing Index aur employment rate ke data expectations se better aayein, toh yeh US dollar ko strong kar sakta hai kyun ke yeh economic resilience ka signal hoga. Agar data weak aaye, toh US dollar mein sell-off ho sakta hai aur traders safe-haven currencies ya assets, jaise ke gold, mein shift kar sakte hain.
Isi tarah, Existing Home Sales rate bhi housing aur construction sectors par asar daal sakti hai, jo real estate, home improvement ya mortgage lenders se related stocks ko move kar sakti hai. In sab data points ka aapas mein taluq samajhna zaroori hai taake aap ek acha trading strategy bana sakein.
US Crude Oil Inventories ka decline bhi dekhna zaroori hai, kyun ke yeh oil prices mein izafa kar sakta hai, jo inflation ko barhawa de sakta hai aur economic growth ko slow kar sakta hai. Aise halaat mein traders apni positions ko hedge kar sakte hain ya apni portfolios adjust kar sakte hain taake oil prices ki badhti volatility ko madde nazar rakha ja sake. Khaaskar commodity traders ko oil price movements par nazar rakhni chahiye, kyun ke yeh sirf energy stocks par nahi, balki broader equity indices aur currency pairs, jaise ke USD/CAD, ko bhi affect kar sakti hain, jo Canada ke oil export status ki wajah se oil prices se mutasir hoti hain.
Aaj XAU/USD market buyers ke haq mein rehne ka imkaan hai, aur yeh jaldi ya der se agla resistance zone 2585 cross kar sakti hai. Koshish karein ke US Unemployment rate aur Existing Home Sales data ke dauran ek fundamental strategy ka istemal karein.
Stay blessed and Stay safe. Keep Calm!

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим