Imp:Apnay tax return mein forex income koo kis tarah show karain
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Imp:Apnay tax return mein forex income koo kis tarah show karain
    Salam Dostoon,
    Mera ack important question hai, mein kuch arsai sai forex trading ker raha hoon or aub is level per pohach giya hoo, jis sai mujay umeed hai kai mein forex sai achi income ker sakta hoo. Mujay app logoon kee advice chanyia tax return mein apni forex income koo kis tarha show kia jayia or iss income per kitna tax daina hoo gaa, mai janta hoon booth saray log forex income ko tax mein show nahi kertai lakin gusartay wakt kai saath pakistan kai rules sukth hotay jaa rahia hain or is income koo zahir kerna meri nazar mein booth saroori hai. Lihaza ager iss forum mein iss mamlay koo bhee discuss kia jayia tou meray kial sai iss kaa faida sub koo hoo gaa.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Imp:Apnay tax return mein forex income koo kis tarah show karain

    Dear khas kar Pakistan mai ap apna tax es sy nahi dy sakty hain. woh es leye kay yeh investment plan jo ap Forex main kar rahy hain statebank nay es ko register nahi kiya howa hai. tu ap es mai phir tax nahi dy sakty hain or na he Forex ap ko tax certificate dy raha hai kay ap es ko return kar sakain ya es ka tax jama kar sakain. yeh ghair mulki investment hoti ha jis waja sy ap ko es sy koi faida nahi hoga. ap just apni investment karain or us sy earning kar kay apni life style ko enjoy karain.

    اب آن لائن

    Working...
    X