Dosto, waisay to bohat saray trading sessions hotay hain, aur har session ka time alag hay, lakin teen sessions aisay hain jo mostly use kiay jatay hain, un may say aik session tokyo session kehlata hay, dosra london session aur teesra new york session kehlata hay, lakin in sessions k elawa bhi sessions hotay hain, jaisa k sydney session, Korean session, China session etc. isi waja say forex market 24 ghantay open rehti hay, kyo keh jab aik session khatam hota hay to dosra session start ho jata hay.
Sunday night ko jab market open hoti hay to asian session start hota hay, aur is asian session may china, korea, india, indonesia aur japan k sessions hotay hain, aur Pakistan k waqt k mutabiq yeh session raat ko 2:00 bajay say start hota hay, aur din k 1:00 khatam hota hay, is k baad london session start hota hay, aur yeh session sham ko 6 bjay tak chalta hay, lakin new york session 5 bajay start hota hay, is tara say 2 sessions aik sath chaltay hain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим