Margin Call kaisay ati hay?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Margin Call kaisay ati hay?
    Dosto, margin call aik aisi cheez hay jis ko koi bhi trader apnay real account may dekhna nahi chahta, to may ap ko yeh batana chahta ho keh is say bachnay k lye hum ko kia kia karna chahiyay, aur kia cheezo ko dhyan may rakhna chahiyay.

    Hum may say ziada tar traders margin, leverage, free margin aur margin level ko nahi samajhtay, is k lye zaroori hay keh traders is ko samjhain, lakin yaha par may sirf kaam ki cheezo ka zikar karo ga. Margin ka taaluq leverage say hota hay, jitna leverage ziada hoga utna margin kam hoga. Margin aik aisi amount hoti hay jo broker rakhta hay ap k account ki amount say, is ka matlab yeh hota hay keh jab ap ki equity us margin k barabar ki reh jaye gi to ap ka free margin zero ho jaye ga, aur agar ap ka free margin zero ho gaya to is ka matlab yeh hay keh ap mazeed koi trade khol nahi saktay.

    Margin level ka taluq bhi leverage say hota hay, lakin ziada tar brokers 30% par stop out kar daytay hain, aur 50% par margin call daytay hain. to jaisay hi ap ka margin level 50% par ata hay aur ap ka free margin negative may jata hay to phir neechay pink color ki patti si ban jati hay, is ka matlab yeh hay keh margin call agaya hay, aur agar market mazeed ap k against gai to broker ap k open trades automatically close kar day ga.
    Learn how to trade then trade in real market
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    G bilkul.margin call ko koi bhi real account main daikhna nahin chahta.mera free margin bhi ik dafa negative main aya tha but luckily market meri favour main aa gai or phir meri trades profit main aa gayen.us time say main zyaada risk nahin leeta.margin call say bachny kay liey zaroori hai kay hum zyaada trades open na rakhain.or apny balance kay 20% say zyaada risk na lain.
    • #3 Collapse

      Sorry, muje kud nai pata forex market me margin call kis tara aur kis time ati hai because maine 1 month pehly forex ko join kia hai. kia koi aur bata sakta hai.
      • #4 Collapse

        agar ap kay account main free margin end ho jaata hai to bhi trade chalti hai kush limit tak but ik poit par jab kay equity end ho jaati hai to broker all open trades ko loss main he close kar daita hai or is tarah loss bhi ho sakta hai.
        • #5 Collapse

          اصل پيغام ارسال کردہ از: forexmentor پيغام ديکھيے
          Dosto, margin call aik aisi cheez hay jis ko koi bhi trader apnay real account may dekhna nahi chahta, to may ap ko yeh batana chahta ho keh is say bachnay k lye hum ko kia kia karna chahiyay, aur kia cheezo ko dhyan may rakhna chahiyay.

          Hum may say ziada tar traders margin, leverage, free margin aur margin level ko nahi samajhtay, is k lye zaroori hay keh traders is ko samjhain, lakin yaha par may sirf kaam ki cheezo ka zikar karo ga. Margin ka taaluq leverage say hota hay, jitna leverage ziada hoga utna margin kam hoga. Margin aik aisi amount hoti hay jo broker rakhta hay ap k account ki amount say, is ka matlab yeh hota hay keh jab ap ki equity us margin k barabar ki reh jaye gi to ap ka free margin zero ho jaye ga, aur agar ap ka free margin zero ho gaya to is ka matlab yeh hay keh ap mazeed koi trade khol nahi saktay.

          Margin level ka taluq bhi leverage say hota hay, lakin ziada tar brokers 30% par stop out kar daytay hain, aur 50% par margin call daytay hain. to jaisay hi ap ka margin level 50% par ata hay aur ap ka free margin negative may jata hay to phir neechay pink color ki patti si ban jati hay, is ka matlab yeh hay keh margin call agaya hay, aur agar market mazeed ap k against gai to broker ap k open trades automatically close kar day ga.
          boss ap ne bhut achi post ji hai
          new comer ko is se bhut ziada faida ho ga
          r koi b margin call ko apny real account main dekhna pasend nahi kre ga
          • #6 Collapse

            aap ka loss r aap ka profit jo hai iss say he aap ko pata chalta ahi iss main aap ko apni eqitity ko chech karna hota hai r wahaan par he margin r free margin hota ahi
            • #7 Collapse

              Margin call say agar bachna ho to phir us k lye leverage ziada rakho, jitna leverage ziada hoga utna margin kam ho ga, aur agar margin kam ho ga to margin level ziada hoga, is lihaz say dekha jaye to leverage ka faida to hay.
               
              • #8 Collapse

                Bhai margin call aapko tabhi aati hai jab aapka account zero hone k bhot kareeb hota hai isme aapko pata chlta hai ki aapka jo account hai wo bhot negative ho gaya hai khuda na kare ki aisa kbhi kisi trader k sath ho acha hoga ki aap hamesha money management or risk management ko dhayan main rakh kar hi trade kare
                • #9 Collapse

                  agar ap kay bank account key cost-free borde conclude ho jaata hi to help bhi deal chalti hai kush control tak although ik poit par jab kay money concldue ho jaati hai to help brokerage many start trading ko burning key he / she in close proximity kra daita hai ro maybe is usually tarha brning bhi ho sakta hai.
                  • #10 Collapse

                    jab bhi trade hum open karty hain to free margin or jo margin trade main use ho rha hoota hai wo show ho jaata hai or agar hamara pass free margin negative ho jaye to equity ko daikhain.equity end hoony pay borker sari open trades ko loss main he cose kar daita hai or is tarah account khatam ho jaata hai.
                    • #11 Collapse

                      اصل پيغام ارسال کردہ از: forexmentor پيغام ديکھيے
                      Dosto, margin call aik aisi cheez hay jis ko koi bhi trader apnay real account may dekhna nahi chahta, to may ap ko yeh batana chahta ho keh is say bachnay k lye hum ko kia kia karna chahiyay, aur kia cheezo ko dhyan may rakhna chahiyay.

                      Hum may say ziada tar traders margin, leverage, free margin aur margin level ko nahi samajhtay, is k lye zaroori hay keh traders is ko samjhain, lakin yaha par may sirf kaam ki cheezo ka zikar karo ga. Margin ka taaluq leverage say hota hay, jitna leverage ziada hoga utna margin kam hoga. Margin aik aisi amount hoti hay jo broker rakhta hay ap k account ki amount say, is ka matlab yeh hota hay keh jab ap ki equity us margin k barabar ki reh jaye gi to ap ka free margin zero ho jaye ga, aur agar ap ka free margin zero ho gaya to is ka matlab yeh hay keh ap mazeed koi trade khol nahi saktay.

                      Margin level ka taluq bhi leverage say hota hay, lakin ziada tar brokers 30% par stop out kar daytay hain, aur 50% par margin call daytay hain. to jaisay hi ap ka margin level 50% par ata hay aur ap ka free margin negative may jata hay to phir neechay pink color ki patti si ban jati hay, is ka matlab yeh hay keh margin call agaya hay, aur agar market mazeed ap k against gai to broker ap k open trades automatically close kar day ga.
                      jab aap ka account bilkul khatam honay wala hota hai tu aap ko os waqt 1 red line show hoti hai jis main aap ko bataya hai jata hai k aap ka account khatam honay wala hai bas dua karain
                      • #12 Collapse

                        g bilkul theek kha aap ny. aysa hy k main ya hi khta hun k aap agr choty lot size sy trading kr rhy hian tab agr aap SL b use nai krty tab b aap k account ko kuch nuqsan nai hota but jab aap bara lot size use krty ho tb margen call aa hi jati hy
                        • #13 Collapse

                          jaab hum trading kar rahee hotee hain aur hamaree order kee against mein agar hamara balance kaam hoo aur market hamaree order kee against mein move hoo rahi hoo too phir hamein margin call milti hai aur yeh margin call aksar aap kee pure account koo bhi aksar finish kar deti hai
                           
                          • #14 Collapse

                            Margin call jaab ati hai jaab aap kee account mein balance bohat kaam hota hai aur aur aap kee order kee against mein market move hoo rahi hoti hia esse condition mein thora deposit kar lena chaiyee taqein account kaa sara balance finish naa hoo jayee
                               
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Margin call os waqt hoti he jab ap trade lagain magr stop loss use na karin or trade musulsul loss me ja rahe ho or loss ap k capital k pass ponch jay tab margin call ati he, or os waqt ap ka sara account wash ho jata he.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X