Apnay Analysis main USD index ko Zaroor Shamil rakhain
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Apnay Analysis main USD index ko Zaroor Shamil rakhain
    Asslam O Alaikum Dosto Aap log Apnay analysis main usd index ko har hal main Shamil rakhaa karain is par buhaat kuch Depend kartaa hai Dosray lafzoun main Kaheen tou USD index ka USD crosses,Oil,or metals k Sath Co relation hai,main isay Apnay Analysis main Shamil rakhtaa hon main EUR/USD Trade karnay k liye Bhi isay Apnay Analysis main top Par Rakhtaa hon or Gold main bhi,Aap logoun main Say jo jo USD index ko Apnay Analysis main Shamil Rakhtaa hai wo yahan is k orr Fawaid byaan Karay
     
    Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    jee bilkul ap thek hain analysis men index ko zroor shamil rakhhna hai and shart ye hai forex trading k liye k aap ko khud pe believe krna hai takay apki trade easily hojaye and work confidentally
    • #3 Collapse

      اصل پيغام ارسال کردہ از: virgo123 پيغام ديکھيے
      jee bilkul ap thek hain analysis men index ko zroor shamil rakhhna hai and shart ye hai forex trading k liye k aap ko khud pe believe krna hai takay apki trade easily hojaye and work confidentally
      Bhai I Think k eek Trader ko Apnay analysis main USD index Ko Shamil Rakhnay Say Buhaat zyada Asani ho jati hai,or Main Samajhtaa hon k Eek Acha trader hameshaa nai nai chezain Sekhnay ki Koshish main laga rehtaa hai,forex Trading Asaan nahin hai Magar insaan niyaat bandh lay Tou Sab Easy ho jataa hai,yakenaan Trader k pass Trading skills Time K Sath he atay hain
         
      Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
      • #4 Collapse

        Jee bilkul ap thek hain analysis men index ko zroor shamil rakhhna hai and shart ye hai forex trading k liye k aap ko khud pe believe krna hai takay apki trade easily hojaye and work confidentally
        • #5 Collapse

          Thanks for advice. Main jb real account main work karun ga to usd index ko apny analyziz main shamil karun or is ka experience b hasil karun ga.
          • #6 Collapse

            اصل پيغام ارسال کردہ از: hunain 125
            I think k aisa kiya ja sakta hai but time consuming lagta hai. Waisa mehnat se he aisa hoga. ghar bethe paisa kmane ka behtareen zariya hai

            Bro Time consuming Tou sab Kuch hotaa hai Forex Trading Koi Taweez tou hai nahin jo Ghol K pi liyaa jaye orr Aa jyee gaa,i m sure K Abhi tak Aap Ko USD index Ka pataa he nahin hai,jan'nay Ki Koshish Karain

            اصل پيغام ارسال کردہ از: Rapperfz
            hn g ku nai apny bht acha maswara dia hy dear jo b ata hy is may karta hy start b may b isi sy lya jata hy or isy h profit b kamal hota hy dear or loss b kamal hota hy jahan tak bat hy apni kam pay depend hy jitny mehnat ho jis pay ho
            or aagar Aap Forex Ko Sekhnay Binaa he Karain gy Tou phr Double kamal ho ga balkay Ain Mumkin hai K loss Ka baad Aap Dhamal bhi Dalain or Kahain K Kamaal ho Gyaa,Bhai Agar Aap ko USD index ka nahin pataa Tou Aap pataa Karnay ki koshish Karain is tarah batain Karnay Say Tou Kamal nahin ho Ga

            اصل پيغام ارسال کردہ از: ILOVEYOU
            Dear brother Thanks for advice.I think k aisa kiya ja sakta hai but time consuming lagta hai. Waisa mehnat se he aisa hoga. ghar bethe paisa kmane ka behtareen zariya hai...........
            Ap nay opar walay user Ki post Ko copy Kar k jan churai hai,Is tarah Ap Kabhi Bhi Forex ko nahin Sekh sako Gy,behtar hai K forex ki Taleem walay Section Main zyada sy Zyada Time Dou
               
            Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
            • #7 Collapse

              اصل پيغام ارسال کردہ از: moon1
              thank you main is chez pe hmesha dehan doun ga.lekin kia usd k kesi b pair pe jis mein k usd shamil ho hum usy shamil kr salty ahin ,jesa k ap ny kaha k euro/ude to kai usd to aud ko b shamil kia ja sakta hai,???:p

              USD index USD Waly Saray Major or Crosses Say bantaa hai is Ko Sahi Say Analysis Karnay Say Aap ko USD Ki Economy ka Sahi Pataa Chal Jataa hai,matlaab Aap ye Samajh lain k ye USD Ka Murabaa hai,ye Agar Down hotaaa hai i Mean bearish hotaa hai Tou Gold,or USD Walay Saray Pairs par asar partaa hai simply Aap Indicies Main ja kar is Ka Ek Alag Chart open Karo or Time Frame Rakho H4 Trend Check karo or phr Thoray kam Time Frame M30 ya H1 par USD index Ki movement Check Karo Agar ye Giray gaa Tou Gold Opar jaye gaa or Wo Sab currencies jo USD K Sath hain,Like NZD,Cad,GBP jis jis Currency k sath USD hai un Sab par Asar partaa hai.
                 
              Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
              • #8 Collapse

                mein usd ko nehi dekhti hun mein sirf baki currency pairs per trade kerti hun or yeh zeroori nehi k usd index ko dekhay baghir hum trade nehi ker sktay hein, ager hum ko trading ati hey to hum kisi bhi pair mein achi trading ker sktay hein or khub kemaa sktay hein.
                • #9 Collapse

                  han ji main samjhta hoon ke forex trading ke business main usd ki bhi important hai kyoun ke ye currency bht sare pair main bhi shamil hai aur sab se zayda news bhi usd ki ati hain aur is ke ilawa metals main bhi usd ki bht ahim rule play karta hai specially gold ki market main usd ka bht ahim rule hai
                  • #10 Collapse

                    bilkul ager ham in chezo ko analysis kare aur in ka hame experince ho jai to phr hame boht asani hogi trade main aur ham apne expereince se phr earn b kar lege.
                    • #11 Collapse

                      shukya bahi aap nai aik achi baat ki aor may sub ko yehi kahu ge k apni index may is cheez ko must shamil karen is ko bohot ziada faida hai is say apki trade 100% profit may chali jati hai
                      • #12 Collapse

                        well aap kh to theek rhy hain humian is ko apny analysis main shamil rakhna chahiy kiun k ya main currency hy or tamam markeet ka lain dain isi currency main hi hota hy
                        • #13 Collapse

                          g dear ap ki bat sahi ha mere khayal ma jitni bi curriencies hen un ko usd k sath pair zarur hen our usd ki price se hi hamen pata chalta ha market k trend ka.
                          • #14 Collapse

                            yes humain apnay analysis main usd index ko lazmi add kerna chahiay kiu kay usd ki waja say hi market up down hoti ai chahay wo kisi bhi pair ki kiu na ho sari market usi kay negative ghoomti hai is liay is cheez ko bhi hamesha note rakhna chahiay
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              g ager humare pass tarding ka achi experince hein or ap demo ko use kya hein to ap ko tarding mein achi proft ho gy or ap apny marze se proft hasly kar sakt ho oe gab cheny os ko wither kar sakt hein or apny zarore ko poore kar sakty hein on piseo se forex her ek ko os se ka mahnt ka slein denty hein.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X