Dosto, jab ap log news par trading karna chahtay ho to yeh bhe dekh lya karo k market par asal may pressure kis cheez ka hay? bull ka ya bear ka? aur jo news expected hay us ki idhar udhar say sun gun zaroor lay lain, ta keh ap ko idea ho jaye keh data ziada acha aye ga ya phir bura, sath may news ki history bhe check kar lain, aur news ka SMQ bhe check kar lain, ta keh pata chal jaye keh expected impact kia ho sakta hay, graph ki madad say bhe ap ko pata chal jaye ga keh us news ka sabqa impact kia hua tha. Fundamental analysis itna asaan nahi hay jitna asaan log samajhtay hain, kuch log yeh samajhtay hain k bus pending orders laga lo aik buy aur dosra sell ka, market spike may ya bounce may hit ho jaye ga, lakin aisa sirf gambler kartay hain, analyst nahi, to ap ko achi tarha say analysis karna hoga ta keh ap faida utha sakain, aur jo bhe trade lagain wo news k issuance say kam say kam 10 minutes pahlay lagain, aur dosri cheez yeh hay k lazmi stop loss lagain.
Aik aur cheez hay jo dekhnay ki hay, wo yeh hay keh baaz dafa teen high impact ki news ajati hain, jin may say do positive aur aik negative nikalti hay, to aisi sorat may market ya to shru may bounce marti hay, ya phir pahlay spike marti hay aur phir speedy retrace karti hay, is cheez ko bhe nazar may rakhain, keh market may jo bounce hota hay wo kis tarha say hota hay, baaz dafa aisa bhe hota hay keh 2 big impact ki news positive ati hain aur aik negative lakin negative ka impact positive par sabqat lay jata hay.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим