Dosto, may ap ko aik cheez ka batana chahta ho, jis ka name hay USDX, yeh ap ko indices may milay ga, yeh asal may dollar ka index hay, aur sari currencies ka average nikal k USDX banta hay, sari currencies ka matlab yeh keh aik USD bamuqabla dosri currency, phir teesri currency phir mazeed currencies, in may Euro main role ada karta hay, yani jab bhi currencies ki value USD k muqablay may ziada hoti hay to index girta hay, aur jab USD strengthen hota hay to index up hota hay, yeh to ho gaya is ka taruf, keh yeh kaha par milta hay aur hay kia?
Agar ap is ko apnay charts may shamil kar lain to ap ko bohat had tak keh USD ki movement ka pata chalta rehta hay, aur ap is ki agar analysis kar lain to ap ko andaza ho jaye ga keh USD k dosray pairs kaha tak ja saktay hain, is indices ka bohat strong co-relation hay USD crosses k sath aur sab say major currency Eur/usd k sath. To meri mashwara ap logo ko yehi hoga keh agar ap log Eur/usd par trade kar rahay ho to USDX ko bhi sath may observe karo.
Koi sawal, ya related comments are welcome.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим