Dosto may ap logo ko yeh batana chahta ho keh jab koi news issue hoti hay to us k kitni kisam k impact ho saktay hain, jaisa k misal k tor par kal 07th February ko (Non Farm Payroll) NFP ki news issue hui thi, jo k high impact ki thi, yani us ka asar bohat ziada hota hay market par. Pahlay may ap ko thori details bata do keh impact kitni kisam k hotay hain, impact teen kisam k hotay hain, aik High, dosra medium aur teesra low. Yeh to impact ho gaye, ab market par asar kitni kisam k partay hain, yeh ap ko batana chahta ho.
Jab news issue hoti hay to market par high impact ki news par hota kia hay? yeh depend karta hay news par, khas tor par NFP news ka, is may teen kisam k impact ho saktay hain,
Sudden spike: Is may market apni mojuda position say aik second say bhe kam time may 50 say 100 pips ka fasla tay kar layti hay, aur agar darmyan may koi pending order ho to us ko bhe ghaseet kar agay lay jati hay, aur agar ap nay stop loss lagaya hua ho to bhi us ka koi khas faida nahi hota, kyo keh market end par jaha par aik lamhay k lye rukti hay whi par stop loss hit hota hay. Aur agar stop loss na ho to account blow up aur balance negative, jis ki waja say ap ki investment say ziada ka loss ho jata hay.
Bubble Impact: Yeh impact aisa hota hay keh market aik big move layti hay aur thori dair ki movement, jo k 15 minutes say 20 minutes tak k ho sakta hay, us k baad market normal ho jati hay aur phir reverse honay lagti hay. Aur taqreeban aik say 2 ghantay k baad apni purani position par ajati hay aur apnay trend ko continue karti hay.
Bounce back: Yeh impact aisa hota hay keh market pahlay fall karti hay ya phir rise karti hay, aur within five minutes market against chali jati hay, yeh jo bounce wala impact hay yeh sab say khatarnak hay, kyo keh is may aksar logo k stop loss hit hotay hain, aur us k baad market wapisi ki taraf chal parti hay.
Yeh jo may nay impacts k name diyay hain, yeh koi official name nahi hain, yeh meray apnay banaye huay name hain, ta keh ap log samah jaye.
Is k elawa medium impact may ziada tar bubble impact hota hay, aur low impact may market mushkil say 10 pips fluctuate karti hay, lakin yaad rahay, jo spike aur bounce back impact hota hay yeh baaz dafa trend change kar dayta hay.
Dosto, yeh analysis Fundamental analysis may shumar hoti hay, to jo log fundamental anlaysis may interested hain un k bohat kaam aye gi.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим