Cross hair ka kia kaam hay?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Cross hair ka kia kaam hay?
    Dosto kia ap may say koi yeh bata sakta hay k meta trader may aik option hay cross hair ka, wo kia kaam karta hay? may us ki picture yaha par upload kar dayta ho, ap log koshish kar lo, phir may batata ho keh yeh kia hay aur kis kaam ata hay.

    Click image for larger version

Name:	cross hair.JPG
Views:	1
Size:	56.7 کلوبائٹ
ID:	12461331

    Dosto related comment karna, may ap ko isi thread may edit kar k batao ga keh is ka kaam kia hay aur yeh use kaisay hota hay.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    main nay Cross hair Apply Kar k dekhaa hai... Sir main nay note kiya k Cross hair Say Aap kisi bhi Candle ki Recent high low jaan Saktay hain... is k ilawaa Aap rehnumai Karain K is Ka kya Maqsaad hai
     
    Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
    • #3 Collapse

      sahi kaha apny yeh wakai achi cheez share ki hai humayn cross hair k pehly pata nhe tha but iss thread ki madad sy pata chal gaya hai aur meray khayal sy iss tarha traders ko chhoti chhoti points share krnay chahyn takay unhayn bhi trading main mojod terms ka pata chalta rhay aur trade k doran trading main assani rhay.
      • #4 Collapse

        mujhy cross hair ky bery me etna nahi peta hy me abhi new ho or me work kern saikh reha ho or mujhy abhi buht kuch sikhna hy
        • #5 Collapse

          main forex main abhi new hn main ny kbhi cross hair ka nhi suna pr aj main es stratgy ka main aj apne teacher sy zror bat krn ga
          • #6 Collapse

            Cross hair ya anchor bohat useful tool hota hai iss se ap ek hi nazr main ek bar main charoon taraf k levels to check krsakte hain. Mean agar ap indicators ki kisi point par maloom krna hoke k iski candle kesi thi chart pe to app is tool ko use krke uski vertical line se candles ko dekh sakte hain. Ziada understanding jab hogi jab ap khud se isse use krenge.
            • #7 Collapse

              bhai mujay bi cross hair kay baray main itna hi pata ha kay iss ko apply kar kay app candle ki recent up and down movement kay baray main jan saktay hain app mahzeed detail se samja dain tu sab ko faida ho jahay ga
              • #8 Collapse

                bhai mene cross hair ke bare me pehli baar suna hai mujhe kuch khaas nahi maloom hai iske bare me kiun ke abhi recently he me ne is business me qadam rakha hai or isko learn kar raha hun abhi is lye mujhe itni ziada cross hairs ke bare me koi knowledge nahi hai .
                • #9 Collapse

                  اصل پيغام ارسال کردہ از: maan401 پيغام ديکھيے
                  bhai mujay bi cross hair kay baray main itna hi pata ha kay iss ko apply kar kay app candle ki recent up and down movement kay baray main jan saktay hain app mahzeed detail se samja dain tu sab ko faida ho jahay ga
                  Brother, jo baat ap keh rahay ho wo to ap waisay bhe maloom kar saktay ho, jaisa keh data window ko open kar k, dosra jis candle ka maloom karna ho us par mouse ko hover karo, aur us ki details ajaye gi, kitna high, kitna low, opening price, close price, date and day, sab kuch ajata hay. Sirf mouse hover karnay say.
                     
                  • #10 Collapse

                    cross hair ka itna nahi pata ha our na hy trading karty hovy is ko use kya ha abdullah bahi na phoucha ha to ya aik information hoty ha jo ap ko ap ke information se zayda provide ke gy hoty ha jis se ap trading me help bh lay sakty ho
                    • #11 Collapse

                      yar muj as ka bar ma aysa lagta ha kah agar ahm as ko join kar ka bara ma hmy bohot achi sa kam karna ka bar kah sakta ho as ko ahmy aysa kuch karna hota ha yha.
                      • #12 Collapse

                        ji cross hair bohat importance rakhta hai kyo ke ap jb kisi bi pair ko measure krte ho ya kisi bi candle ka size compare krte ho ke market kitne pips bullish rahi hai ya bearish rahi hai tu cross hair ka hi use hota hai, aur ap isko order place krte waqt bi use krte ho ya phr take profit aur stop loss place krne ke lye, for example agr ap abi ki jo price hai us se 100 pips upar apna take profit rakhna chah rahe ho tu ap cross hair use kro ge jo ke ap ko yeh batai ga ke 100 pips kaha tk hote hai ya phr stop loss lagate wakt use hota hai
                        • #13 Collapse

                          Cross hair see hum usually pips koo count karne kee liyee use kartee hain aur yeh hamein Meta trader4 mein options mein mil jata hai aur uss per click kar kee hum PIPS koo count kar letee hain
                          • #14 Collapse

                            Is may aik cheez aur bhe add karna chaho ga may keh jab ap apnay mouse ka center button ya phir wheel ko press karo gay to yeh crosshair kaam karna shru kar day ga, yani agar ap ja kar cross hair ko click na bhe karo to yeh short cut hay jo ap k mouse ka thrid button hay.
                               
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              crosshair apko pips ko up/down calculation karny me madad deta hai. Misaal kay tor par aap aik higher point se aik lower points tak ye dekhna chahty hain kay market ne in points kay darmyan kitna fluctuate kia hai tu wo aap crosshair ki madad se dekhty hain, mazeed ye ka cross hair aapko batata hai kay is high or low kay darmaayan kitni candles banti hai or high se low ka us wakt kia rate tha.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X