Dosto, meta trader may aik option hay, jisay hum data window kehtay hain, kia koi yeh bata sakta hay k wo hay kia? aur kis kaam ati hay? :D , meray khayal may bohat kam logo ko pata hoga is baray may, chalain may ap ko batata ho keh data window akhir hay kia? aur is ka kaam kia hay?
Data window, jaisa keh ap name say bhi pehchan saktay ho keh aik aisi window hay jis may data show ho raha hota hay, yeh ap ko ap ki tool bar may available hota hay, jaisa keh is picture may circle kia hua hay may nay. is ko press karo gay to aik window ap ki charts k barabar may khul jaye gi, jaisa keh is picture may dikhaya gaya hay.
Is picture may ap dekh saktay hain k aik data window mojud hay, is ka kaam yeh hota hay keh yeh ap k us chart ki maloomat day gi jo ap nay select kia hota hay, jaisa keh is data window may show ho raha hay keh Eur/usd ki information a rahi hay, is may ap ko daily high, low, open aur close bhi pata chal raha hay, aur sath may jitnay indicators is chart par lagay huay hain wo bhi aur jo signals wo indicator day rahay hain wo bhi nazar ata hay, aik acha tool hay, use kijay ga apni trading may, aur dosri baat yeh keh agar ksi dosray chart ka data dekhna ho to ap sirf us chart ka tab click karo aur data window us ka data show karna shru kar day ga.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим