Step by step guide (How to start Forex Trading from scratch)

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Step by step guide (How to start Forex Trading from scratch)
    Dosto, meri yeh thread kuch ziada lambi hogi, lakin mujhay umeed hay k har serious leaner is ko zaroor pora parhay ga, may apni taraf say koshish karo ga k koi step choot na jaye.

    Ap ko agar acha forex trader banna hay to is k lye ap ko shru say chalna hoga, is may ap ko forex ki theory pahlay say parhni hay, jaisa keh forex hay kia, forex kab shru hua, kuch history wagaira, aur usi may yeh bhi dekh lain k forex haram hay ya halal :) .

    Yeh sab maloom karnay k baad ap nay ab mazeed karna kia hay? ap nay seekhna hay keh meta trader kia hota hay, forex trading hoti kaisay hay, ap buy ya sell kartay ho to wo kaisay kartay ho, market k ups aur downs say ap ko kia hasil hota hay, spread kia hota hay, commission kia hota hay, pips kia hotay hain, capital kia hota hay, aur phir margin, margin level, free margin, equity, leverage wagaira aur demo account kaisay banaya jaye ko learn karain achi tarha say, lakin pahlay sirf theory, koi practical nahi, is may he ap ko acha kahasa time lag jaye ga, ho sakta hay k aik month lagay ya do months.

    Us k baad ap nay ksi bhi broker ki website say meta trader ko download karna hay aur phir dekhna hay keh meta trader may options kia kya hain, yeh sirf observation k lye, is k lye demo account banana zaroori nahi hay, kuch cheezain dekhnay k lye account ka live hona zaroori hay to ap demo accounts bana saktay ho, is kaam k lye instaforex best hay, ap us par account bana lo, aur jo kuch parha hay us ko observe karo. Us k baad jab ap meta trader ko achi tarha say jaan jao gay, jaisa keh order window kia hoti hay, charts kia hotay hain, charts kitni kisam k hotay hain, lines kia kaam karti hain, indicators kia hotay hain, templates kia hotay hain, aur profile kis tarha banti hay. Yeh sab ap practically dekh kar phir dobara theory ki taraf ao gay.

    Ab next step may ap strategies ko seekho gay, log kis tarha say strategy bantay hain wo dekho gay, apni khud ki strategy kis tarha say banana hay wo dekho gay, is k lye ap naked chart, indicators, hedging wagaira ko sekho gay, aur isi doran ap ko scalping, short term, long term, medium term, intraday, swing wagaira ka pata chalay ga, isi may ap time frames ka sahi use seekho gay. Strategies ko seekhnay k baad ap demo par practical karnay k kabil ho jao gay. Ab ap ka practice duration start hoga jo k teen months say lay kar teen saal tak chal sakta hay. Is may ap trading karna seekho gay, lakin yaad rahay, yeh ap ki learning ka end nahi hay, is say agay bhi bohat kuch hay.

    Ab jab keh ap trading karna thora bohat seekh jao gay to phir ap dosto say aur traders say discussion bhi karo gay, kuch capital bhi jama karo gay, aur yaqeenan forex market may lagao gay bhe, aur phir loss uthao gay, kyo keh ap ko analysis to ata he nahi hay, ap market ko samjho gay kaisay? Yaha say thora twist aye ga, ya to ap signals provider ko talash karo gay, ya phir ap ksi aisay banday ko talash karo gay jo ap ko aik acha sa expert adviser day ya phir ap ko automatic indicator day aur wo bhi bilkul free, hay na? :cool: , ya phir tang a kar socho gay keh analysis ko seekha kaisay jaye, us k lye ap ya to technical analysis seekho gay ya phir fundamental analysis, fundamental analysis chun keh news ki trading hay to is lye ziada asaan hay, jab keh technical analysis seekhnay may bhi ap ko kaafi time lag jaye ga, mazeed agay bohat kuch hay, lakin thread lambi hoti ja rahi hay, koi question ho to pochain, you are welcome.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Is thread may mazeed yeh cheez wazeh karna chaho ga keh emotion ka bohat kirdar hota hay forex trading may, aik new trader ko chahiyay keh wo is market say bohat ziada expectations na rakhay, kyo keh bohat ziada expectations he us k lye nuksaan ka bais banti hay, har trader yeh samajhta hay keh wo is market say million dollar kama lay ga, jab keh haqeeqat yeh hay keh million dollars kamanay may saalo lag jatay hain, jitni ziada expectations hongi is market say, utni he ziada nakaami k chances hongay, may yeh nahi keh raha keh ap expect na karo, may to yeh keh raha ho keh ap bohat ziada umeed mat lagao is market say, keh ap bohat jaldi ameer ban jao gay ya is market say bohat jald aik maqool income anay lagay gi.

    Yeh sab karnay say banda emotionally attach ho jata hay market say, lakin phir hota kia hay? yeh market itni easy to hay nahi jitni keh dikhti hay, jab ap apni taraf say pori koshish karo gay paisa bananay ki to us k lye shru may to ahtiat say kaam lo gay aur choti choti lots open karo gay, lakin phir jab dekho gay keh market ap ki favor may nahi ja rahi to yaqeenan big lots kholo gay, pahla maqsad to yeh hoga k pichla loss cover kar lo, dosra maqsad yeh hoga keh ziada say ziada kama lo, teesra maqsad yeh hoga k jald say jald trade kar k easy ho jao, to dosto yehi cheez emotion kehlati hay forex trading may. Market say revenge layna, aggressive trading karna, without analysis trading karna aur without stop loss trading karna. Yeh sab emotion may shamil hain.

    Emotion par control kaisay kia jaye? Yeh sawal to readers k zahen may hoga he. Right? bilkul right, agar ap log is cheez say bachna chahtay ho to may ap ko kuch tips dayna chahta ho, wo karo aur phir results say agah karna.

    Pahla kaam to yeh karo keh apna mind bana lo, wo is tarha say keh yeh jaldi rich bannay ki scheme nahi hay, dosra yeh hay keh jo amount bhi ap invest kar rahay ho ya bonus say kama rahay ho wo ap loss karnay ka hosla rakho gay, start may ap forex par bilkul bhe dependent nahi raho gay, pahlay learning karo gay aur phir earning karo gay.

    Dosra kaam yeh karo gay keh proper plan banao gay, jaisa keh kitni lot size kholna hay, market ko focus karna hay, capital k hisab say money management karna hay, risk ko janchna hay, munasib strategy banana hay, daily target ko set karna hay wagaira.

    Teesra kaam yeh karna hay keh agar loss ho jaye to foran say dosri trade nahi lagana hay, sirf wait karna hay munasib timing ka, baaz dafa new traders aik sath kafi trades khol laytay hain, aur unko yeh nahi pata hota keh aik sath ziada trades kholnay say kitna nuksaan ho sakta hay. Market agar against jati hay to emotional ho kar mazeed trades khol laytay hain, to yeh nuksaan dayta hay, umeed hay keh ap logo ki samajh may ajaye ga k kis tarha say emotion ap ko loss pohancha sakti hay.
       
    • #3 Collapse

      Fundamental aur technical analysis k hisab say ap logo ko agah karna chahta ho keh ap log yeh samajh lo keh fundamental analysis aur technical analysis aisi cheezain hain jo ap ki success may aham kirdar ada karti hain, Forex may yeh do he kisam ki analysis may nay dekhi hay, is k elawa agar koi aur ho to mujhay elm nahi hay. Filhal apnay newbie bhaio k lye mazeed batana chahta ho keh ap log kis tarha say fundamental analysis ko aur technical analysis ko kar saktay ho.

      Fundamental analysis: Dosto yeh analysis jaisa keh is ka gar urdu may tarjuma kia jaye to Bunyadi tajzia kehlata hay is may hota kia hay? ap ksi bhi country ki currency par jab bhi trade karna chahtay ho to us ki economy par bhe nazar rakhna zaroori hota hay, agar us country ki economy (maishat) mazboot hogi to wo currency bhe mazboot hogi, is analysis ko karnay k lye ap internet par search karain (Economical calenders) aur jo ap ko website milay ap us par chalay jao, aur phir dekho keh wha par ap ko kia mil raha hay, wo economical calender ko samajhnay k lye thora time lagay ga, phir bhi us k chand nukaat bata do yaha par further guidance k lye. Wha par ap ko news ki date milay gi, time milay ga, jis currency ki news hogi us ka flag ya country name milay ga, sath may impact indicator bhi hoga, keh is news par impact kia par sakta hay, yani agar news issue hui to market ziada fluctuate karay gi, darmyana karay gi, ya phir bohat kam karay gi, Is ko high, medium aur low volatility kehtay hain, teen colors hotay hain is k, aik red, dosra green aur teesra yellow. Is k elawa ap ko wha par us news ki history bhe milay gi, jis may ap yeh dekh saktay hain keh yeh news jab pahlay release hui the to use waqt kia data aya tha, is say ap ko yeh samajhnay may madad milay gi keh pichli news ka impact expected tha bhe keh nahi, yani wha par ap ko data may teen cheezay show hoti hain, aik previous data, dosra consensus, yeni expected aur teesra actual, yani jo actual issue hua hay. Yeh cheezain ap ko fundamental analysis may bohat help karain gi, agay mazeed bhe ap ko agah karta raho ga, warna post kuch ziada he lambi ho jaye gi. :)

      Technical Analysis: Yeh analysis bhe ap ko bohat help karti hay, is may ap ko market ki history say madad milti hay, is ki bohat sari branches hain, jaisa keh pin bars, chart patterns, channels, indicators, elliot wave etc. Thora mushkil hay fundamental k muqablay may, lakin agar is ko ap log samajh jao to phir bohat asani ho jaye gi ap logo ko trading karnay may aur market ko analyze karnay may. is ka mukhtasir yeh bata do keh ap 2 indicators ki madad say bhe technical analysis kar saktay ho, ap trend line ki madad say bhe analyze kar saktay ho, fibonacci tools say bhe, chart patterns, (wedges, triangles, harmonic, double top, double bottom, head and shoulder, inverse head and shoulder wagaira) in say bhe kar saktay ho, elliot wave ki madad say ap expected next wave ka pata kartay ho, yani pehlay ki teen waves ko dekh kar forth wave ka tayun karna, mujhay lag raha hay k bohat ziada ho gai, itna hazam nahi hoga, is lye post ko yahi par khatam kar dayta ho, lakin umeed yehi karta ho keh ap log learning zaroor karo gay.
         
      • #4 Collapse

        yes you are right meny apki pore thread read krli, first toh yeh kay physically demo practice se fhly humy theoretical kch forex k bary me learn krna chahey, oor sub se ehm bth k buhat se newbies enter toh hoty hy lakin tools ko use nahi krna janty so me msjta hun k wo kse mentor ya achy dost trader se on video call basic trade seekh ley toh usko further hudi asani hoge..
        • #5 Collapse

          boohat achi information aap nay share ki hai.main forex main one year say kaam kar raha hun or mt4 kay use tak main nay seekh lia hai or ab main analysis seekh rha hun or loss bhi ho chuka hai start main .ab thoori earning bhi ho jaati hai monthly.main aap say totally agree karta hun.
          • #6 Collapse

            yes dear i learn your all points and i get good knowledge and i am thankful that you share your good experience with all traders and i think if a newbie do learn here and then take a start to forex trading then he can become a good trader and can make good profit without any loss..
            • #7 Collapse

              newtrader ko chahye sb sy pehly demo account pr khoob practise karein or os k bad khoob knowldge hasil karein phir os k bad live account main enter ho jayein
              • #8 Collapse

                it is very useful information /or guide for the new users .thanks for sharing such information
                • #9 Collapse

                  sir mukjay apki ye posts parhtay huay bohot khushi ho ri hay kay ap nay itnay detail say bat share ki hay.sir mera aik sawal hay or wo ye hay kay kia ap hamain economical calendar ki koi aik specific web site bata saktay hen???please sir kindly web site bta den...
                  • #10 Collapse

                    اصل پيغام ارسال کردہ از: hbk پيغام ديکھيے
                    sir mukjay apki ye posts parhtay huay bohot khushi ho ri hay kay ap nay itnay detail say bat share ki hay.sir mera aik sawal hay or wo ye hay kay kia ap hamain economical calendar ki koi aik specific web site bata saktay hen???please sir kindly web site bta den...
                    Brother, may yaha par ksi third party ki website ka to nahi likh sakta aur na he url dal sakta ho, lakin ap google par jao, aur "forex factory" "FX street" aur "Forex ticket" k name ko search karo, jo websites aye gi to teeno ko dekho, aur teeno may difference aur similarity ko dekho, phir accuracy ko bhe dekho.
                       
                    • #11 Collapse

                      bhai main nay apka thread pora read kiya hay.mujay apka ya thread kafi acha laga hay.or is say har new anay walay trader ko trading main buhat madad mil sakty hay.mager jab trader is business main ata hay.to wo learning kay bajay earning per zayada dahan dayta hay.jis ki waja sy wo is business main apna loss ker bathta hay..
                      • #12 Collapse

                        dost aap ka thread bohat zabardast hai or bohat acha hai is se hum ko bohat achi help milti hai forex ko learn karne ki meri nazar me forex trading business aisa best business hai ke jis me bohat paisa hai or me chahta hun ke is ko jese aap ne bataya hai wese poori tarha se learn karun and then is me earnings kamaoun .
                        • #13 Collapse

                          sir ap mery kehail sy buht ersyy sy work ker rehy hy or ap ky pass konleg bhi acha hy jo ap etni achi bety sher kerty hy or hem ko in sub betwo sy buht fiedaa hota hy
                          • #14 Collapse

                            excellent thread brother ji han jo forex k barey main kuch nahi janty toh ye abdullah brother k jo thread hain full parhey apko sab saamj ajayegi forex k barey main ye newbie k liye best thread hain ..
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              it is most important thread in point of view learning forex. As we know that forex is highly profitable business as well as as risky so we joint it only after learning and praticing on demo account.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X