Step by step guide (How to start Forex Trading from scratch)

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #346 Collapse

    اصل پيغام ارسال کردہ از: abdullah2008 پيغام ديکھيے
    Dosto, meri yeh thread kuch ziada lambi hogi, lakin mujhay umeed hay k har serious leaner is ko zaroor pora parhay ga, may apni taraf say koshish karo ga k koi step choot na jaye.

    Ap ko agar acha forex trader banna hay to is k lye ap ko shru say chalna hoga, is may ap ko forex ki theory pahlay say parhni hay, jaisa keh forex hay kia, forex kab shru hua, kuch history wagaira, aur usi may yeh bhi dekh lain k forex haram hay ya halal :) .

    Yeh sab maloom karnay k baad ap nay ab mazeed karna kia hay? ap nay seekhna hay keh meta trader kia hota hay, forex trading hoti kaisay hay, ap buy ya sell kartay ho to wo kaisay kartay ho, market k ups aur downs say ap ko kia hasil hota hay, spread kia hota hay, commission kia hota hay, pips kia hotay hain, capital kia hota hay, aur phir margin, margin level, free margin, equity, leverage wagaira aur demo account kaisay banaya jaye ko learn karain achi tarha say, lakin pahlay sirf theory, koi practical nahi, is may he ap ko acha kahasa time lag jaye ga, ho sakta hay k aik month lagay ya do months.

    Us k baad ap nay ksi bhi broker ki website say meta trader ko download karna hay aur phir dekhna hay keh meta trader may options kia kya hain, yeh sirf observation k lye, is k lye demo account banana zaroori nahi hay, kuch cheezain dekhnay k lye account ka live hona zaroori hay to ap demo accounts bana saktay ho, is kaam k lye instaforex best hay, ap us par account bana lo, aur jo kuch parha hay us ko observe karo. Us k baad jab ap meta trader ko achi tarha say jaan jao gay, jaisa keh order window kia hoti hay, charts kia hotay hain, charts kitni kisam k hotay hain, lines kia kaam karti hain, indicators kia hotay hain, templates kia hotay hain, aur profile kis tarha banti hay. Yeh sab ap practically dekh kar phir dobara theory ki taraf ao gay.

    Ab next step may ap strategies ko seekho gay, log kis tarha say strategy bantay hain wo dekho gay, apni khud ki strategy kis tarha say banana hay wo dekho gay, is k lye ap naked chart, indicators, hedging wagaira ko sekho gay, aur isi doran ap ko scalping, short term, long term, medium term, intraday, swing wagaira ka pata chalay ga, isi may ap time frames ka sahi use seekho gay. Strategies ko seekhnay k baad ap demo par practical karnay k kabil ho jao gay. Ab ap ka practice duration start hoga jo k teen months say lay kar teen saal tak chal sakta hay. Is may ap trading karna seekho gay, lakin yaad rahay, yeh ap ki learning ka end nahi hay, is say agay bhi bohat kuch hay.

    Ab jab keh ap trading karna thora bohat seekh jao gay to phir ap dosto say aur traders say discussion bhi karo gay, kuch capital bhi jama karo gay, aur yaqeenan forex market may lagao gay bhe, aur phir loss uthao gay, kyo keh ap ko analysis to ata he nahi hay, ap market ko samjho gay kaisay? Yaha say thora twist aye ga, ya to ap signals provider ko talash karo gay, ya phir ap ksi aisay banday ko talash karo gay jo ap ko aik acha sa expert adviser day ya phir ap ko automatic indicator day aur wo bhi bilkul free, hay na? :cool: , ya phir tang a kar socho gay keh analysis ko seekha kaisay jaye, us k lye ap ya to technical analysis seekho gay ya phir fundamental analysis, fundamental analysis chun keh news ki trading hay to is lye ziada asaan hay, jab keh technical analysis seekhnay may bhi ap ko kaafi time lag jaye ga, mazeed agay bohat kuch hay, lakin thread lambi hoti ja rahi hay, koi question ho to pochain, you are welcome.
    sir ap ki mehrbani jo ap ny muj jaisy new joiner ko ye sb btya ha lakin sir me tou itna nai janta k ye halal ha ya hram ha aur me ye b pochna chahta hn k is ma me humy investment krna zorori hota ha k nai aur kia is ma koe tips etc. bhi mil jati ha ka nai jis sa humy ye pta chal sakay k price raise ho rahi ha ya low.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #347 Collapse

      Gud info. Some imp points to remember. 1) Learn indicators to get full confidence in ur trading. If you r not familiar with it, i will help u in this regard. 2) Focus on news
      NexisFinancials The only Pakistan based Brokerage House @ 0300-2131323
      • #348 Collapse

        wasay to har kam hi step by step hi hota ha lakin forex k bhi khas rule ha jo agr aap follow kr lain to aap ko is k bahtar natayaj mil saktay hain
        • #349 Collapse

          hello dear in my opinion we must need to do every work step by step my dear so do hard work more and more then you can get success if you want to direct jump there my dear so you must have to face a lot of problem my dear so do work step by step.
          • #350 Collapse

            is post per bohat achi infomatin share ho sakty hai ap kis kaam ko karnay ki irda kartay hai to ap is kaam ko setp by setp karna ho ga forex me trading karna chtay hai sub say phily ap ko regisration kar ho gai pher agar ap ka account aprove ho ga to ap is me login kar tay hai forex site per trading kartay is tara her kaam k lay kuch rules banay jaty hai
            • #351 Collapse

              bOhat hi achi post thi ap ki iss se humy bohat kuch sikhny ko mila hai. main bhi new hun iss forum main bhi and iss business main bhi tu iss se mujy kafi kuch pata chala hai aur trading account aur us ka use ka relate bhi achi information di hai ap ne.
              • #352 Collapse

                Shukrya bhai jan me forex me naya ho ap ki is malomaat se mujhe bohat information mili hai mera khial hai ke agr me aise hi ap ki information perhata rho to zaror achi tarah forex chalana seekh lo ga or hamesha faide me rho ga or eik intelligent insaan ban jao ga
                • #353 Collapse

                  Sab say phelay to ya kahu ga ap ka thread bohat acha ha aur is say hum jaisy new user ki bohat help hui ap is ko bohat achay triqay say bataya ha agar ap candlestick k baray ma b full detail say batay to humay kafi samj ajay ge kyu k forex ma kam karnay k liye candlestick ko samjnay ki bohat zarurat ha
                  • #354 Collapse

                    اصل پيغام ارسال کردہ از: Mehar پيغام ديکھيے
                    yes dear i learn your all points and i get good knowledge and i am thankful that you share your good experience with all traders and i think if a newbie do learn here and then take a start to forex trading then he can become a good trader and can make good profit without any loss..
                    yes bro..,i think sooo, it is good method to get new experience with share new posts and ideas friends share your ideas on forex trading and on my fb account ''innocent akash'' aur maray dosto forex trading is very suiteble and sencetive treading on work carefully and cheat your account with black list and band your account,
                    THANX
                    • #355 Collapse

                      boohat achi points aap nay share ki hai.main forex main one year say kaam kar raha hun or mt4 kay UTILIZE tak main nay seekh lia hai or maybe ab main analysis seekh rha hun or even loss bhi ho chuka hai beginning main .ab thoori earning bhi ho jaati hai monthly.main aap say completely agree karta hun.
                       
                      • #356 Collapse

                        Sab say phelay in order to ya kahu ga ap ka thread bohat acha ha aur will be say hum jaisy new person ki bohat help hui ap is usually ko bohat achay triqay say bataya ha agar ap candlestick k baray ma b full detail say batay for you to humay kafi samj ajay ge kyu k forex ma kam karnay k liye candlestick ko samjnay ki bohat zarurat ha
                           
                        • #357 Collapse

                          assalmu alaikum abdullah bhai great yar ap ki tamam thread boht hi kaaam ki hoti hai hame un me se kuch na kuch faida zror hota hai ap aik acha kaam kar rahe hai ALLAH pak APKO JAZA DENGE
                           
                          • #358 Collapse

                            thank you very much Abdullah is usually kisam k malomati sharing k lya, ma abi bilkul new hoon THE will be side mean trading ma ana chahta hoon, muja umeed ha ap agay b is actually tarah k share karooga jis therefore new traders like mara jaisoon ko faida ho jaye.
                             
                            • #359 Collapse

                              ABDULLAH BHAI ap ki koi website hai yar muje analysis me thora problem hai wo se seekhna hai bohat shukriya agr ap muje reply kare gay to ALLAH apko khush rakhe ameen bhai duao me yad rakhiye ga
                               
                              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                              • #360 Collapse

                                Dear apka boht boht shukriya k ap ne ham sab doston ko idea diya. Umeed hai k agy b hamesha esi tarha help karty rahengy. Ap ki thread se ham ko boht kuch seekny ko milta hai.

                                اب آن لائن

                                Working...
                                X