Requotes kia hotay hain? kis tarha say bacha jaye?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Requotes kia hotay hain? kis tarha say bacha jaye?
    Dosto, requotes kia hotay hain? requotes wo hotay hain jab ap running market may trade kholnay ki koshish kartay hain aur jo error samnay ata hay wo requote kehlata hay, aur aisa jab hota hay jab market tez chal rahi hoti hay, us may jab ap aik price par buy ya sell ka trade lagatay ho to wo sirf is lye nahi lagta kyo keh market ki price tezi say change ho rahi hoti hay.

    Ab is say bacha kaisay jaye? Do tareeqay hain is say bachnay k lye, aik to yeh hay keh ap pending orders ka use karain, wo requote nahi hotay, dosra yeh keh agar deviation ka use karain, jaisa keh is picture may mai nay black circle say wazeh kia hay.

    Click image for larger version

Name:	deviation order.JPG
Views:	1
Size:	50.0 کلوبائٹ
ID:	12461322

    Is picture may dekh kar deviation ko active karain aur neechay jo option active ho ga us may 3 ya 4 ko set kar lain, is tarha say ap ko requotes ka samna nahi hoga, lakin agar market bohat tez hui ya spike aya to pending order bhi kaam nahi karta aur execute nahi hota.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    aap nay sabhi threads main achi sharing ki hai.main kaafi time say trading kar rha hun or is requote say bachny kay liey pending orders use kar rha hun.aap nay jo dosra method share kia hai.ye bhi acha hai.
    • #3 Collapse

      Je haan apny kafi achi batain share ki hai jin ki madad sy main trading main pending order laga kr requotes sy bach sakta hoon, kyoonk main bhi trading kr rha hoon laikin mujhe iss ki samjh nhe arhe thi k akhir price buy kryn ya sell tu trading main distrb kyon ho jaty hain, so thanx for such fruitful sharing over this issue.
      • #4 Collapse

        Dosto samajhnay ki baat to yeh hay keh requotes atay he kyo hain? yeh atay isi waja say hain k market ki movement flow may ho rahi hoti hay aur is doran may agar ap ka order place hota hay to us ko place honay ki jagha nahi milti, kyo keh market us place say agay ya pechay move kar chuki hoti hay, jab keh pending order may order already hota hay to market usay hit karti hui chali jati hay.
           
        • #5 Collapse

          ji nhaan bhai jan mujhe requotes ke bare me pata hai jab market me movement fast bohat fast ho rahi ho to trade nahi lagti hai or aik cancle and ok ka option ata hai us ko requotes kehty hain us ke lye hum ko on click trading jo chart se milta hai us ke through trade lagani parti hai .
          • #6 Collapse

            Requotes ka error us wakt ata hai jab aap market ki intahai tez fluctuation me apna order lagany ya close karny ki koshish karty hain is se bachny ka tareeqa yehi hai kay agar ap ne apna pending order lagaya hoa hai tu apka order market bina kisi error kay exact rate pe pakar le gi or agar aap ne apny lagay hoay order ko Target of Stop Loss ya Take Profit Dia hota hai tu apka order bina kisi requote error kay close ho sakta hai. So, requote aik aisa error hai jis me aap apny order ka lagany ya close karny kay liay force karty hain.
            • #7 Collapse

              kafe thek information share ke hai app na umeed hai new trader ko aur jes ko requotes ka baray mai info nahi hia us ko es say kafe jada acha fida hasel hoga aur mai apne baat karo tu wasa mia jada tar pending order he use ker ta ho.
              • #8 Collapse

                Sir Demo par trading Kartay huye main ay Dekhaa hai K Deviation zyada help full Sabit hota hai jaisay buhaat Sari currencies Ko hum Dekhtay hain market main un Ki movement buhaat Tezi say ho Rahi hai tou Deviation Set karnay Say hammain Reqoutes Ka Samnaa nahin Karnaa partaa... Sir ye baat Mujhe pehlay Samajh nahin Ayi thi iss liye Reply Karnay Ki Koshish he nahin Ki... tamaaam Dostoun Say bhi Guzzaarish hai k Sawaal bhi Kiyaa Karain...Takay hammain or Sekhnay Ka Moukaa Milay
                Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
                • #9 Collapse

                  dear aagar aap ny trade open krnhi hen or aap ko pta hey k news any wali hey or then trade open nahi hogi to is say bachny k liay aap ko pending order laga dena cheahy otherwise is say nahi bacha jaa skta aap ke trade ruining market main open nahi ho skti phir wait karna parta hey..
                  • #10 Collapse

                    very good option described by you lakin abhi tak mere sath aisa nahi huwa ke main order lagaow aur place na ho. haan aik do dafa huwa tha lakin second time order laganay per order place ho gaya tha. very informative post shared by you. thanks.
                    • #11 Collapse

                      sir buhat hi achi information aap ny di hay, meray sath buhat dafa requote ka masla howa hylaikun meen es opption ky ky istamal sy bekhabar tha, aap ky es thread sy meri mushkal khatam ho gai hy.aainda meen es pur amal kuroon ga.
                      • #12 Collapse

                        اصل پيغام ارسال کردہ از: Mehar پيغام ديکھيے
                        dear aagar aap ny trade open krnhi hen or aap ko pta hey k news any wali hey or then trade open nahi hogi to is say bachny k liay aap ko pending order laga dena cheahy otherwise is say nahi bacha jaa skta aap ke trade ruining market main open nahi ho skti phir wait karna parta hey..
                        Brother, running market may trade open karnay k lye he to may nay yeh option ap ko bataya hay, aur agar ap pending order ki baat kartay ho, to wo bhe kaam nahi karay ga agar market nay spike kia to, bal keh ap ka pending order drag ho kar jaha par market rukay gi wha par ja kar execute ho jaye ga, phir kia karo gay? agar market us k baad return ho gai to?

                        اصل پيغام ارسال کردہ از: amughal پيغام ديکھيے
                        very good option described by you lakin abhi tak mere sath aisa nahi huwa ke main order lagaow aur place na ho. haan aik do dafa huwa tha lakin second time order laganay per order place ho gaya tha. very informative post shared by you. thanks.
                        Brother, jab ap fast running market may trade lagao gay to ap ko yeh masla aye ga, normal market may yeh problem nahi ati, lakin phir bhe agar ap gold par try karo gay to bohat requotes atay hain.
                           
                        • #13 Collapse

                          forex faida

                          hum forex trading mein boht faida b kertay hain aur nuqsan b, nuqsan say bachnay k leyah apnay dil ko barha kerain, nuqsan es leyah zyada hota hai . kiun jeb hum ko nuqsan ho raha hota hai hum wait kertay hain aur jeb hum ko faida ho raha ho hum fori thora sa profit lay k kat detay hain
                          • #14 Collapse

                            sir ap bhot helpfull information hum logon se share karte hain muje requotes ka nai pata tha ap ki si thread se meri knolwege main izafa hoa ke agar market tez movement karahi ho to hum isse pending order select kar ke apni marzi se requotes karsakte hain leikin agar market spike hogayii to apka order bhi nai lagta phr
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              We can save from requote in my opinion we can execute order in time and as well as using a good speed internet connection and selecting a good forex trading broker i.e. Instaforex.com

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X