Leverage say ap ko instaforex may faida kia hay?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Leverage say ap ko instaforex may faida kia hay?
    Dosto leverage ko bohat kam log samajh patay hain shru may, yaha par may ap logo ko batata ho keh leverage hay kia? aur instaforex may is say kia faida hay.

    Leverage aik aisi facility hay jis ki madad say ap big lot kharidtay hain, misal k tor par agar hum aik standard lot lain gay to wo 100,000 unit ki hoti hay, unit say murad hum kuch bhi lay saktay hain, yani dollar ya euro, lakin hum ziada tar dollar may karobar kartay hain to hum is ko dollar k tor par lain gay, ab agar ap ka leverage ziada hay to ap 1$ may 100,000$ ko kharid sakay gay, ab is ka faida kia hay? may ap ko batata ho, is ka faida yeh hay keh jab ap market ko dekhtay ho to market may jo changing ati hay wo pips may ati hay, yani, agar Eur/usd ki price 1.35000 hay, aur agar is ki price 1.35010 ho jaye to kia faida hoga? forex trading may leverage say ap ko faida hoga, jab k agar ap k pass sirf 1$ hay to us ki price may kuch khas faraq nahi paray ga, lakin agar ap nay us 1$ say 100,000$ ki lot kharid li, to ab ap k pass 2$ hongay equity may, aur agar ap nay trade band kar di to yeh dollars ap k balance may jama ho jaye gay.

    Instaforex may leverage ka faida yeh hay keh ap ko 1:1000 ki leverage milti hay, jab k ziada tar brokers ap ko sirf 1:500 ki leverage daytay hain, dosri baat yeh hay keh yeh leverage ap ko tamam forex k pairs par milti hay, lakin yeh yaad rahay keh itni leverage ap ko ksi dosri market may nahi milti, jaisa keh metal, stock, shares, CFD wagaira, jis may gold, silver, oil, coffee, sugar, wheat wagaira atay hain.

    Ab leverage ka asar margin par bhi parta hay, yani jitna leverage big hoga, margin utna hi chota hoga, margin chota hoga to ap ka margin call dair say aye ga, aur ap ka margin level bhi high hoga. Aur ap ka free margin bhi ziada hoga, to ap ziada say ziada trades open kar sako gay, lakin yaad rahay keh jo banda new hay is field may, agar wo isay use karay ga to low level par karay, yani 1:200 ya phir ziada say ziada 1:500 par.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Nice discussion topics. Leverage is an important part of forex business. I am agree with your information's. Thanks a lot.
    • #3 Collapse

      Is main agher app ke pass achi leverage hay tu app ko zada lot size ki trade karne ko milti hay aur app ki trade zada loss hune ki waja se closed nahi ho ge khud ba khud aur app ko zada leverage ki waja se yeh bhi fada ho ga ke app ki lot siz eka big kar ke zada earning ki try kar sakte hay .
      • #4 Collapse

        bilkul bhai achi sharing ki hey apne aur waqai yeh bat kafi had tak sahi he keh jo bhi forex main new ata hey usey kabhi bhi high leverage ke sath work nahin karna chahiye aur always is main low leverage hi rakhni chahiye.
         
        • #5 Collapse

          Yes leverage apko is bat ka option deta hai k agar apki position loss main jati hai to apke capital ka bara hissa mehfoz rahega or ap bad main use trading k liyeh use krsakenge or agar apne leverage barha diya to apka sara capital trading k liyeh tayar hoga ap trading krsakte hai pore balance se lekin agar loss hoa to apko margin call aegi or agar deposit nahi kia to positions loss main hi close hojaengi.
          • #6 Collapse

            bhai me aap k is thread say bhot zyada khush hon ku k aap nay meri bhot see mushkilat asan kar de hain .me kafi arsay say leverage k baray me confuse tha lekin aj meri ye confusion ap nay khatam kar de hai thanx.
            • #7 Collapse

              basically trading karaty wakat high laverage say hum bari lot laga sakaty hain. mary pas last month 60$ thy or main os say 1$ ki lot laga rahi thi lekin laga nhi thi rahi phir main nay kisi say pocha to onhon nay mujhy laverage high kar kay di. os kay bad meri trading main 1$ ki lot lagnay lag gai thi.
              • #8 Collapse

                leverage har broekr me hoti hy oor yeh trading me ek ehm chez hy. esak direct impact apky equity ya margin par hota hy. agar leverage ko kam ya ziada ke jay toh usi lehaz se apka free margin bhe up down hota hy and order lgny ya na lgny ko effect krskta hy..
                • #9 Collapse

                  Leverage trader kay liey boohat helpful hoota hai.agar hum leverage use karty hain to hum is business main apni jaga banna sakty hain.instaforex 1:1 say lay kar 1:1000 tak kay leverage ki sahoolat daita hai or hum is tarah kamm investment bhi apna business start kar sakty hain.
                  • #10 Collapse

                    Han g bilkul theek samjhaya apne yeh sawal mere mind main bhi kab sey ghoom raha tha aur apne jo tarikey se samjhaya hey to yeh bohot hi acha ho gaya aur mera concept kafi had tak clear ho gaya hey.
                     
                    • #11 Collapse

                      janab humyeninsta forex ke leverage main yeh faid ahi k humyen loss kam or profit bouht zyda hota hai
                      • #12 Collapse

                        Je han apny sahi kaha hai k leverage ka asar trading per parta hai aur traders ko agr acha exprience hai tu wo issko use kr k achi trade kr sakta hai aur apny liye achi earning kr sakta hai, lehaza trader ko chahye k pehlay leverage ko sekhay aur isko samjh kr trade karay phr ussko use kr per wo acha earn kr sakayga.
                        • #13 Collapse

                          very nicely defined by you brother. leverage is a very powerful thing and we buy huge amount against a low amount in our account. leverage hamari trades main bohat important cheez hai lakin new traders ko 1:200 se zayada ka trade nahi lagana chaiye.
                          • #14 Collapse

                            bhai teek bataya app nai iss waqat forex market main sab se zaida leverage insta forex hi dai raha ha aur uss ka sab trader ko buhaat faida hota ab ya trader pe ha kay wo iss facility ko kis tara use kartay hain experence traderiss kay zahrihay zaida trade open kar kay kum capital se bara profit earn kar saktay hain
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              gi han main ap se agree karta hoon ke agar leverage ko sahi istmal kiya jay to hum na sirf apne account ko safe kar sakty hain balkey loss se bhi bach sakty hain to nay trader ko chahey ke wo kam se kam leverage rakh kar trading karen

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X