Trade ko partial close karna

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trade ko partial close karna
    Dosto, kia ap ko pata hay k ap apni trade ko partial close bhi kar saktay ho? It means k agar ap nay 1$ ki trade kholi ho aur ap profits may ho, lakin ap ko is baat ka bhi dar hay keh market reverse ho sakti hay aur acha khasa profit nikal jaye ga to aisi sorat may ap partial close kar saktay ho, instaforex may yeh sahulat available hay, dosray brokers ka may kuch keh nahi sakta.

    Is may ap ko karna ziada kuch nahi hay, ap ko karna sirf yeh hay keh k misal k tor par 1$ ki trade lagi hay aur ap 10$ profit par ho, to aisi sorat may ap apnay trade ki window ko open karo gay, aur jaha par volume may 1$ likha hay, wha par simply 0.50 likho, yani volume change kar do, aur phir wo long yellow button jis say trade close hoti hay us ko press kar do, ap ki adhi lot close ho jaye gi aur 5$ ap k balance may shamil ho jaye ga aur baqi ka floating may rahay ga. Yeh kaam ap sirf 0.01 say nahi kar saktay, aur na hi cent account may 0.10 per kar saktay ho. Agar koi comments ho to please karain.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Okey thanks for the information and it's good if there's a option like this one. But I think when you're doubted that the price is about to move so why would you like to even keep open your partial trade.
    • #3 Collapse

      Abdullah sir ap ne yeh thread post kar k humain loss se bacha lea hai me ne ap se yeh pouchna tha k kia hum demo pe is tarh se market close nahe kar sakty hain kai ya fir just insta forex k acount pe he aisa kar sakty hain 0.01 lot size main nahe mil skate kai humain yeh saholat ?
      • #4 Collapse

        اصل پيغام ارسال کردہ از: MMtrader پيغام ديکھيے
        Abdullah sir ap ne yeh thread post kar k humain loss se bacha lea hai me ne ap se yeh pouchna tha k kia hum demo pe is tarh se market close nahe kar sakty hain kai ya fir just insta forex k acount pe he aisa kar sakty hain 0.01 lot size main nahe mil skate kai humain yeh saholat ?
        Brother, baat yeh hay keh instaforex may yeh allow hay keh ap partial close karo, is k elawa instaforex k kuch competitor bhi hain wo bhi yehi cheez allow kartay hain, lakin meta trader 5 may yeh try mat karna, warna loss ho jaye ga, demo account par allow hay yeh karna, demo account instaforex ka bnaa lo.

        اصل پيغام ارسال کردہ از: ZXCVBNM
        esi ba kamal posts per comment karna to banta hay ke agar ap jese senior forum me zyda se zyda posting karen to newbies or juniors ko bohat sari mufeed maloomat mil skati hay is liye thankful to you for this beneficial post and requst you to post such data more as possible
        Thanks brother, for your appreciation. Keep reading and learning.
           
        • #5 Collapse

          Hmmm nice information about partial Trae clossing,I Think Insta forex he ye facility Deta hai...Trade ko Partial close karnaa apnay profit k half profit Ko lock Kar Denaa hai.
           
          Mind Is like A Parachute - It Is Useful only IF Open
          • #6 Collapse

            Nice information brother. This information is very important to me. I was searching this kind of help. Thanks a lot.
            • #7 Collapse

              Jee is ko zada tar logo ko pata ho ge aur app ko is main koi khas fada bhi nahi huta ay kun ke app ko tu equity ko acha karna hay aur app ko acha profit hasil hune lag jye tu app apna target hit kar chuke hay tu app ko complete trae ko closed karna ho ge warna koi fada nahi ke app adhi close dkar do aur adhi ka loss le lo . But post achi ha use karne wale kare .
               
              • #8 Collapse

                Bhai log, ap log is cheez ko aik strategy ki tarha say bhi lay saktay ho, jaisay keh agar ap loss may ja rahay ho to phir adhi lot band kar do, aur baqi ki adhi lot ko chalnay do, is tarha say kam say kam margin call say to bacho gay.
                   
                • #9 Collapse

                  it is very good point and information ap trade ko partial close kar sakty ho par loss hony ka chance ho sakty ha market negtive me bh ja sakty ha to be care full now
                  • #10 Collapse

                    Bohot bohot thankx brother apne bohot hi achi sharing ki hey aur main samjhti hun keh yeh koi bhi dusra nahin janta hoga aur na hi mene kabhi kisi dusre sey yeh bat suni hey.
                     
                    • #11 Collapse

                      zberdast thread brother ap my buht acha thread bnaya ha mery kheyal ma aisa kisi kisi ko hi pta ho ga laikin ap k is thread sy mostly logon ko pta chal gya or vo 1 bry loss sy ab bach sakty ha 1 bat kya jab hmain loss ho rha ho tu tab b hm apni lot kam ker saky han
                      • #12 Collapse

                        Je han apki thread kafi informative hai, aur i think yeh unk liye ziada achi hai jo 1 vol lagaty hain aur aisa tu shayd thousands dollar walay trader hi kr sakty hain jinko kafi profit bhi earn hota hai sath main isi liye hamay issy koi faida nhe hoga jo 0.01 sy 0.10 tk wala traders hain, but achi maloomat dany per shukria
                        • #13 Collapse

                          waqai bhai yeh apne bohot hi achi tips share ki hey aur is sey phley main is ke barey main bilkul nahin janti thi aur is sey every newbie ko kafi kuch seekhen ka moqa milega.
                           
                          • #14 Collapse

                            Very good introduction of partial trade close. mujhe iss ke baray main pehlay nahi pata tha. thanks for sharing such information. I will InshAllah try this strategy in my account. agar loss ho raha ho to tab bhi hum iss ko use kar saktay hain. please reply.
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Yeh app ne achi post ki hay aur kuch dostoko acha elam sikhne ko mil gya hay aur is ko phile dost demo account per us ekare aur is ko phir real account main use kare tu achi baat ho ge aur si ko phir bar bar kare take koi masla hune ki surat main koi loss na ho jye .
                                 

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X