Meta trader may profile kia hoti hay?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Meta trader may profile kia hoti hay?
    Dosto shayed ap may say bohat saray logo k lye yeh new object hoga, lakin jo log experienced hain un k lye nahi, kyo keh meta trader may aik option aisa bhi hay jis ki madad say ap charts ki profile bana saktay hain, ya asaan alfaz may yeh kaho ga keh agar ap USD k pairs par trade kartay hain to ap USD k charts kholain aur un ki tamam settings kar lain, aur us k baad agar un charts ko ap save karo gay to wo saray charts aik profile may band ho jaye gay, yeh option ap ko do jagha milta hay, aik to tool bar may, aur dosra ap k status bar may, may ap ko dono ki picture dikha dayta ho ta keh asani say samajh ajaye.

    Click image for larger version

Name:	toolprofile.JPG
Views:	1
Size:	18.0 کلوبائٹ
ID:	12461300 Click image for larger version

Name:	toolprofile2.JPG
Views:	1
Size:	16.5 کلوبائٹ
ID:	12461301

    Is may agar ap dekho gay to british pounds ki setting, euro ki setting aur swiss franc ki setting bhi ap ko mil jaye gi, lakin agar ap chaho to apnay matlab k charts bhi select kar saktay ho, jaisa keh stocks k charts, shares k charts wagaira.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    iss sy hguman kafi acha fyeda milta hai kyun k is ssy humahn ya pat chaal jata hai k app iss waqt kis pair k sath kis tarhan ki trading kar sakty hain or iss sy haman achi tradiong karny ko milti hai
    • #3 Collapse

      اصل پيغام ارسال کردہ از: saqibnaqvi
      is hume kiya faida ho sakta hai par jesay ke hum usd ya phir euro ki profile may koi edit karte hain apne hisab say banate hain to kiya hume ye pata chal sakta hai ke humara pair is waqt hume losse karwa raha hai phir profit ?
      brother, is profile ka maqsad sirf yeh hay keh aik currency k jitnay bhi pairs hum set karay gay un ko aik folder ki tarha bana kar rakhay ga aur is say ziada kuch nahi, agar ap Euro k pairs k charts khol lo aur phir save profile kar lo to jab bhi ap profile ko kholo gay to euro k pairs ap k samnay ajaye gay, isi tarha say agar ap (ZAR) South African Rand k pairs select kartay ho aur us k charts kholtay ho to jab apnay status bar say ZAR ko select karo gay to usi k saray pairs khul jaye gay, yeh us sorat may ho ga jab ap professional level par kaam karo gay tab ap ko samajh aye ga is ka maqsad.
         
      • #4 Collapse

        app ne aik achi post ki hay app ko pata tha aur app ne samja ke is ke bare main bhi sab dosto ko pata ho aur app ki waja se hum ne bhi app ki post ko dekh is subject ko stud ki aur kuch knowledge main bhi azafa hua ar kuch acha feel hua ke aj kuch new learning ko mila .
         
        • #5 Collapse

          Without meta trader any traders can not trade in forex market. so meta trader is most important for forex trade business. really meta trader can help to make huge profit from forex trade business.
          • #6 Collapse

            اصل پيغام ارسال کردہ از: hassans
            my dear aap nay jo baat ki hai wo bahut achi hai mager mujhy is bat ki samjh nahi ayi hai k hum aisay on sab ko 1 profile main add kar k humain kiya faida hai aur hum is say kitna profit earn kar saktay hain
            Jaisa keh may nay ap ko oper bataya hay keh jab ap in ko gather kartay hain to wo professional level par trading hoti hay, normally to ap sirf 3 say 4 pairs ko khol kar us par trade kar rahay hotay ho, lakin agar ap instaforex ko dekho gay to us may over 600 instruments hain trade k lye, ap kis kis k charts ko kholo gay? aur kis kis par dhyan do gay? misal k tor par ap ko laga keh koi GBP ki news anay wali hay, to ap saray GBP k charts ko dekhna chaho gay, aisi sorat may kis tarha yeh possible ho sakay ga k itnay saray phailay huay charts may say ap GBP k charts ko jama karo aur jaldi jaldi dekh sako, to is kaam k lye ap profile bantay ho, phir us k baad jab ap ko lagay keh ab Euro ki news anay wali hay to ap Euro k charts ki setting dekhna chaho to us ki bhi profile bana lo, agar professional level par trading karna chahtay ho to aisa he karo.
               
            • #7 Collapse

              Nice information. I hope it will be so helpful for the new traders in forex trade market. Meta Trader is a platform of forex trading. Thanks.
              • #8 Collapse

                Je kuch dosto ne is ko kuch aur kisi dost ne is ko kuch keh kar batya hay per kisi ko bhi is ka use karne se koi acha aur kisi ko bura use mila ho ga per is ko app jitni hi currency ko select kare ke app ko yeh sabaik sath mil sakte hay aur app is main koi bhi currency pair ko us ekar sakte hay .
                   
                • #9 Collapse

                  bohat acha bhai jan achi explanation ap ne ki ha g is me yakinan jin ko nahi pata un ko is se help mile gi g chahrts k hawale se forex me learnign kisi b more pe end nahi hoti g is me hr roz ak new lesson milta ha g seekhne k lie
                  • #10 Collapse

                    no dear i am also new trader and i also do not know about this thing i think that we all should take forex trading easy and we all should not go to complex things in forex trading and i think that so we will be succeeded in forex
                    • #11 Collapse

                      is sey phley main isko nahin janti thi aur apne jo sharing ki aur mene doston ke comment parhey hain to kafi acha knoweldge hasil karne ko mil gaya hey thankx for all
                      • #12 Collapse

                        boohat achi sharing hai bhai.main bhi ab profile bana loon ga.insta main boohat sary pairs or commodities hain.is liey kisi ik pair ko talaash karna mushkil hoota hai.
                        • #13 Collapse

                          Je haan apny sahi kaha hai k issay sirf hamay apny trading pairs ki ek lehaz sy apny liye tarteeb dayna maksood hota hai ur kuch nhe yani ap agr multiple pairs main trading kr rhay hain tu phr yahan pr hum un tmam pairs ka chart bna kr rakh sakty hain aur jb trade ho tu wohi per ja kr unhay dekh sakty hain. thnx for nice sharing.
                          • #14 Collapse

                            meri nazer main tu forex tarding main meta tarder forur per he her jaga tarding ke ja sakti hai aur is main he ham bay or sell lagte hai ap is ko be zara use kerna samj jaye tu achi bat hai
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Is main app koi bhi currency pair aur kuch setup ko karne ki help ki jati hay app ki profile main app ko is se kuch zada farak nahi parta hay aur app ko is se zada trader ko sikh kar karna ho ga aur kuch elam sikh kar trade ko acha karo .
                                 

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X