Stop out kia hota hay?
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Stop out kia hota hay?
    Stop out ka matlab yeh hay keh ap k account may jo amount pari hay wo trade ko jari rakhnay k lye na kaafi hay, aur agar market ap k khilaf chali jati hay to majboran broker ap ki trades band kar dayta hay, is forceful trade closure ko stop out kehtay hain. Is ka aik faida hay, aur wo yeh keh ap apnay amount say ziada loss nahi karay gay.
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    yes when we trade in Forex trading market that time we use the leverage for trading the big volume of trading but some time we make lose in our trade that time the broker automatic close our trade
    • #3 Collapse

      agar stop out to ais ka matlab hai k app kay pass app k account main amount na kafi hai aur appp mazeed kaam nahi kar sakty. ais tarhan agar app ko loss ho b jaye to app k amount say ziada ka loss nahi hota. ais leyee stop out ka aik faida b hai aur aik nuqsaan b. main to ais option ko like karta hun
      • #4 Collapse

        g ye aik km sy km limit hoti hy, jis pr ap apny account ko zero likh dytay ho, aur ap ny apny account ko instructions di wi hoti hain k agr ap ka loss yahan tk pohanch jay to trade close hio jay, .
        • #5 Collapse

          really good information for people who join forex recently, new traders ko brokers k platforms or rules and regulations ko samajhna chahye is se unhen future me apne accounts ko manage kerne me kafi asani hujai g
          • #6 Collapse

            han g bilkul theek farmaya jb ap ke accont men balance khatm ho jae ga to ap nafi men nahin ja sakte to us wakt ap ka account stop out pr hoga.
            • #7 Collapse

              jab bhi aap koi trade open karain to apny balance ko daikh kar open karain.agar aap kay pass free margin hai to he aap is trade ko long time challa sakty hain or agar aap kay account main sufficient balance he na hua to aap ka account waist bhi ho sakta hai.
              • #8 Collapse

                bilkul yahi matbal ha jo account per amount pari hoti ha wo broker or un ka automatic system humain batata ha k ye ap sahi nahi kr rhy is ko sahi tarhan kro
                • #9 Collapse

                  اصل پيغام ارسال کردہ از: apple
                  main nay tu kabhi use nahi kiya hai k yah kiya hai haan kisi din main is ko use zaror karoon ga aur aap ko bataoun ga k yah kaisay hain aur hum is say kaisay bach saktay hain
                  Brother, yeh koi aisi cheez nai hay jis ko ap use karo, yeh knowledge bohat important hay, is lye keh jab ap apnay account ki equity decrease hotay huay dekh rahay ho to ap ka mind prepare ho, yeh koi tool nahi hay jis ko ap use karay gay aur phir mujhay bataye gay keh mujhay kaisay bachna chahiyay.
                     
                  • #10 Collapse

                    jb ap k account me koi bonus nahi hoga tu ap ka account stop ho jaiey ga. koi bhi trader apna loss nahi karwayga. is lieye is ki kuch limitation hoti hay. ap jitna work karo gay tu account me utna hi amount hoga agar ap sara bonus trading me laga dengay then ap ka trading me loss ho jaiyga tu ap ka account stop ho jaiyga atumaticly.
                    • #11 Collapse

                      اصل پيغام ارسال کردہ از: musafir88 پيغام ديکھيے
                      jb ap k account me koi bonus nahi hoga tu ap ka account stop ho jaiey ga. koi bhi trader apna loss nahi karwayga. is lieye is ki kuch limitation hoti hay. ap jitna work karo gay tu account me utna hi amount hoga agar ap sara bonus trading me laga dengay then ap ka trading me loss ho jaiyga tu ap ka account stop ho jaiyga atumaticly.
                      Brother, mera ap ko aik mashwara hoga bonus account k lye, agar ap really bonus account may trade kar rahay ho aur ap ki trades 1 ya 2 hoti hain per day k hisab say to leverage kam rakho, us say faida yeh hoga k agar stop out ho bhi gaya to bhi ap k pass capital bachay ga account may, kyo keh leverage kam rakho gay to margin barh jaye ga, aur ap ka capital kaafi had tak secure rahay ga.
                         
                      • #12 Collapse

                        stop out yani not enough money in ka ya matlub hota hy k jis lot sy aap trade lagana chah rhy hian us k lyhaz sy aap k account main balance kam hy
                        • #13 Collapse

                          اصل پيغام ارسال کردہ از: abdullah2008 پيغام ديکھيے
                          Stop out ka matlab yeh hay keh ap k account may jo amount pari hay wo trade ko jari rakhnay k lye na kaafi hay, aur agar market ap k khilaf chali jati hay to majboran broker ap ki trades band kar dayta hay, is forceful trade closure ko stop out kehtay hain. Is ka aik faida hay, aur wo yeh keh ap apnay amount say ziada loss nahi karay gay.
                          jee belkul main ap se agree hun. meera bhe yehi khal hae k stop ka matlab ye huta hai k ap ke passd jo belence jo hai wop nakafi hai,aur ap us main trade nahi kar sakte ,
                          • #14 Collapse

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: alisun پيغام ديکھيے
                            stop out yani not enough money in ka ya matlub hota hy k jis lot sy aap trade lagana chah rhy hian us k lyhaz sy aap k account main balance kam hy
                            Ap nay ghalat samjha hay dost, stop out ka yeh matlab nahi hay, jis cheez ko ap define kar rahay ho wo free margin hay, stop out ka matlab yeh hay k ap ki trades khuli hui hain, aur negative may hain, market mazeed ap k against jati hay to margin call ati hay, aur agar mazeed against jati hay to broker forcefully trades close karta hay, is closure of trade ko kehtay hain stop out.
                               
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              stop out ka matlab ha jab koi trade ap open karte hain tu aus ma jab ap ko loss hone lagta ha tu ap ka margin level low hone lagta ha margin level leverage ke isab sy ata ha jab margin level 30% re jata ha tu ap ki trade automatic close ho jati ha because ap ko trade manage karne ky lia balance thora ry jata ..

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X