Dosto is thread may ap ko may batao ga keh fibonacci tool ko kaisay use kia jaye? ziada tar hum log fibonacci tool ko higher time frame par use kartay hain, usi say achay results miltay hain aur analysis karnay may asani hoti hay. Neechay picture may fibonacci tool ka use kia hua hay, jis may red color ki trend line bhi wazeh hay, aur aik indicator fractals bhi use kia hua hay, lakin hamara markaz fibo hi hay.
Is may hum nay bullish trend par fibonacci tool use kia hay, to is k lye hum down point say up point par fibonacci line draw karain gay, yeh jo dotted line hay, is par ap double click kar k bhi modify kar saktay hain agar ghalat point par fibo set ho jaye to. hum is ko daily, H4 par bhi use kar saktay hain, bullish market may sab say neechay wali most recent candle say draw karna shru karain gay aur oper ki side par jo bhi higher pin bar milay us tak draw karain gay.
Fibonacci may do cheezay dekhi jati hain, aik extension aur dosra retracement, oper wali picture may extension hua hay aur market 0% say oper ho gai hay, is ka matlb yeh hay k agar hum monthly par fibo use karain gay to wo retracement par bataye ga. jaisa keh neechay wali picture may show ho raha hay.
Yaha yeh baat bata do k agar market aik point par ja kar wapis ati hay to wo retracement hota hay, aur agar market apni way par chalti rahay to wo extension. Agar may ghalat ho to please batain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим