Dear members.
Bohat saray log aisay hain jo kuch charts dekhtay hain to unko hairat hoti hay keh candles k color red and blue, green and red, yeh sab kaisay hotay hain, jab k un k pass sirf green and black atay hain. to is cheez k lye may ap ko aik chota sa shortcut key batana chahta ho, jis say ap apnay candle sticks k color ko apni sahulat k sath change kar saktay hain.
Wo, key hay (F8), is key ko agar ap ksi bhi chart par click kar k press karain gay, (matlab yeh k chart select hona chahiyay) to us ki properties ajaye gi, wha par ap ko bull candle, bear candle ka option nazar aye ga, color k sath, ap us color par click karain aur apni marzi ka color choose kar lain, usi window may ap ko preview bhi nazar ajaye ga, apni marzi k colors choose karnay k baad ap jab "ok" karain gay to ap k chart par wo color apply ho jaye ga.
Is k sath sath aik cheez aur bhi ap ko batata chalo, aur wo yeh hay keh usi window may second tab par bhi kuch options hain, jin may say aik zaroori option "Ask line" ka bhi hay, ap agar us par "check" lagatay ho to ap k chart may bid line k sath sath ask line bhi show hona shru ho jaye gi, is ask line say ap ko yeh samajhnay may madad milay gi k ap ka take profits, stop loss hit honay may kitna pips baqi hay, kyo keh aisa bhi hota hay k 0.1 pip say market return ho jati hay.
Comments are welcomed.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим