Dosto Aap Sab nay Eliot Wave K baray main Tou Sunaa ho ga,Financial markets ko Samajhnay k liye R.n Eliot ny isay Develope kiyaa thaa or isay popularized kiya thaa Mr Robert Prechter ny Waisay Tou ye Theory buhaat bariki si Samjhai jati hai magar Main Ap Ko Asaan Kar K Pic K Sath bataou Gaa,is Ka simple sa rule hai k is main 2 tarah k patren hotay hain ek three Wave patren or Dosra 8 wave patren hum yahan 8 Wave Complete patren par baat Karain gy Attach pic ko Dekhain is main 1st Wave impulse Wave hai or us k baad second Wali us ka impact hai jisay hum corrective Wave kehtay hain,isi tarah is main Wave 1,3,5,(A) impulse Waves hain or baqi corrective aab Aap Kahain gy k ye 1,3,5, k Sath (A) kya hai,jab 5 Waves Ka cycle pora hotaa hai tou un ka Corrective cycle bhi hotaa hai jisay hum (A),(B),(C) kehtay hain,Ab Sath Sath hum Chart par bhi baat Kartay hain jis Tarah Ap nay Chart main dekhaa k 5 waves Complete ho Gai hain or aab hum Corrective phase main Dakhil ho gye hain yahan hum pehlay Downtrend Main move karain Gy or Is K baad wave B aye Gee jo k uptrend main ho Ge or phr Wave C jo k Downtrend main ho ge... is Main or bhi barikiyaan hain Agar Ap logoun Ko intrest hua Tou Zaroor share Karoun Ga
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим