aap ne aik cheez note ki hogi kay jab hum kisi bhi currency kay rate ko dekhty hain tu us kay sath big/ask show ho raha hota hai means 2 types kay rates show ho rhy hoty hain jo kay bid or ask rates hoty hain. In bid or ask me jo difference hota hai wo spread hota hai or spread pipps me hota hai. In short 1.6600 aik rate hai or jab market 1.6601 pe jay gi tu iska matlab hai kay market 1 pip up gai hai or agar market 1.6610 pip up gai tu iska matlab hai kay market 10pip up gai hai same yehi process current rate kay bad rate kay down ya up hony pe aap dekh sakty hain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим