Dosto ap logo ko may forex ki thori history say agah karna chahta ho aur phir agar ap ka concept thora clear karna chaho ga.
Yeh 70s ka decade tha, jab forex trading ki ibtida hui, ab yeh nahi pata sahi tarha say keh late 70s may ya mid 70s may yeh kaam shru hua, lakin us say pahlay say Americans aur europeans k darmyan aik problem chali a rahi the, wo yeh the keh yeh log aik dosray k country jatay to thay lakin wha say kuch khareedna aur hotel wagaira k bills pay karna bohat mushkil hota tha, kyo keh har country apni currency may he deal karta tha, jaisa keh agar ap italy jatay thay to ap ko lazmi lira layna parta tha, us k baghair ap apni currency may kuch bhe khareed nahi saktay thay, to is kaam k lye kuch tajir hazraat ka sahar lya gaya, aur yeh buy sell ka kaam wha say shru hua, ab sochnay wali baat yeh hay keh is kaam say pahlay kis tarha say yeh hota tha, to arz yeh hay keh us time may bhe banking nizam tha, aur currencies ki handling gold ki base par hua karti thi, aur agar aik country ko dosray country ko kuch pay karna hota tha to dollar ki base par hota tha, aur dollar ki base gold par hoti thi, har country gold day kar dollar buy karta tha, jaisa keh ap aksar suntay hongay keh americans apni currency ko only one dollar nahi kehtay, one dollar bill kehtay hain, khair bohat lambi ho jaye gi yeh argument. Agay barhtay hain.
70s k decade may yeh kaam shru hua, aur us waqt yeh handling manual hoti thi, aur usi doran may computer bhe common honay laga aur 80s k decade may internet ka istimal shru hua, hamari bahes internet aur computer par nahi sirf forex par hay, ok :D . Ab ahista ahista kar k forex traders aur brokers nay socha keh trading ko automated kar diya jaye ta keh mazeed asani paida ho aur manual dealing say thora relax milay, kyo keh us waqt tak keh kaafi kuch automated ho chuka tha, yeh to the history. Ab agay barhtay hain.
Sab kuch chalta raha aur ab mukhtasar yeh keh is waqt hum online trading kar rahay hain, lakin abhi bhe yeh baat clear nahi hay keh forex trading asal may hay kia? aur hoti kaisay hay? may ap ko batata ho, hota kuch is tarha hay keh ap nay jaisay 100$ ki investment kar di, ab ap buy kaisay karo gay aur sell kaisay karo gay? meta trader to ap ko chalana a gaya, lakin abhi tak concept clear nahi hua right? :D , pahlay to yeh soch lo keh pair hay kia? let suppose keh agar hum Eur/usd ka pair laytay hain to us may ap ko mil kia raha hay? Euro bamuqabla USD, is may agar ap Euro ko buy kartay hain to is ka matlab yeh hota hay keh ap ko lagta hay keh Euro, USD k muqablay may barhay ga, jab keh agar ap sell kartay ho to is ka matlab yeh hay keh USD ki keemat barhay gi Euro k muqablay may, seedhi see baat yeh hay keh Euro giray ga, kuch log yeh samajhtay hain k buy ka matlab euro kharidna aur sell ka matlab euro ko sell karna, lakin asal concept wo hay jo may nay bayan kia hay. Ab ap yeh soch rahay ho gay keh jab hum dono jagha buy kartay hain to sell kaha hota hay? Right? Socho, yehi soch rahay ho na? Ap apni currency ko sell jab kartay ho jab ap apna trade close kartay ho, yani wo yellow wala lamba button jab ap press kartay ho to ap ki trade close hoti hay, is ka matlab yeh hay keh jo lot ap nay li thi, wo sell kar di. Ab samjhay k nahi? agar nahi samjhay to sawal karo, any related comments are welcome. :o

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим