Forex ka concept clear kar lo
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #46 Collapse

    Well done Abdullah bhai aap kay threads bohat hi ziada informative hain aap hamesha har post detail kay sath post karty hain jo kay beginner traders kay liay bohat hi ziada kam ki cheezen hain. Forex ki history kay bary me aap ne bohat acha bataya hai is thread me
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #47 Collapse

      very good i appreciate your keenness about learning and teaching forex to other fellow it should be continue so we all benefited from your knowledge
      • #48 Collapse

        yes you are right my brother, and thanks a lot for share this information ye new ky liye bht eham chez hy forex ke history and 1976 mai isko estabilished kiya gya tha or asia mai ye kuch he dair hoi hy forex trade ko.
        • #49 Collapse

          Good bai very good ap ki boht achi research hai aur ap ny zabardast info thread post ki hai is liye I like you and I appreciate your effort, Umeed hai bahi ap isi tarha hamari madad jari raken gay aur hamen sekhaty rahy gay.
          • #50 Collapse

            Dear frnd ap ny Boht achay Tareqay sy forex trading ki history bayan ki hai..forex trading is waja sy b Wajood ma aye k time westing aur Jitnay kharchay hotay ty trading ma wo sub Ab profit hogay Apko..
            • #51 Collapse

              g bai jan ap nay bilkul thek kaha jo trading karna chata ha to us ko sab say pahlay demo account per work karna chahye or agr koi i ma kamyab hona chahta ha yo us ko sab say pahlay ham ko mind ma ye rakhna chahye ka forex aik buht hy acha bussiness ha agr asa karay ga to wo kamyab ha.
              • #52 Collapse

                Abdullah brother.. aap ne starting mein jo forex ki story batai hy vo to thek hy but aage jo sell and buy ka concept diya hy vo to meri samajh se bahir hy bilkul hi.. because ke jab ham buy ki trade lgate hein EUR/USD ki to zahir hy hum buy ker rahe hein or ager sell ki laga rahe hein to zahir hy sell ker rahe hein.. yeh to common si bat hy ab aap ne alag hi bat ki hy ke eur ki qeemat barhe gi or kam hogi.. q dono ki ek hi sath barhe gi na..
                Dont Spam The Forum.. ..

                :(I hate Spammers..:(

                ;)Make Bonus Of 200 USD;)
                • #53 Collapse

                  Khair pehle to log apni zrurat k liye currency ko exchange kiya kerte thy, lekin ab mamla different he, ab log market par fluctuation par kamana chahte hen, or ye fluctuation hud traders Create kerte hen. Abdullah bhai ab to ye foreign Exchange market dunya ki sab se bari market ban chukki he.
                  • #54 Collapse

                    hamay sell karna chahliye ya buy ????yr jab markit profit ma hoti ha to hamay seel pa click karna chahiye ya buy par??is plz mjy bataye?ye kasy pata chalta ha k trade ma ltna profit howa ha???????????
                     
                    • #55 Collapse

                      GODD bahi mene apki thread ko read kiya hai or me isko read karne ke bad is natije par pocha hu ke jo bhi trading kare to usko isi tarha trading karni chaiye wo jab hi is me kamiyab ho sakta hai or jo is me new hai wo to is thread ko zarur read kare uski knowlage me ezafa hoga tradinki knowlage me
                      • #56 Collapse

                        jub aap forex ko start karo to harffalto baat ko bhool jao apna dimag sirf forex ki taraf rakho or usko samjho achi tarah se koi galti na ho
                        • #57 Collapse

                          اصل پيغام ارسال کردہ از: abdullah2008 پيغام ديکھيے
                          Dosto ap logo ko may forex ki thori history say agah karna chahta ho aur phir agar ap ka concept thora clear karna chaho ga.

                          Yeh 70s ka decade tha, jab forex trading ki ibtida hui, ab yeh nahi pata sahi tarha say keh late 70s may ya mid 70s may yeh kaam shru hua, lakin us say pahlay say Americans aur europeans k darmyan aik problem chali a rahi the, wo yeh the keh yeh log aik dosray k country jatay to thay lakin wha say kuch khareedna aur hotel wagaira k bills pay karna bohat mushkil hota tha, kyo keh har country apni currency may he deal karta tha, jaisa keh agar ap italy jatay thay to ap ko lazmi lira layna parta tha, us k baghair ap apni currency may kuch bhe khareed nahi saktay thay, to is kaam k lye kuch tajir hazraat ka sahar lya gaya, aur yeh buy sell ka kaam wha say shru hua, ab sochnay wali baat yeh hay keh is kaam say pahlay kis tarha say yeh hota tha, to arz yeh hay keh us time may bhe banking nizam tha, aur currencies ki handling gold ki base par hua karti thi, aur agar aik country ko dosray country ko kuch pay karna hota tha to dollar ki base par hota tha, aur dollar ki base gold par hoti thi, har country gold day kar dollar buy karta tha, jaisa keh ap aksar suntay hongay keh americans apni currency ko only one dollar nahi kehtay, one dollar bill kehtay hain, khair bohat lambi ho jaye gi yeh argument. Agay barhtay hain.

                          70s k decade may yeh kaam shru hua, aur us waqt yeh handling manual hoti thi, aur usi doran may computer bhe common honay laga aur 80s k decade may internet ka istimal shru hua, hamari bahes internet aur computer par nahi sirf forex par hay, ok :D . Ab ahista ahista kar k forex traders aur brokers nay socha keh trading ko automated kar diya jaye ta keh mazeed asani paida ho aur manual dealing say thora relax milay, kyo keh us waqt tak keh kaafi kuch automated ho chuka tha, yeh to the history. Ab agay barhtay hain.

                          Sab kuch chalta raha aur ab mukhtasar yeh keh is waqt hum online trading kar rahay hain, lakin abhi bhe yeh baat clear nahi hay keh forex trading asal may hay kia? aur hoti kaisay hay? may ap ko batata ho, hota kuch is tarha hay keh ap nay jaisay 100$ ki investment kar di, ab ap buy kaisay karo gay aur sell kaisay karo gay? meta trader to ap ko chalana a gaya, lakin abhi tak concept clear nahi hua right? :D , pahlay to yeh soch lo keh pair hay kia? let suppose keh agar hum Eur/usd ka pair laytay hain to us may ap ko mil kia raha hay? Euro bamuqabla USD, is may agar ap Euro ko buy kartay hain to is ka matlab yeh hota hay keh ap ko lagta hay keh Euro, USD k muqablay may barhay ga, jab keh agar ap sell kartay ho to is ka matlab yeh hay keh USD ki keemat barhay gi Euro k muqablay may, seedhi see baat yeh hay keh Euro giray ga, kuch log yeh samajhtay hain k buy ka matlab euro kharidna aur sell ka matlab euro ko sell karna, lakin asal concept wo hay jo may nay bayan kia hay. Ab ap yeh soch rahay ho gay keh jab hum dono jagha buy kartay hain to sell kaha hota hay? Right? Socho, yehi soch rahay ho na? Ap apni currency ko sell jab kartay ho jab ap apna trade close kartay ho, yani wo yellow wala lamba button jab ap press kartay ho to ap ki trade close hoti hay, is ka matlab yeh hay keh jo lot ap nay li thi, wo sell kar di. Ab samjhay k nahi? agar nahi samjhay to sawal karo, any related comments are welcome. :o
                          Bhai ap nay bahut achy tareeq say aik he thread main forex ko mukammal tareeqy say bataya ap kay iss thread say mere jaise tamam naye seekhnay walon ki bahut ziada help hui hai hoti rahy gi so thanx for this nice thread.
                          • #58 Collapse

                            ha G frnds agr hum pak forex ka concept clear kar lay gy to agay hamay koi masla nahi ho saky ga is liye hamay learning karty rahna chahiye.
                             
                            • #59 Collapse

                              peh;ay me forex k baray me bhot kuch socha karta tha k ye start kesay howa say karta kon hai aur is ko kesay control kya jata hai lekin bad me mjhay is ki samjh a gae jiss say mjhay acha laga.
                              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                              • #60 Collapse

                                dear ap ki is information se ap kafi new traders k dil me forex trading se profit hasil karny ka jazba pada ho sakta hai. Is information ko read kar k kafi log forex trading ko join kar k profit hasil kar sakty hai. aur han app esy he achy achy thread bnaty rahainjin se achi information milti rahy

                                اب آن لائن

                                Working...
                                X