Dosto is thread may ap ko may meta traders k baray may kuch maloomat dayna chahta ho, ta keh jo newbies hain wo meta trader ko achi tarha say samajh jaye, aur ap meta trader ko broker ki website say bhi download kar saktay hain.
Pahli baat yeh keh meta trader hota kia hay? Meta trader aik platform hota hay jis ki madad say ap trading kar saktay ho, yeh business jis ko buy /sell of currency pair kaha jata hay, is ka buy / sell ap meta trader say he kartay ho, meta trader ki picture may ap ko pata chalay ga k meta trader hota kia hay?
Is meta trader may bohat sari cheezain hain jo samajhnay wali hain, sab say oper hay menu bar, jo sab ko he pata hay, us say neechay tool bar, jo may nay oper wali picture may wazeh kar diya hay, us say neechay bhi tool bar he hay. Mazeed ko may cover karnay ki koshish karta ho, ta keh ap logo ki samajh may achay say ajaye.
Market Watch: yeh side k column may mojud hay jaisa k oper ki picture may dikhaya gaya hay, yeh har meta trader may hota hay, aur is may he saray trading instruments hotay hain, ap online meta trader may prices ko change hotay huay bhi is may dekh saktay ho. Is may ap modification bhi kar saktay ho.
Navigator: Yeh column market watch k neechy hota hay by default, ap is may kuch folders ko dekhain gay, jis may Accounts, Indicators, Expert Advisers, Custom Indicators aur Script k folders hongay.
Accounts: sab say pahla folder account ka hota hay, jis may ap k banaye huay accounts ko jo ap nay login kiay hotay hain wo sab details say line wise nazar atay hain, jaisay keh ap nay aik account banaya USD ka aur dosra Euro ka, to ap ka wo account pahlay aye ga jis ko ap nay pahlay login kia hoga, dosra us k neechay.
Indicators: us k baad ap ko accounts k neechay indicator ka folder nazar aye ga, is folder may ap ko wo indicators milay gay jo ap k meta trader may by default hotay hain. Ap yeh indicators apnay ksi bhi chart par laga saktay ho. aur un indicators ki settings bhi kar saktay ho.
Expert Adviser: Is folder may ap ko by default expert advisers milay gay, jin ko hum robots bhi kehtay hain, kuch robots ko by default miltay hain aur kuch ko hum install bhi kar saktay hain, jis ki thread is forum may already open hay. Aur us may he ap ko expert adviser ko kis tarha say use kia jaye, yeh bhi likha hay.
Custom Indicator: Dosto yeh bhi aik indicator ka folder hay, lakin is may jo indicators hain wo thoray alag hotay hain, jaisa keh ap ko zigzag ka indicator, oper walay folders may nahi milay ga, lakin is folder may mil jaye ga, aur dosray jo indicators ap install kartay hain wo bhi ziada tar isi folder may miltay hain.
Script: Dosto is folder may ap ko scripts ki aik list milay gi, jis ki madad say ap apni trading ko chala saktay hain, kuch applications ko use kar saktay hain, even signals bhi send kar saktay hain. Waisay to bohat saray kaam hain, lakin newbies ulajh na jaye, is waja say sara kuch mukhtasar bataya hay.
Terminal: Yeh sab say big section hota hay, charts k baad, meta trader may, yeh neechay hota hay, aur is may bhi kaafi sections hotay hain, wo may agli thread may discuss karo ga, lakin yeh bata do k isi terminal may ap k open / closed trades show hotay hain, history bhi show hoti hay, aur signals wagaira bhi show hotay hain, yeh thori bohat shru ki maloomat hay un logo k lye jin ko meta trader ka pata nahi hay.
Koi bhi question is matter say related ho to karain, inshaallah answer milay ga.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим