Dosto may is thread may ap ko yeh batana chahta ho k templates kia hotay hain aur kitnay faidamand hotay hain,
Templates hum use kartay hain apnay charts ki settings k lye, jaisa keh hum saray indicators ksi aik chart par use nahi kar saktay, yeh hamary lye bohat confusion ka bais ho jaye ga k hum ksi bhi aik chart par bohat saray indicators lagaye aur un sab ki madad say market ko analyze bhi karain, isi waja say template ki zaroorat paish ati hay, waisay to default 7 say 8 templates hotay hain, lakin ap apni marzi k templates bhi bana saktay hain. Misal k tor par, ap apni candlestick patterns ko colorful karna chahtay hain, jaisay red and blue, green and yellow ya phir background ko black ki jagha white karna, ab ap aik chart ko to kar lain gay, lakin sab charts ko bari bari karna thora mushkil ho jata hay, jab ap k pass charts ziada ho to.
Is maslay k solution k lye ap template ki madad lain gay, indicators ko pahlay ghor say learn karain aur us k baad chart par apply karain, aur jo kuch bhi modification karna ho wo karain. us k baad ap template may ja kar save template kar saktay hain, neechay ki picture ki madad say ap template may ja saktay hain.
Is k elawa ap yeh option tool bar say bhi hasil kar saktay hain.
apna template save karnay k baad ap jis chart par bhi chahain whi settings apply kar saktay hain. is k elawa ap mazeed template dekhain, jaisa keh Volume, William wagaira.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим