Forum par admin say kasay contact kia jay?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forum par admin say kasay contact kia jay?
    Agar post kartay waqat anjany main forum kay rules and regulation ki violation ho jay jis ka asar account par bad ho to is soorat main agar forum kay admin say help leni ho ja phir admin say is mistake kay liay Sorry karna ho to admin say rabta kar kay maslay ko hal kia ja sakta hay senior members is baray main help karan thanks for all.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forum par admin say kasay contact kia jay?

    اصل پيغام ارسال کردہ از: ameer111 پيغام ديکھيے
    Agar post kartay waqat anjany main forum kay rules and regulation ki violation ho jay jis ka asar account par bad ho to is soorat main agar forum kay admin say help leni ho ja phir admin say is mistake kay liay Sorry karna ho to admin say rabta kar kay maslay ko hal kia ja sakta hay senior members is baray main help karan thanks for all.
    Assalamualaikum Ji Bhai Jaan forum par agar aap admin se contact karna chahte hain to uske liye aap ko sabse pahle Pata hona chahiye ke form ke admin kaun kaun hai Jab aap ko administrator Ka Pata Chal jata hai to aap unko request kar sakte hain ke wa aapke question ka answer Karen Agar aapko pata nahin admin kaun kaun hai to aap apni profile mein jakar Vista views Mein Dekhen wahan par Dur aapko Koi Na Koi admin mil Jaega aap use message kar dete Hain Jab Wo aapke message ko read Karega to aap ko uska answer mil jaega
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Forum par admin say kasay contact kia jay?

      Pak forex forum par forum admin say contact krna boht he asan amal hay. Is kay liye members ko apny login id aur password say forum main enter hona pary ga aur forum ke website ky homepage par ja kar forum admin ka tab search karna pary ga jo kay usually page kay end par situated hota hay. us tab par click kar kay us kay message box par ja apna problem text ke surat main likhen aur phr send kar click kar dain to forum admin kay pas ap ka problem pohnch jay ga , wo us ka reply karen gy to ap apny forum account kay main dashboard par inbox main notification kay zarye say us ko check karen gy to ap ko solution message ke surat main mil chuka ho ga.

      اب آن لائن

      Working...
      X