Jeiza:skrill account.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Jeiza:skrill account.
    Dear members mera aik swal hy k hum kaisy apny trading account k balance ko withdraw karny k liye aik skrill account bna sagty hein aur verify karwa sagty hein hamein kon kon sy documents chahiye veryfied karny k liye kaisy account bnana chahiye .Guid karin please k hum skrill account kaisy bna sagty hein aur kaisy use kar sagty hein.
    😍😍😍😍😍😍.ACHA KARO ACHA HOGA.😍😍😍😍😍
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Jeiza:skrill account.

    G bhai jan asslam o alaikum. I hope you will be good. And bhai jan main apki baton sa agree karta hoon and apko btana chahta hoon k forex forum main bhi skrill ki kaafi zyada zarorat parti hy so bhai jan wesy bhi skrill ka account ka hona bahot zyada lazmi hy. And ager daikha jay to apko skrill ka account create krny ki sahee samjh youtube sa expert and senior logon ki vidoes ko daikh kr ap create kr skty hain. And wesy jo ap na poocha hy k apko kia kia documents ki zaroorat hoti hy to is main id card and domicile or bijli bill and some more other documents ki zaroorat apko ho skti hy. And ya ap youtube sa achi trha sa learn kr skty hain k skrill ka account kaisy create krty hain. Asal main main ider new hoon so mujhy zyada confirm nahee hy. Thanks
    • #3 Collapse

      Re: Jeiza:skrill account.

      Skrill account traders ko lazmi banana parta ha q iske baghair withdraw nahi hoga. Bonus ko utilize kar k aap jo withdraw able amount kamatey hain uske liay ye account banaya jata ha. Jo requirements hain iske liay wo ye hain> CNIC ho apke pass, Domicile bhi kiun k apki citizenship ko verify kia jata ha, uske sath apke local address ki bhi tasdeek ki jati ha jis k liay near Utility bill ya Home electricity bill darkaar hota ha. Skrill account bananey k baad aap currency apnay lical account of bank main transfer kar sakte han. Skrill wo plateform ha jo dollars ya kissi bhi kissam ki Money convertion k liay istemaal kia jata ha forex trading main. Without this account, aap withdraw nhi krwa sakain ge.
      • #4 Collapse

        Re: Jeiza:skrill account.

        Trading profit ko withdraw karnay k lye bohat se traders skrill ka use kartay hain darasal skrill money ko withdraw ka aik method ha jis k zarye ap money ko deposit ya withdraw karwa saktay hian is lye skrill ka account lazmi hona chaye is k lye ap ko skrill ki website pe ja k account ko bnana padta ha jis ko verify karnay k lye ap k pass scan ID card aur domicile ya electricity ka bill ki scan copy honi chaye to ap ko account verify ho jaye ga to ap ko money withdraw ya deposit karawanay ma koi mushkil ni paday gi is lye skrill ka account easily ap create kar saktay hain is ma koi issue ni ha skrill sab se best ha money ko withdraw karwanay k lye is lye ziadah tar traders skrill ka method hi use kartay hian
        • #5 Collapse

          Re: Jeiza:skrill account.

          Dear aap ney acha kia kay skrill account kay barey mai maloomaat lainay kay liye yaha pay thread open kia hai.pehlay to aap ye samajh lijiye kay skrill ya monebooker aik he payment processor kay do naam hai. Iss liye kahi issay skrill likha jata hai or kahi issay abhi tak moneybooker kaha jata hai.

          Skrill pay account create kernay ka tareeka bohat easy hai.Aap skrilldotcom ki main website pay jaey wahat new account register kernay kay liye apni personal informatin daley.Aap ko ye khayal rakhna zaroori hai kay agar aap ney insta forex pay account bana lia hai to aap ka skrill pay bhi bio data or insta forex pay bio data aap kay cnic kay exact mutabik hona chaiye. Name ,date of birth or address sub same hona chaiye even kay postal address bhi bilkul theek ho. Email bhi wohi rakhay jo aap nay insta forex kay account kay liye rakhi hai.

          Account register kernay kay baad usay sign in karey jo kay pehli baar email kay verification link sey bhi ho jaey gi.Apni tamam details,password, pin code kahi note ker ley.Skrill account verification kay liye 3 tareeka kaar hai jo account kay setting page mai jaa kay verification kay block mai ajaengi. Waha aap apnay cell phone pay app download ker kay sub sey fastest way mai account verify kerwa saktay hai.Khayal rahey kay aap kay cell mai sim wohi ho jo aap ney skrill account ki profile mai likha hai. Or aap ko apnay address jo aap nay skrill ki registration mai likha hai ussi postal address code kay area mai he available hona chaiye kiyu kay app sey account verification mai google locator aap ki position or aap kay mobile number or aap ki selfie picture sey account verify kerta hai.

          Dusra tareeka facebook account sey skrill ko verify kerwana hai. #rd or last sub sey slow tareeka hai jiss mai aap ko cnic ki both sides scan,apni bank statement,koi utility bill jiss pay aap ka name,address same wohi ho jo account ki profile mai hai likha hona zaroori hai, uss kay baad aik selfie jiss mai aap ney apni selfie laini hai jo kay cnins apnay face kay saath show ker kay banani hai , ye sub documents upload kernay hai. With in 5 working days account verify ho jaey ga ya phir skrill support koi issue honay pay aap ko email ker day gi jissay khatam ker kay dobara apply ker saktay hai.

          Umeed hai aap iss post ko parh kay achi tarah samajh jaeyn gay kay skrill kaisay verify hoga
          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
          • #6 Collapse

            Re: Jeiza:skrill account.

            Dear ap ne bahut acha sawal kiya ha jab ham trading karty hain tu profit ko withdraw karny k liye hamyn aik broker ki zaroorat hoti ha aur aj kal maximum log apna profit withdraw karny k liye skrill use kar rahy hain kyun k skrill se withdraw bahut jaldi mil jata ha aur skrill se profit withdraw karny se pehly skrill mein account banana parta ha aur us ka tareeqa ye ha ka apny pc ya mobile se net on kar k skrill.com ki website open karyn aur create account karyn aur ap se diffrent information mangy ga jaisa k cnic ki live pic apko bana k upload karni pary gi aur is k ilawa pic upload karni hogi aur adress verification k liye bank statement ya koi utility bill ki pic bana k upload karni hogi aur ye khyal rakhyn k jo adress ap ne diya ha jab bank statement ya utility bill ya domicile ki pic upload karyn tu us p bhi wohi adress hona chahye ni tu apki adress ki verification ni hogi aur jo mobile no ap dyn wo ap k name p honi chahye sim.is tarha ap skrill ki verification complete karny k bad ap apna profit withdraw karwa sakty hain aur skrill bahut easy aur acha software ha ap skrill ki app download kar k bhi rakh lyn aut asani se login ho sakty hain.aur skrill ka aik faida ye bhi ha k ap skrill se jazz cash mein bhi transfer kar sakty hain.

            اب آن لائن

            Working...
            X