Stop out se murad trading ka wo point ha, jab trader k account mein itni equity ya margin nahi hota k trade ko barqarar rakh ja sakta ha, or broker ki taraf se automatically trade ya multiple trades ko close kar diya jata ha. Stop out beginners k liye bohot common issue ha. Stop out level par leverage ka bara gehra asar hota ha. Broker har trader ko us k leverage k hisaab se trade open karnay k liye dollar udhaar deta ha (virtually), jis se profit ka potential barh jata ha. Lekin sath hi sath, loss ka margin bhi barh jata ha, broker na trader ko small account k badlay big trades open karnay ki sahoolat day di lekin har trader is sahoolat se faida nahi utha pata, is liye apni abilities ko dekh k leverage set kiya jaye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим