Loss pe kesy Qabu paya ja sakta hay?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Loss pe kesy Qabu paya ja sakta hay?
    Dear Friends,
    Hum log jab forex forum pe aaty hain to hum kisi reference sy aaty hain ziada tar. jab hum reference k through aaty hain to hamain sahi tarah sy guide nai kia jata. agar guide kia bhi jaye to banda kahi bhool bhi jaata hay zabani kaalami baton ko. jab tak experience na ho loss kisi ghalti sy us ka pata nai chalta. Lekin loss ko kabhi bhi negative sense main nai laina chahiye. Loss ko ek blessing samjain q k ap ko bazahir to wo loss lag raha hota hay lekin wo aap k liye ek experience hay k next time ap is sy skip kesy karain gy.

    Jitna main ny forex pe seekha hay aur meri naqis aqal nay jitna kuch learn kia hay ab tak wo main aap sy discuss karna chahta hoon k kesy loss pe poori tarah sy qaabu paya jaye.

    • Kabhi bhi Lalach na karain k 3 dollars ka andaza lagaya tha profit ka aur market ny ap ko 3 dollars dy diye aur aap phir b munh utha k bethy hain k nai ji market uper ja rahi hay to main ny to 30 dollars earn karny hain.
    • Loss pe dilbardashta hony ki zara bhi zaroorat nahi hay ap us ko blessing samaj k next time k liye as experience use karain,Edison ny jub bulb banaya to us ny 10000 tareeqy lagaye jab ja k bulb bana, us sy kisi ny poocha k tum 10000 baar fail huwy us ny kaha k main ny seekha hay k in 10000 tareeson sy bulb nai banta.so hamain bhi loss ko positive laina chahiye.
    • loss ki waja sy forex ko kuch nai kahain k ye buri cheez hai.
    • achi learning k baad e trade karain. profit ho ga.
    • markete movement ko daikh k trade karainn.
    • news sy link main rahain ap ko khud e markete movement ka pata chalta rahy ga.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Dear hum forex maen loss koin kerty haen simple reason hy k hum us maen jab aik business ko kernay k basic rules ko break kerty haen to pher us maen hum loss kerty haen jo k undermemtion maen ker raha hoon
    1: forex maen phela our basic rule yahe hy k us maen app apny capital bonus ka risk sirf our sirf 1% ya boht zeada agar analysis app k strong hain our app ko khid pay confidence hy to pher app apni trades ka 3% risk lay laen us say zeada ager app letay haen to loss bje zeada ho ga oir app ka account bhe wash ho sagta hy
    2: dear jab tak app aik business maen aik to rules ko follow naje kertay haen our jab tak greed ko kill nahe kerty haen tab tak app us maen loss ko kabhe bje minimize our profit ko kabhe bhe increase nahe ker sagty haen
    3: jab app ye khety haen k forex ko app as a business ker rahy haen to us maen pher profit oir loss to hota gy but loss wo hota hy jo recover kia ja sagay account ka zero hona koi loss nahe hy
    4 : money management ko follow ker k app greed our loss dono ko asani k sath control ker sagty haen pak forum app ki guide line k leay aik acha forum hy
    • #3 Collapse

      Loss ko control karny key ley zarori hay key hamari trading planing aur strategies loss controlling ki bunyad par hon,

      1. Leverage size agar highest point 1:1000 par set kia jaye kabi be ham loss ko control nahi kar saken gey, highest leverage size traders key ley profitable ho sakta hay magar risk ki management key ley zarori hay key leverage size ko 1:500 ya es se kam point par raka jaye.

      2. Stop loss orders traders es ley nahi lagaty key wo minimum loss ko face nahi karna chahty magar risk ko manage karny aur loss ko control karny key ley stop loss order key thorgh loss ko asani se control kia ja sakta hay.
      • #4 Collapse

        Dear loss ko qabu mein rakhna he ek achy trader ki nishani ha is liye har acha trader market mein tabhi enter hota ha jab wo khud ki trading practice kar leta ha or khud acha work karna start kar dyta ha
        Jesy kay ek acha trader hamesha tabhi work kary ga jab us kay pass acha experience ho or us kay sath sath acha backup balance ho or jab us kay pass acha balance backup hoga tabhi wo market mein achi earning kar sakta ha is liye loss pay qabu apny jazbat ko control kar kay confidence kay sath work kar kay he hasil kiya ja sakta ha or market mein achi learning apko loss say door kar sakti ha or profit he profit ap hasil kar sakty hein achy indicators ka istamal jesy kay mcad rsi etc to ap ko market mein loss say bacha sakty hein or ap
        • #5 Collapse

          Hum loss py kabo bhae forex ki ache taleem our us ka demo experience hasel ker k pher he earn ker sagtay haen humean forex maen aik to us ko seikhna ho ga oue step by step her kaam kerna ho ga aik din ya raat maen app kabhe bhe forex maen successful trader nahe ban sagtay haen us k leay app ko us market maen time dena ho ga jo k future maen appko pher reward k toor py mily ga app learn karean pher us learning ko practical shape dain us ki practice demo maen karean strategies ko bar bar demo maen apply karean gy to pher he app forex maen successful trader ban paen gy humean forex maen jb demo maen apny oper confidence aa jaey ga our pher sab trades rules m sath hoon ge to humean loss kum our profit us forex maen zeada hoo ga
          • #6 Collapse

            Basically har trader start main loss kar deta gai us ki reason ye hoti hai kay us nay proper learning nahi ki hoti ya us ko sai tara giuide ni kia jata agar ap achi learning aur achi practice kar kay trading start karain gay to ap loss par kabu pa saky gay loss actually hmari mistake ki waja say he hota hai jab ham trade karty hain to lalach karty hain ya trade kay doran zyada volume chose karty hain ya news time trade karty hain in conditions main jab ap trade karain gay to loss kay chanses zyada hon gay is liye ap in ko control kar kay loss ko control kar sakty hain jab sincere ho kar trade karain gay phr apko kabi loss ni hoga.
            • #7 Collapse

              Assalamualaikum bhai aapne bilkul thik baat ki hai agar Hum Log itne hardware Karte Hain To Hum Logon Ko Kafi come loss hota hai isliye Hum logo ko Jyada Se Zyada hardwork karna chahiye Phir Hum logo ko kamyabi milti hai aur hum log kamyabi se profit bana sakte hain
              • #8 Collapse

                G bhai jan asslam o alaikum. I hope you will be good. Bhai jan main ap k is tittle and is discription sa agree karta hoon. To bhai jaisa k ap na idr bhi kaha hy k admi zabaani kahee gai batain zhada dair to zahen main nahee rakh sktaa r jaisa k experions wala admi matllab k experions wala jo bhi hoga best tradder wo kbhi loss ki traf nahee jay ga. R jaisa k ap na kaha k ager experions na ho to loss ka kisi ghalti sa bhi pta nahee chalta. R jaisa k ap na kaha k loss ko bhi kabhi negative since main nahee laina chaheye to ya baat ao na bahot axhi kahee hy. Balky mery khiyal main hamain proffit sa zyada loss ko zahen main rakhna chaheye k hamain itna loss bhi ho sktta hy. R ap k tittle k mutaabik kahna chahta hoon k loss par ham is trha sa kaboo pa skty hain k ager ham trade lgaty hain to sab sa pahly hamain chaheye ham achi r bri tradd lgain. And stopp loss and take proffit ko acha rakhain. And jab bhi hamari trade lag jay hamain koi jald baazi nahee karni chaheye. Blky hamain zyada sa zyada tradding par hi focus karna chaheye.
                • #9 Collapse

                  forex trading aik risky bsuiness hai jis main jitna risk hota hai hmain otna he loss hota hai es liye hmain apni trading main risk ko kam se kam rakhna chahye q k yah hmari apni trading ability hain jis se hmain risk hota hai or jis trador k pass trading ka caha knowledge hota hai wo osi k hiasb se apni trading main loss hony k sub he factor ko kam kar skty hain es liye forex main qaboo pany k lye hmain chand baton ko mind main ralkhna chahye jis se hum apni trading main loss ko kam kar skty hain
                  1: small lot size istamal karen q k jitni lot hogi otna he risk hota hai or risk ka yahi matlab hota hai k hmain itna loss ho ga smal lot smal loss big lot mtalb big loss
                  2: apni trading main stop loss use karen jo k apki market ki price k sath ho
                  3: maoney mangmnt k sath trading karen
                  5: market ko achi trah se analysis karen
                  6: trend ko follow karen
                  en chand baton par aghr amal kiya jay tu hum apni trading main loss ko kafi had tak kam kar skty hain
                  • #10 Collapse

                    Forex main hony waly loss py qaboo pany kay kayee tareeqy hain. sab say pehly to hamen forex trading us waqt tak shuru he ni karni chahye jab tak ham is kay bary main puri tarah say knowledge hasil na kar lain. jab hamen yaqeen ho jay k ham ny kafi had knowledge hasil kar liya hay to phr is kay bad hamen broker ke janib say diye gay demo account par kam az kam itni practice zarur karni chahye kay ham khud say trading kar saken aur market kay utaar charhao say khob waqfiat hasil kar saken. Is kay bad loss say bachny ka sab say behtareen tareeqa yeh hay kay hamen raton raat karor pati hony ka lalach bilkul ni karna chahye balky hamesha qanat pasandi say kam lena chahye aur forex ko hamesha ek permanent business kar tasalli say karna chahye
                    • #11 Collapse

                      Agar Hum logo ko forex market Naino Se loss pe Kabu Karna Hai To Phir uske liye Hum logo ko trend ko find karna chahiye trend ki wajah se bahut profit bana sakte hain space WhatsApp Hum logo ko demo account ke Zyada Se Zyada practice karne chahiye Phir Hum Log Kasi kuch hassil kar sakte hain
                      Pakistan zindabad
                      • #12 Collapse

                        brother ager aap nay loss per kaabu kerna hay to sab say pehlay aap ko zero risk strategy follow kerni hogi yaani yeh kay aap nay risk minimum lena hay aap kam say kam risk lain aap minimum lot size use kerain or aik time per kam say kam trades open kerain or ager aap nay loss per qaabukerna hay to aap apni mistakes ko note kerain unn ko dekhain or unn say seekhnay ki koshish kerain aap apna yeh aim rekhain kay aap dobaara apni mistake nahin duhraayein gay jab aap proper analysis ker kay entries lain gay proper money management say trading kerain gay or mistakes nahin kerai gay to aap loss per qaabu paa lain gay aap ko loss nahin hoga phir
                        • #13 Collapse

                          Assal.o.alaikim my dear friends.
                          Loss loss aor hr waqt loss
                          please ap log sabr se kam. len len ga loss neh jo ga ap chatey hain kh hm ne Forex ko join lr ley hy aor hm ko doller milney start ho ga hain
                          Aesee koi bat neh kh join ho ga doller mil ga ao ne kbhee soch kh ap ne loss akhir qun kia is ko samjhney ke zaroort hy is me mehnt shart hy hm kety hain kam ko samjhen bhee neh aor nuqsaan bhe neh ho
                          1. choti cjoti lot ka intikhab kren
                          2. apnee market me stop loss ka use kren
                          3. market ka achee trah tajzeya krey
                          akhir me yh kh hm loss pr zyda nazr rakhen aor Munifah pr km
                          • #14 Collapse

                            Agar Hum Log forex market mein se apne dost pe Kabu karna chahte hain To Phir iske liye Hum logo ko achi se achi planning Karni chahiye Apne experience ko istemal Kar Ke trade karne chahiye Phir Hum logo ko bahut fayda hota hai aur hum log loss bekabu banate hain
                            Removed by Moderator.
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Loss pe kesy Qabu paya ja sakta hay?

                              insan jub kesi kam ko shuroh karta hy to us ko ibtda main bary bary msael ka samna karna parhta hy jub us ko msael dar pish aty hain to woh unhin mushklat or unhin msael sy sikhta hy to jes kam main bhi banda jub eik bar eik tariqy sy nuqsan kar baithta hy to dowsri bar us trah ka nuqsan uthany sy bachta hy qeyon ab us ko ptta chul chuka hy keh is karobar main agr yeh tariqah apnaen gy to nuqsan ho ga agr is tariqy sy bachin gy to nuqsan sy buch jaon ga to ahesta ahesta woh us karobar ko samjh lita hy keh is karobar main konsa tariqah apna kar naffah kmaya ja sakta hy or kes tariqy sy nuqsan sy bacha ja sakta hy to forex markit main kam karny waly ko bhi trade karty waqt sara pta chul jatta hy keh jub markit nuqssan ki traf move kar rahi hy to us waqt trade lgany sy buchna hy or jub forex markit move kar rahi ho naffy ki traf us waqt trade karni hy naffah kmany ky lie

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X