Cryptocurrency aur traditional currency mein basic farq ye hota ha kay cryptocurrency decentralized, encrypted currency hoti ha, jis ko koi bank ya country control nahi karti, jab kay traditional currencies ko countries ya banks control kartay hain. Cryptocurrency ki madad se wo tamam kam sar anjam diye ja saktay hain jo traditional currencies kar saktay hain like goods/services khareedna, trading ya investment karna, savings etc. Kuch popular cryptocurrencies mein Bitcoin, Ethereum, Litecoin, Ripple shamil hain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим