Forex main dependent ya independent kon c trading best hai?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex main dependent ya independent kon c trading best hai?
    Forex main jesay humean kafi help friends say mil jati hai our kafi hum khud bhe internet say signal waghera search ker lety hain to dosto us main kon c trading best hai jes main humera future bhe bright ho aik to dependent trading ho ge jes main hum dosaroun k signal k oper depend kran gay or aik independent ho ge jes main her aik knowledge experience practice hum khud karen gay our pher us ay humri earning behtar ho gee ya dosaroun ki help say behtar hoo ge
    mera opinion to us barey main ye hai k khud learning our jo hard work forex k leay kia jeay ga wo hum sab k leay better hai app us brey main kai kehty hian
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Dear agar me apni trading ki bat karon to me independent trading kabi be nahi karta, aur meri koshish yahi hoti hay me market news aur technical analysis aur limit risk par dependent trading karon, independent trading me hamy zeyda risk ki azadi hoti hay aur ham market ka behtar jaiza be nahi lety es waja se me samjta hon key traders ko full dependent ho kar trading karni chaye aur apny rules ki ham mumken pabandi karni chaye, independent trading me hamary rules be change ho sakty hey jes ka nuksan traders ko loss me mil sakta hay.
    • #3 Collapse

      Main to ye samjhti hoon k forex main independent trading he best hai koin k dost us main hum khud search kerty hain different strategies ko siekhty han or pher us main hum different knowledge jesa k price action main siekkh rahi hon to us say mera experience daily trading min our barh raha hae lkin main ager ksii say signal lena shuro ker doon to pher meri progress ruk jeay gee jes say meri earning bhe ruk jeay ge our main kabhe bhe apnai earning increase nahe ker sagoun gee to humean humesha apny skills ko better bnanana chhay pher he forex market main hum iak professional trader ban pain gay
      • #4 Collapse

        Independent trading aur dependent trading 2 types of trading ha. Independent trading mein trader ki approach apni analysis aur strategies ki base par trading hoti ha, jis ko Individual Trading bhi kehtay hain. Individual trader ko trading khud manage karna parti ha. Dependent trader ya Group Trading mein traders mil kar trading kartay hain combine analysis aur strategies ko use kartay hain. Group trading ya dependent trading mein traders aik dusray se help letay hain. Is kay ilawa PAMM trading bhi dependent trading mein ati ha, to ye different trading approaches hain jinhain traders apnay convenience kay hisab se adopt kartay hain.
        • #5 Collapse

          Dear Meri Advice Hy Ke Independent Trading Karein Full Nai But 60, 70 % Dependent Hokar Karein Trading Seniors Se Guide Lekar, Signals Lekar, Market Ki Movement Ko Dekh Kar. Han Kabhi Kabhi Independent Trading Bhi Karna Chaiye Wo Thora Risky Hoti Hy Han Kuch Trades Independent Hokar Bhi Lagain Usey Bhi Hum Learn Krte Hain Agar Loss Bhi Ho Tou. Dependent Trading Se Me Smjhta Hun Ke Hum Log Long Term Chal Skte Hain Trading Me.
          # Wants Successful Trader & Also Wants Empower Other.
          • #6 Collapse

            Forex market me independent trading karna hamari mistake hoti hay independent trading karny ki strategy key sath agar ham trading karen gey to ham kabi be market news ko etni khas ehmeyat nahi den gey jetni key ham dependent trading ki strategy me de sakty hey, traders ko full market news par ya technical base par hi dependent ho kar trading karni chaye, jo traders independent ho kar trading career start karty hey wo na to Forex knowledge ya experience ko hasil karny ka sochty hey esi trading blind trading ka name hi dia ja sakta hay.
            • #7 Collapse

              Assalamualaikum best Forex trading members main aapko Ek Cheez clear kar deta hoon Forex trading market Ek risky market Hai jis mein trading ke liye different factors effect kar rahe Hote Hain market ki uncertainty ko understand karne ke liye aapko fundamental technical aur sentimental data Maloom hona chahiye Jisko use karte huye aap market Mein survival kar sakte ho Agar Apke Pas less knowledge hai tu risk factor increase ho jata hai market Mein management bahut zaroori hai independent trading ke liye aapko learning Karni Hoti Hai Pakistan Forex forum se basic trading knowledge gain karo demo account mein practice karo to me depending trading ka koi fayda nahi hai agar aapne full time lifetime business start Kiya Hai Tu aapko independently confidence ke saath kaam karna chahiye
              • #8 Collapse

                dear aap nay boht achi baat ki hai ky forex main dependent or independent main sy konsi trade achi hay humary liye to dear ais main to koi dosri raye nahi ky independent trade he humary liye aor humary future ky liye achi hooti hai likin dear mary khyal main to humin expert ki ao apny seniors ky signal ko bhi follow ais liye karna chayee ky us ki reason humin maloom hoo ky wo ye baat kis base py keh rahy hai to ais sy humaray experience main izafa hoo ga aor dosroon ki help leenay sy hum apni trade ka result bhi acha kar sakty hai likin dosroon ky he signal ky intizaar main rehna ye baat theek nahin hai ais liye humin doosroon ky sahary py trade nai karni chahyee
                • #9 Collapse

                  Dear ye to sab ko pata hai k kuch log ais market mai part time kaam karty hai aor kuch log hai jo ais mai full day time kaam karty hai agar hum ne ais market mai kaam karna hai to hum ko ye pata hota hai k hum ne ais mai se kitna kamana hai ta k humra ais mai acha guzara chal jaye agar hum ais mai acha kaam karty hai to hum ko ye samjh aa jati hai k hum ais mai se apna atna target asani se pora kar sakty hai aor aus k baad hum ais market mai aik routine se kaar sakty hai aor ais market mai depend kar sakty hai kun k hum ne aik plan k hisab se kaam karna hai aor jab banda ais mai aisy hi kaam kar raha ho to aus mai samjh hi ni aati k ais mai kaam kaisy karna hai aor ais mai hum ne kai kuch kar k profit banana hai aus time banda ais market mai depend ni kar sakta.
                  • #10 Collapse

                    Re: Forex main dependent ya independent kon c trading best hai?

                    Obviously independent trading ziyada behtar ha dependent trading k magar yahan kuch baton ka khayal rakhna zaruri ha. Independent trader baghair kisi saharay k, apnay tor par trading karta ha, jis ka matlab ha k us ki skill or experience level bohot high ha, jo zahir ha ek din mein hasil nahi hota. Dusri taraf dependent trader ko market k halaat samajhnay mein probably mushkil hoti ha, is liye wo experienced traders ko ya copy-follow karta ha ya PAMM mein invest karta ha, jis ka matlab us k pas sufficient knowledge or experience nahi ha. Dependent trading koi buri baat nahi ha balkay seekhnay ka ek amal ha magar trader ko ahista ahista apna skill level barhana hota ha k wo ek din khud independent trading kar sakay.
                    • #11 Collapse

                      Re: Forex main dependent ya independent kon c trading best hai?

                      Forex market mein agar Hum Log ko 2 minute Karte Hain Pyaar Hum logo ko is ka fayda hota hai aur hum logo ko kamyabi milti hai isliye Hum Logo Ko Hai mehnat karne chahiye Phir Hum Logon Ko kam Ka Pata chalega Aur Hum Log ka fiprofort Hustle kar sakte hain
                      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                      • #12 Collapse

                        Re: Forex main dependent ya independent kon c trading best hai?

                        Agar forex market Mein kamyabi Hassan karni hai To Phir Hum Logon Ko Zyada Se Zyada hard work karna chahiye Phir iska Hum logo ko bahut fayda ho sakta hai aur hum Logo Ko kamyabi Mil sakti hai aur hum log bahut hi accha profit bana sakte hain aur iska Hum logo ko bahut fayda ho sakta hai
                        Removed by Moderator.

                        اب آن لائن

                        Working...
                        X