Forex trading market mein market ko judge kar kay faisla lenay kay 3 methods hain, Technical Analysis, Fundamental Analysis aur Sentimental Analysis. Technical analysis mein historical price ki bunyad par current patterns ko samjha jata ha aur future movement ko predict kiya jata ha, jis mein number of methods jesay indicators, tools, technical techniques etc shamil hain. Technical Analysis kay 2 hi maqasid hotay hain, 1 Trend find karna, dusra Support/Resistance find karna. Jesa kay market 3 tareekon se move karti ha, Up, down aur sideways, is movement ki waja se market kay 2 patterns bantay hain, Range (Sideways movement) aur Trend (Up ya down movement).
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим