Stop loss and take profit trading kay aisay tools hain, jin kay istemal se trade profitable ya loss mein hoti ha. Take profit aur stop loss ka sahi utilization bohot zaruri ha aur ye har trader differently set karta ha. Agar stop loss aur take profit ko bohot kam set kiya jaye like 1:2, to is mein risk kam hoga aur profit bhi kam hoga. Agar stop loss aur take profit ko ziyada rakha jaye like 1:5, to risk barh jaye ga aur profit ya loss ka margin bhi barh jaye ga, is liye darmiyana stop loss aur take profit ratio zaruri ha. Loss ko hamesha profit se kam rakhna hota ta'k profit ki amount loss se ziyada rahay.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим