Jaiza: Overbought aur Oversold.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Jaiza: Overbought aur Oversold.
    Overbought aur Oversold chart par movements hain, jin ko correctly judge kar k acha profit earn kiya ja sakta ha. Overbought ka matlab price ki aik musalalaur seedhi up direction mein long time movement, isi tarhan Oversold se murad price ki long time tak continuously downward movement.
    Click image for larger version

Name:	Overbought oversold.png
Views:	3
Size:	41.8 کلوبائٹ
ID:	12462349
    Overbought aur Oversold ko analyse karnay ka sab se acha indicator RSI (Relative Strength Index) ha, RSI ki reading 30-70 hoti ha. Jab reading 70 se oper ho to is ka matlab Overbought ha, agar reading 30 se neechay ho to is ka matlab Oversold ha.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Forex Mein kam karne ke liye aap kabhi bhi kisi bhi jagah par investment karne se pehle iska yeh dekh liya Kare ke yahan par Business mein overbought ya over sell to nahi ho gaya agar aap yaha par kaam Karenge 2 APK investments abe Kaha conditions page save and Mein Rahegi aap yaha par business develop kar sakte is the long time ke liye working kar sakte hain Jisko time business Karenge market Mein business ko develop karta hai aur isko samajhta aap kabhi nuksaan mein nahi Rahenge
    • #3 Collapse

      Jnb aap nain bht a hi bt ki hai aur bht a hi tarah define kiya hai k overbought kia hai aur oversold kia hai Jub bhi koi market musalsal up ja rahi ho to isko overbought kehtay hain us main Jo basic curruncy hoti hai woh musalsal up ja rahi hoti hai ya Jo qoute curruncy hoti hai woh musalsal down ja rahi hoti hai aur oversell main is k opposite ja rahi hoti hai movement aur aap nain bilkul sahi kaha hai is k liye rsi best indicator hai is main do point hotay hain 30 or 70 aur agar 30 ki reading aa rahi ho to oversell hota hai aur agar 70 reading ho to overbought hoti hai market.
      • #4 Collapse

        over bought aor over sold humen waqai RSI relative strength index indicator jis ko basically oscillator count krty hain wo humen isky bary ma btata hai ky market over sold hai ya iver bought hai
        lkn isky elawa bhi kafi indicators helping hain is strategy ko use krny ky leay moving average agr above 80 ho to bhi market over bought ka signal detyi hai aor below 20 moving average agr market ho to bhi over sell ka signal hota hai
        RSI ka to 30 aor 70 ka level up below dekha jata hai over sell or over bought ky leay
        nechy picture graph ki demo sy apko sahi smjh aa jay ga
        • #5 Collapse

          my dear brother is tra him log acha profit hasil kr skty ha ager him logo ko over brought or over sold ka pta chal jata ha or phir him log kamyabi sy trading kr ky acha profit hasil kr skty ha or earning kr skty ha
          Removed by Moderator.
          • #6 Collapse

            Jnb aap nain bht achi BT share ki hai to main aapko batata chalon k aap nain indicator his k abray main ziada information share ki hai isko RSI indicator kehtay hain is main hota yeah hai k is main do value hoti hain aik overbought ko show karti hai to doosri oversel ko show karti ho in ki value him 30 70 keh skatay hain jub yeah indicator 70 show kar arah ho to is k amatlb k market overbought hai jub k 30 PR ho to over sell hota hai air ankhain band kar k ebshak trade laga dain is PR aap k loss k chances bht km Hungary...
            • #7 Collapse

              Assalamu alaikum bhai Hum logo ko forex nails Yadav Se Zyada mat karna chahiye Kyunki Hum jitni Bada Natkhat Hai Hum Logo Ko Itna pata hai isliye hum log Jyada Se Jyada mat karna chahiye tha ki Hum logo acha profit banana skty
              • #8 Collapse

                gee bhai aap nay overbought or oversold ko bohat achay tareekay say bayaan kiyaa hay main bhi apna point clear ker deta huu.

                Overbought

                jee bhai RSI(relative strength index) kay zariye overbought region ko easily identify ker saktay hain jab 70 say uper line challi jaaye toh overbought hota hay iss region main bohat ziyaada buy trend ki wajah say line aati hay or overbought region main sell kerna acha rehta hay

                Oversold.

                jee bhai aap oversold region ko bhi easily RSI(Relative strength index) kay zariye find ker saktay hain jab market RSI kay 30 kay level say neechay challi jaaye to oversold hota hay yeh bohat ziyaada selling pressure ki wajah say hota hay or iss region may ager aap buy entry letay hain to woh behatr rehay ga aap kay liye.
                • #9 Collapse

                  Dear ap ne jo chart par over bought aor over sold area show kia hai ais k liay hum sath agar indicator use kary to aus mai hum ko bahot asani se pata chal jata hai jaisy ap ne RSI k bary mai suna ho ga aus mai agar hum kaam karty hai to hum ko aus mai samjh aa rahe hoti hai k ab market over sold hai aor ais time market over bought hai agar hum bilkul simple trading karty hai to hum ko RSI k sath bollinger band use karna chaye ais mai ye hai k hum jab ais mai kaam karty hai to hum ko ais mai ye hai k bahot hi asani ho jati hai kun k market jab over sold hoti hai to aus time bollinger band k lower band par hoti hai aor hum waha se buy kar sakty hai aor acha profit bana sakty hain.
                  • #10 Collapse

                    market me trading karty time market key overbought aur oversold condition ka knowledge hona bahot hi zarori hay agar ham overbought point se hi sell orders place karen gey mery khaya me es order me loss ka ratio kam se kam ho ga esi tarha over sold agar market 50 point se down ajaye to es ko over sold ka name dia jata hay, esi point se seller traders sell orders place karny key ley active ho jaty hey, over sold aur over bought condition ki identification har trader key ley zarori be hay aur market trend ki correct analazing be esi key base par ho sakti hay.
                    • #11 Collapse

                      Re: Jaiza: Overbought aur Oversold.

                      Dear ap ne market ky is utaar charao ko bahut achy se explain kiya hai. Jab hum RSI indicator lagaty hain to us ki values default settings mein 30 aur 70 hoti hain.
                      Hum un ko change kerky un ko 20 aur 80 ker dety hain. Aur is mein aik aur line 50 ki add ker dety hain.
                      Jab market 80 ki line ko cross kerti hai to is ka matlab hai ky ab ye pair over bought ho giya hai aur is ky nichy any ky chance hain. Lakin khayal rakhna hai ky us ki foran return per trade nai lani balky jab RSI indicator ki line 50 ko cross kery to wahan per trend confirm hota hai. Ab ap yahan per trade ly sakty hain.
                      Isi trah jab market 20 ki line ko cross kerti hai to is ka matlab hai ky ab market over solled ho gai hai. Ab market ky up jany ky chance hain. Yahan bhi ap ihtiyat kerty howy jab market 50 ki line ko cross kery to trade lein. Ta ky ap ka trend confirm ho jaye.
                      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                      • #12 Collapse

                        overbought or oversold mai behtreen indicator jo ap ko acha result dy sakta hai or simple indicator hai woh RSI indicator hai. yeh aik meta trader 4 or 5 main builtin indicator hai. Ap es ki trading main setting ager default be rahkty hain tu ap ko yeh major pairs like eurusd,gbpusd,audusd etc pay bhout acha result daita hai. ap es ka sahi result hasil karny kay leye zarori hai kay ap es kay sath apni trading main es indicator kay sath mcad ka be use kar kay acha result lay kay achi earning kar sakty hain.

                        اب آن لائن

                        Working...
                        X