Market ki movement ki waja se is mein enter hony k liye perfect point find karna hota ha, jis ko entry point kehtay hain. Jab tak entry point na milay, time laganay mein koi harj nahi magar entry point k baad emotions k zer e asar time waste karnay ka matlab ek achi trade lose kar dena hota ha because market bohot jaldi change ho jati ha. For example, ek trader ko Gold par sell ka signal milta ha magar wo dar ya kisi or waja se trade open nahi karta, to jesa k gold ki movement bohot ziyada ha, to jab price bohot agay chali jaye gi, to ziyada profit earn karna possible nahi hoga, is liye perfect entry point par jitni jaldi ho sakay, trade open karni hoti ha taky ziyada pips hasil ho sakain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим