Forex trading mein jab ek trader ko kuch trades mein lagataar profit ho jata ha to wo emotions k under aa jata ha like overconfidence. Overconfidence ka sab se bara nuqsan over trading ha because ziyada profit se margin ziyada ho jata ha, jis se trader mazeed trades open karnay mein koi harj nahi samajhta aur yahi over trading ha k profit hasil kartay hi mazeed trades open kar lena. Lekin forex mein sirf profit nahi ha, is liye jab over trading ki waja se loss hota ha to usually trader ka profit loss mein turn ho jata ha, is liye trading mein approach hamesha learner wali rakh k trading karna hoti ha.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим