market sensitive ho to kesy trading krni chye?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #31 Collapse

    Re: market sensitive ho to kesy trading krni chye?

    Forex trading mai expert aur senior traders hamehsa yehi advice kertay hain kay jab market sensitive ho jaey tou uss waqt trading stop ker daini chaiye aur market ko watch kerna chaiye kiyu kay aisay waqt mai market ki movements oo define kerna kaafi mushkil hojata hai kay Kab kis taraf kitni movement ker sakti hai. Forex trading business mai sub say eham role he market ki movements ka hota hai. Forex market mai sensitivity mukhtalif wajuhaat ki wajah say aati hai jaisay kay aaj kall market 3 main reasons ki wajah say bohat sensetive ho chuki hai aur fillhaal daikho aur intezaar kero ki policy he sub say behtar policy hai. Pehli wajah Corona virus ka pandemic hai. Dusri wajah us dollar ki weakness hai aur teesri wajah Russia aur Saudia ki oil war hai. Iss waqt usd kay pairs, gold aur crude oil mai market bohat sensitive hai iss liye abhi positions risky ho sakti hain

    اب آن لائن

    Working...
    X