Jaiza: Forex trading robots ka istemaal

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #16 Collapse

    اصل پيغام ارسال کردہ از: NawazAwan پيغام ديکھيے
    Asalam-o-alikum! Dosto umeed karta hun aap sab kheriyat say honge.

    Forex trading main alsar log jo kay new hote hain aur un ko forex trading karna nahi aati ha ya wo forex market ke variations ko itna jaldi nahi samjh sakte hain to wo aik asaan solution jo kay forex robot ke shakal main ha us ko choose karte hain. Aur forex robot main kuch apko karne ke zaroorat nahi hoti robot khud he trade open aur close krta hai.

    Robots ko use karne say pehly ye zaroor baat zehan ma rakhin k robots sirf aur sirf technical base par trade open ya close karta ha aur us ko market ke situation ka nahe pata chal sakta k kiya aur kun ho raha ha. Agar robots ko sath sath manage na kia jaay to huge losses ho sakte hain. Meri advice yehi ha k khud trading ke jaay aur experience gain kiya jaay.
    main Forex trading main robots use karne ko like nahi karta hoon Ke Jharokhon robots used Karke trading karte hain toh hum Hamesha robots pay heed band karne lag Jate Hain aur Khud kuch nahi learn Karte Agar Hum robots ko use kar k trading Karenge Toh Phir Hum full paralyzed Raider Ban Jayenge Kyonki Jab Hum annual training nahi karenge aur robots day trading Karenge toh hum Hamesha reports pay heed band karne lag Jayenge aur Hume trading Karke sirf loss free hoga isliye Hame achche trading karne ke liye robots ko use nahi karna chahiye
    FRD 07 TRADING JOURNAL
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #17 Collapse

      jo forum main our forex main new hain un ko robots k use ka mashwara nahe doon koin k new members ko to forex ki samjh nahe hoti hai our robots ko use kernay k leay aik trader ko live market main trade kerna ka experience hona chahy or pher he wo robot ko use ker ssagta hai humean robot main us ki setting kerna hoti hai jes k leay app ko us software k use ana chahy pher he us ko app use ker sagty hain liken jab aik software ap ki instructions k oper work kerta hai to wohi aik trader apna experience us market main use karey to wo us say hum acha profit ya aik new trader ko khud use ker k apny knowledge our experience k oper trade ker k jitne ache earning ker sagta hai wo us business main robot say bhe app khud trade manual ker k ache income gain ker sagty hain humean forex main bus learning pay tawaja dina ho gee pher he us say ache earning our us ko time k sath barha bhe sagty hain
      • #18 Collapse

        bhae hum aik to bonus account k oper robots use naeh ker sagty hain ager app real account main apne traf say investment kerty hain to pehr app ko us main robots ko use ker sagty hain lekin us k leay app ko robot ka use ka use kisi say bhe siekhna ho ga pher he app us main ache earning ker pao gay app ko hard work kerna ho ga our us main ap ko jab tak trading Psychology ki samjh achy say nahe ho gee to pher dosto us main app forex robot ki setting achey say nahe ker pain gay ager app us main heavy lots ki selcetion ker dity hain to pehr ap ko us main wo barey investment jesay k 50000 ki ho ge to pher bhe wo iak din main wash ker day ga to humean us main investment k mutabik he lot size our pher kitnay pips k oper trade wo dosarey lay take profit kia rakhty hian sl dina hia ya nahe ye sab khuch siekhna ho ga to us say behtar to advice yahi ho gee app khud forex ko siekh lain our khud real account main money management k sath trade lain
        • #19 Collapse

          Aksar log forex trading kay liye robot ka istmaal kertay hain aur wo apnay account kay risk kay mutabiq robot ko set ker letay hian. robot bilkul usi input per kam kertay hian jo aik trader apnay liye banata hay. Trader jitni trading kerta hay us kay pechay koe logic hota hay aur usi lagic ki bina per trade say entry aur exit hoti hay. ager isi logic ko software main tabdeel ker dia jay aur us per wo software auto per kam keray to us ko robo kehen gay. aur aksar robot dekhay gay hian jo aik achi trading kertay hain. Trader apnay logics aur asool ko toor sakta hay lakin jo robot apnay logic per banata hay robot usi logic per kam kerta hay aur us main greed aur emotion ka ko asar nahi hota aur wo strictly logic ko follow ker kay correct trade kerta hay. ager koe robot sahi kam nahi kerta to us kay logic aur sofware kay banany main koe error ho sakta hay. is liye main robots ko like kerta hon.
          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
          • #20 Collapse

            Re: Jaiza: Forex trading robots ka istemaal

            Forex trading mein robots ko lay kar bohot misconception ha k robots ziyada tar loss ka bais bantay hain lekin ye sach nahi ha. Robots ziyada tar aam traders ko loss detay hain, jo khud trading nahi kar saktay or dusron k robots use kartay hain, jo unhon ne apnay liye design kiye hotay hain. Ab jo traders programming jantay hain, ya kisi dost/professional ki madad se apni skills aur strategy k hisaab se robot banatay hain, wo robots un k liye faidamand hotay hain lekin yahi robot agar koi dusra traders use karay, to us ko loss ho jata ha, is liye wo traders jo robot use nahi kar saktay, wo loss hi uthatay hain.

            اب آن لائن

            Working...
            X