Pip ya point kia hey?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Pip ya point kia hey?
    Pip/Point

    Pip ka matlab hota hay percentage in point ya price interest point, Forex market me kesi be pair me kam se kam hony wali price changing ko pip kaha jata hay, crude oil ki market price agar 67.88 hay aur agar next movement me agar market price 67.99 ho jati hay to es ka matlab hay key crude oil ki market me 11 pip ki up movement howi hay, professional traders daily pip earning ka hi targets rakty hey, pip ko point ka name be dia jata hay, lot size key kam aur zeyda karny se pip ki value me be changing ajati hay.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    What is Pip (Point in percentage)?
    Point in percentage ya jisko short main pip kehty hain kise bhe currency ke value main sab say small change hoti hai usko pips main count kartey hain. Maslan ab agar aik pair GBPUSD ke pirce 1.2900 hai aur phir price 1.2901 ho jaati hai to us currency main 0.0001 ke Change aai hai aur esko 1 pip change kehty hain. Ab agar wohi pair GBPUSD 1.2900 sy 1.2950 par aa jata hai to total us currency main. 0.0050 ke change hui ya usko ham ye kahin gy kay 50 pips change aai hai.

    Ab zaida tarr pair kay lasy main 4 digits he aaty hain magar kuch pairs jesa kay GBPJPY ya phir USDJPY enn pairs main last main decimal place kay baad 2 pips aaty hain to us main yn 2 pips ma jo tabdeeli aai hai us ko pips main count karte hain.

    What is Pipette?
    Kise broker par aapko currency ke value decimal place main 4 digits main milte hai aur kise broker main aapko currency ke value decimal place kay baad 5 digits main milte hai. To us paanchwin digit ko ham pipette kehty hain. Maslan agar GBPUSD ke value 1.29000 hai aur phir 1.29001 ho jaati hai to esko ham 0.00001 ke jo tabdeedi hoti hai wo 1 pipette kehlaati ha.
    • #3 Collapse

      pips:
      forex trading main pips se murad amoman wo price hoti hai jo kisi bhi currency main point k right side se likhi hoti hai jesy k aghr yah price show ho rahi hai pair main 1.3324 or kuj he der main yahi price change ho kar 1.3328 ho jati hai tu es ka yah mtlab hota hai k es pair main 4 pips ki movemnt up main gai hai jesy jesy yah price increase hoti hai wesy he pips main bhi izafa hota rahata hai pips ko hum points se guse karty hain tu es liye es ko point bhi kha skty hain es k ilwa hmain ji pips ki value milti hai wo hmary bonus k hisab se hoti hai es liye hmain market k hisab se apny pips ka target set karna chahye ta k hmain achi trah se trading k bad achy pips mil saken
      • #4 Collapse

        forex trading main jo currency pair hota hai os ki jo value hoti hai oski changing ko pips kahty hain or trading k liye har pair ko pips k hisab se dekhty hain k market main kitny pips main market up main ja rai hai or kitni down main ja rahi hai es trah hum yah kah ksty hain k currency ki values ko hum pips main dekhty hain masal k tour main aghr hmary apss trading k liye EURUSD pair hai or es ki value main hmary pass 1.2000 main hai os k kuj der bad osi value main 1.2001 izafa ho jaata hai tu es ka yah matalb hota hai k es cureency main aik pip ka izafa ho gaya hai es trah humsub he pair ki values main pips ko dekh skty hain or find kar skty hain market main yah pair kitny pisp up main hai yah down main hai q k down main minus hoti rahti hai value
        • #5 Collapse

          dear jaise k ap jante ho orex market mai jo number chal rahe horte hain wo decimal numbers hote hain on k last point ko pip kehte hain jaie hum kehete hain aur ap ne suna b ho ga k aj gold ya euro ne itne pips kam kiya aur itna movement hoi es liye ap se kahon ga k ap seekho aur smjh k kam karo aur apni life ko set karo..
          • #6 Collapse

            What is pip?

            Pip is abbreviation of Point in percentage. point in percentage ka matlab hai kay kise bhe currency pair ke value main jo sab say choti tabdeeli aati hai us tabdili ko ham pip kehty hain aur trading main jo currency ka uthaar charahao hota hai wo pips ke soorat main dekha jaata hai. lehaza ye forex main kaam karney kay liey basic terminologies main aata hai. Forex main jo curriencies ke value hoti hai wo pairs ke shakal main hoti hai aur us ko takreeban point (.) kay baad 4 hinson ma likha jaata hai aur kuch pairs jesy k yen ka pairs point kay baad 2 hinsy hoty hain. to jo last ma hinsa hota ha us main changes ko pip main change kaha jata hai.

            Example: agar aik pair jesy GBPJPY hai us ki keemat 144.90 chal rahi hai aur us k bad uski value 144.91 ho jaati ha to usko ham kahin gy k uski value main 1 pip ke tabdeeli aai hai.
            • #7 Collapse

              bhai kisi bhi currency ka 100 wa hisa pip kehlata he.
              • #8 Collapse

                Hum Log Yahan Par market Mein investment Jo karte hain kuch paise earning Hum uski tips Mein karte hain sometime isko Hum. Speak kehte hain isliye isme earning karne ke liye Hum Jeete Jyada tips Yahan Par wait Karenge jitne Jyada peeps earning Karenge Humara dollars P Yahan Par kuch nahi Zyada increase Ho Jayenge
                • #9 Collapse

                  Jnb aap nain bilkul sahi kaha hai market main koi bhi movement hoti hai to woh pips ki sorat main calculate ki jaati hai air koi bhi market kitni pips move karti hai itna loss ya profit hota hai air agar aap ka hai main pips move hun to itnain pips kutabiq Ayr lot size k mytabiq apka profit hoya Ayr agar yeah aap ka opposite direction main move karain gay to aap ka itna loss hoga misal k for PR agar gold 1212.12 PR hai Ayr move kar k 1212.13 PR chali gayi hai to market nain aik pip buy main move kiya hai agar yeahi 1212.11 tak move karaygi to aik pip sell main hogi ...
                  Umeed hai aapko post pasand ayi hogi
                  • #10 Collapse

                    Assalamu alaikum bhai Mere Khayal mein kise bhe currency pair ke value main jo sab say choti tabdeeli aati hai us tabdili ko ham pip kehty hain
                    • #11 Collapse

                      g bhai mary kayala main pip ka matlab hota hay percentage in point or ya kisi bhi currency ka hundred wa hisa pip kehlata he. agar aik pair jesy EURUSD hai us ki price 1.1335 chal rahi hai aur us k bad uski value 1.1336 ho jaati ha to usko ham kahin gy k uski value main 1 pip ke tabdeeli aai ha
                      Removed by Moderator.
                      • #12 Collapse

                        Dear jaisy ap ne dekha ho ga k her cheaz ki aik value hoti hai aisy hi ais market mai jab moment hoti hai to hum ais mai ye count karty hai k market ne kitny pips move kia hai ais liay mainy sath picture uplload ki hai aus k zayre ap ko samjha deta hun aus se ap ko asani se samjh aa jaye gi.

                        Click image for larger version

Name:	pip.png
Views:	1
Size:	6.4 کلوبائٹ
ID:	12321181
                        Ais picture mai ap ko nazar aa raha ho ga k ais mai price 5 decimal mai hai aor ais mai jo bilkul smal words nazar aa rahy hai wo point hai jab wo point 10 ho jaty hai to aus se aik pip ban jata hai aor ais mai jo words bary likhy hai wo pips hai ais liay market jitna zayda move kary gi to ais mai hum ko aus k hisab se faida aor profit hota hai jitni hum ne lot lagai hoti hai.
                        • #13 Collapse

                          Forex pe kam karne ke liye aap ko Jyada Se Jyada aap ki value maybe changing karna hoti hai aap dekh Lenge Jab market ki value change ho toh aap investment Kare Jab market ka confidence ke sath Pata Lag Jaye uski direction Ka Pata Lag Jaye aapki planning ke sabse kam kar sakte hai jitni Jyada planning ke sath kaam Karenge aap ko yaad karne ke chances be increased ho jayenge aap ko kabhi bhi aise navasa nahi ho sakta hai ya par Jyada Se Jyada aapko business develop karna Hota on confidence ke saath kaam karna Hota Hai
                          • #14 Collapse

                            Re: Pip ya point kia hey?

                            pip aor point donon aik hi bat hay forex trading main pips ya point market kay point kay up down ko kahty hain jaisa kah ap kah rhay hian agr crude oil ki price 67.99 pr hay aor kuch time bad main oil ki price 68.10 tk chli jati ha to is ko hm khty hian kah gold 11 points ya pips up howa hay aor trader jb lot size ka intkhab krta hay to trader ko us kay mutabiq trading market main pips , points kay hisab say profit earn hota hay is liay trader ko forex trading main in baton ka khyal krna hay trader ko market main pips points ka pta ho trader forex trading market ki price movement ko smjhna hay trader market main lots size ko balance kay mutabiq use karay high lots ka use na karay pips aor point ka mtlb to aik hi hay is bat ki smjh to mara khayal say ap ko a gai ho gi koi mushkl bat to na hay kah pips kia hay aor points kia hain.
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Pip ya point kia hey?

                              Assalamualaikum bhai kaise hai aap Amit Karti Ho ke aap khairiyat se Honge bhai aapne bilkul theek kaha ke Pip ka matlab hota hay percentage in point ya price interest point, Forex market me kesi be pair me kam se kam hony wali price changing ko pip kaha jata hay, crude oil ki market price agar 67.88 hay aur agar next movement me agar market price 67.99 ho jati hay to es ka matlab hay key crude oil ki market me 11 pip ki up movement howi hay, professional traders daily pip earning ka hi targets rakty hey, pip ko point ka name be dia jata hay, lot size key kam aur zeyda karny se pip ki value me be changing ajati hay. Aur main aapki is Baat se hundred percent Mein theek hoon Shukriya Allah Hafiz

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X