forex trading main kitni investmint krni chahye?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    forex trading main kitni investmint krni chahye?
    assalamualikum my dear !!
    main ye pochna chahta hun k hun key kam sy kam kitna forex trading main investmint krna zarri hy ?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    اصل پيغام ارسال کردہ از: waseem202 پيغام ديکھيے
    assalamualikum my dear !!
    main ye pochna chahta hun k hun key kam sy kam kitna forex trading main investmint krna zarri hy ?
    Agar toh aap Forex trading main new trailer hai to aap ko chahiye cake Forex trading Mein So dollars Se Jyada start Mein Kabhi Bhi investor Na Kare qk start mate reading karne nahi aati aur jab traders ka trading experience Jyada Ho Jaye Toh traders ko chahiye ke apne account mein investment Wada Karle aur achi trading Karke Sada profit Banaye lekin is ke liye Jaroori Hai K traders ke paas trading ki knowledge bhi ho
    FRD 07 TRADING JOURNAL
    • #3 Collapse

      dear es key ley traders ko apna trading ka expernice dekna chaye agar trading ka expernice aur market knowledge acha ho ga to esi key base par zeyda investment be kar leni chaye magar expernice aur market ka knowledge agar nahi ho ga to per kam se kam investment aur ideal investment 100$ hay, kam investment karny par be traders ko lot size be kam lagana chaye, trading ka expernice na hony ki waja se us ko kesi kisam ka koi risk nahi lena chaye, kam risk aur kam lot size laga kar agar trading ki jaye to loss ho sakta hay magar account wash nahi ho saky ga.
      • #4 Collapse

        jahan tak mera khyal hai is main ap jitne zaida se zaida investment kar sakte ho apko karne chhaie q k is main apki investment jitne zaida hoge utna he apka capital barhe ga aur jitna apka capital zaida hoga utna he apk loss k chances kam honge aur profit k chances utne he barhain gya although ye hai k investment zaida pai risk hota hai laiken risk directly proportional hai high eanring k jitne ap zadia risk lo gya utne he apki earning bhe high hoge so is main jitna ap invesment kars akte ho utne karo ta k ap is buisness se zadia se zadia profit earn kar sako
        • #5 Collapse

          Dear agar ap ais market mai kaam karty hai to ais mai ye hai k agar ap ais mai investment karna chaty hai to aus se phly ap ais market mai kaam sekhy aor aus k baad ais mai hum ko demo account par kaam karna chaye ta k hum ko market ki samjh aa jaye aus k baad hum ko agar samjh aa jaye to aus k baad hum ko ye dekhna hai k hum ais market mai kitna paisa asani se invest kar sakty hai jitna hum ne invest karna hai phir atna hi demo account bana k kaam karna chaye ta k hum ko pata chal jaye k humri trading strategy ais par kaam kar sakti hai ya nai agar humri trading strategy aus balance par kaam karti hai to hum ko phir apni money invest kar deni chyae ais se ye faida hai k humra paisa thora secure hota hai k hum ne atny hi balnce par apni trading strategy check ki hoi hai aor aus par hum ko trading karny mai masla ni aye ga aor hum ais par aram se kaam kar sakty hai aor forex mai sirf atna paisa invest kary k agar loss ho jaye to life effect na ho.
          • #6 Collapse

            Assalam o alaikum...agr ap forex main invest karna chahtey hain too is ky loye zaruri hy k ap sbb sy pehley forex main kaam karney k liye practice karey or demoo accounts ki madad syy apny knowledge and experience ko increase karey iss sy ap ko bht kuch sekhney ko miley ga or ap main kaam karney ki salahiyat ho gi...is ky baad ap jb chahye forex main invest kar saktey hain or utni e money invest karoo k ap jiss sy ap ko faida ho sakey or app loss sy bach sakoo
            • #7 Collapse

              Forex main investment kay lehaaz say logon main sakook o shubhaat rehty hain kay humko starting main kitne investment karni chahey aur kitna humko us lehaaz say faida ho ga. Lekin ye faisla jab bhe karin soch samjh kar karin.
              Sab sy pehli baat investment kay lehazz sy ye zehan ma rakhni hai k es main aapne utna he invest larna hai jitne aapki gunjaaish hai ya jitna aap kay pass extra paisa parha ha. Agar wo paisa ap ko kise bhe wakt zaroorat aa sakta hai to phir usko aap kabhe bhe forex main invest na karin kunkay forex aik nehayat risk wala kaam ha aur aap apna sarmaya es ma ganwaa sakty hain. Kabhe bhe udhaar lay kar kise say invest na karin aur nahe kise ko profit kay khuwaab dikha kar unko investment par amaada karin. Bas utna invest karin jo aap ko nuqsan ho jay to us say apko fark na pary.
              • #8 Collapse

                My dear friend AP NY bhot hi acha question pouch ha Mary khayal main AP jtni chao investment kr lo laken jtni Kam invesminve kro gye Itna Kam profit Mily ga or jtni Zayada investment kro gye Itna hi Zayada bonus Mily ga AP jtni Cho marzi investment kr skty ho
                • #9 Collapse

                  Re: forex trading main kitni investmint krni chahye?

                  kuch kam hoty hain un main banda apni taqat ky mutabek bhi investmint kary to woh kam hl jata hy or kuch kam hoty hain jen main zeyada paisa lgana parhta hy zeyada investmint karin gy to woh kam chaliy ga kuch kam hoty hain jen main investmint ho bhi thori raqam sakty hy zeyada ni ho sakty kuch kam hoty hain jen main investmint ham apni marzi ki kar sakty hain or or kuch kam hoty hain jen main investmint karobar ky hesab sy karna hoty hy to forex trading main bhi investmint ham apni marze sy karin gy baqi bat rahi naffy nuqsan ki woh hmari mehnut hmary ilam py or hmari qabliyat py hy ham jetny mahfoz tariqy or samjh dari ky sath forex ky qwqnin ko falo karty howey kam karin gy to utna hi naffah zeyada hasel ho ga but forex trading main koe makhsos raqam lgana zarori ni hy woh jetni koe taqat rahkta hy utna paisa invest kar ky kam kar sakt hy
                  • #10 Collapse

                    Re: forex trading main kitni investmint krni chahye?

                    Forex trading main jitni ziada investment ho ge utna he ziada profit earn kiya ja sakta hay. kiyun kici bhi business main jitni ziada investment ki jay ge us ka volume utna he ziada barhy ga aur wo business utni he traqqi kary ga aur profit bhi utna he ziada hasil ho ga. Magar forex trading main surat.e.haal zara mukhtalif hay. agar to traders ko pehly say forex business pay aboor hasil hay aur knowledge bhi hay aur experience bhi hay to phr to chahye jitni marzi investment kar dee jay to koe farq ni pary ga balky aisy traders boht acha profit earn kar lety hain. aur agar traders newbies hain ya kam knowledge aur experience waly hain to fr ziada investment karny ka koe fayeda ni ho ga. siway loss kay kuch hath ni ay ga.
                    • #11 Collapse

                      Re: forex trading main kitni investmint krni chahye?

                      Forex trading main trader ko investment kernay kay liye yeah bat zahn main rakhni chahye kay jis trah say trader kay paisay bank account mani safe hotay hain aisay hi trading account main bhi safe hotay hain ager broker registered hay to. is liye trader ko wo sari amount invest kerni chahye jo trader ka pas free ho jisko trader nay spare main rakha ho. lakin trading kay liye trader ko pori amount per risk nahi lena chahye. riks sirf us amount per lay jo amount trader kay liye loss kerna mumkin ho sakay. kabi bhi utna risk na len jisay trader khud bardash na ker sakay. is liye soch samag ker aur thora risk lena hi trader kay liye best hay.
                      • #12 Collapse

                        Re: forex trading main kitni investmint krni chahye?

                        Dear starting mein ap ko kuch investment nahein karni chahiye aur is k ilawa mein ap ko advice donga k ap forex mein apna time investment karein ziyada sy ziyada taky ap jub koi real investment chahy 10 usd bhi investment karein to bhi ap acha profit gain kar sakein experience ki base per
                        😍😍😍😍😍😍.ACHA KARO ACHA HOGA.😍😍😍😍😍
                        • #13 Collapse

                          Re: forex trading main kitni investmint krni chahye?

                          Dear agr ap new traders han to ap ko aik dam sy investment ni krni chaiy phly forex ko achi tra learning kr k usy achy sy study karan phr us k mutaliq bot sa knowledge or experience hasil karan experience hasil krny k liay zrori hy k demo account bna kr us m practice kr k experience hasil kia jaiy us k bad b agr ap trading sekh jaty han phr b ap ko direct trading ni krni chaiy phly posts kr k bonus hasil krna chaiy aik to ap ka knowledge barhy ga dosry jo bonus ap ko mily ga us py trading kr k ap profit b or experience b hasil kr skty han phr ap chahan to real account m trading kr skty han ap jitni chahy investment kr skty han ap jitni eford kr skty han utni investment karan
                          • #14 Collapse

                            Re: forex trading main kitni investmint krni chahye?

                            Forex trading business mein investment karne ki koi limit nhi hy ap forex trading business mein kam se kam investment bhi kar saktay han aur ziada se ziada investment bhi kar saktay han is mein investment karne ki koi limit nhi hy ye tu depend karta hy ap par agr tu ap forex trading business mein new trader han aur ap ko forex trading business mein itna ziada knewledge learning aur experience nhi hy aur ap forex trading business ki market ko ziada samjh nhi saktay tu phr ap ko forex trading business mein kam investment hi karni cahaiye kiok agr ap learning knewledge aur experience kam hone se ziada investment kartay han tu ap ko loss hone k chance ziada hotay han aur ap ziada investment kartay han tu wo loss bhi ho sakti hy agr learning knewledge aur experience acha hy tu phr ap ziada investment kar k ziada profit earn kar saktay han kiok hum ko jab bhi forex trading business mein investment karni ho tu apne knewledge aur experience k mutabik hi karain gay tu hi kaamyaab ho saktay han
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: forex trading main kitni investmint krni chahye?

                              Dear friend forex trading main humy itni investment karni chae ha k hum loss ho bi jay to humy koi tension ya koi ghar main masla na ho humy apni saving ka 30 % sy ziada investment ni karni chae ha ta k loss bi ho to humy ziada feel na ho forex trading main investment karny sy pehly humy forex trading ki tiari bi karni chae ha proper learning or practice karni chae ha jis sy humy maximum knowledge or experience hasil karna chae ha ta k hum analysis ache tahra kar sakeny or apni life ko behtar bana sakeny is k ley humy both ziada mehnat karni ho ge tab he hum kamyab ho sakeny gy

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X