kya forex islaam main haram hy?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    kya forex islaam main haram hy?
    assalamualaikum dear member main umeed krta hun ap sab kheriyat sy hun gy

    dears senior mera sawal ye hy k islam main forex 100% halal hy is main sood ki koi qisam to shamil nai hy is main agr koi haram trading hy to please ham sab new member bhaiyon ko agah kren taky khuda k khifaf elan jang sy bacha ja saky

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    g bilkul yeh posting wagaira krny me to koi galt bat nhi hy ar trading ka mjhy itna idea nhi hy agr kisi ko pta hy to plzz share kry ta ky sb jaan saky
    • #3 Collapse

      اصل پيغام ارسال کردہ از: waseem202 پيغام ديکھيے
      assalamualaikum dear member [FONT="]main [/FONT]umeed krta hun ap sab kheriyat sy hun gy

      dears senior mera sawal ye hy k islam main forex 100% halal hy is main sood ki koi qisam to shamil nai hy is main agr koi haram trading hy to please ham sab new member bhaiyon ko agah kren taky khuda k khifaf elan jang sy bacha ja saky

      Forex trading Islam Mein Halal bhi hai aur haram be Yeh To traders pe depend karta hai ki wo Kis Tarah trading karte hain Agar traders Islamic tarike se trading Karte Hain To Unki trading Halal hai lekin Agar traders swap free account nahi banate to Unki trading haram Hogi qk swap should ko kehte hain aur Shudh Pakistan mein aaram hai
      FRD 07 TRADING JOURNAL
      • #4 Collapse

        dear ye to sab hi janty hey key business islam me haram nahi forex business me gold ki earning mery khayal me haram ho sakta hay aur jes ka account swap free nahi hota es ki earning be haram hoti hay, gold ki earning es waja se haram hoti hay key (ye me ne suna hay mujy conform knowledge nahi hay) key jab tak gold me app key hath me nahi ajata app agar es ko sale karo gey to esi ki earning haram hoti hay, islam me gold par app ka qabza ho ga to hi app es ko sale kar sakty ho, agar other pairs me ham trading karty hey aur hamara account be swap free ho ga to esi earning haram nahi hoti.
        • #5 Collapse

          Forex Haram Hai Ya Halal?

          Bahi ma koi islamic scholar to nahi hun jo ma daleel kay sath baat kar sakun lekin jitna mujhy maloom hai forex ka kaam halaal taswar kiya jaata hay. Forex main kafi zaida tadaad ma musalmaan kaam kar rahy hain aur takreeban har kise k zehan ma ye sawal lazmi hota hai kay ye buisness haraam hai ya phir halaal hai. Aur kafi saary bandon nay online bhe share kia hai kay forex ka buisness halaal hai. Aur ess buisness main specially muslims kay liey aik SWAP Free Account ka option hota hai wo aap account banaain to us main say na aap say sood liya jaata hai aur na hee apko sood diya jaata hai. Lehaza sirf jab account bnaain to sawap free account bnaana na bhoolin.
          • #6 Collapse

            My dear friend AP NY bhot hi acha question pouch ha Mary khaya ma forex trading hram bi ha or halal bi kau ky Jo him log account bnaty ha wo swep free account Hota ha Jo ky Islam ma halal ha jib ky Jo log swep free account nhi bnaty ha wo Islam ha harm ha Jo ky ek muslm ko nhi bnana chya
            • #7 Collapse

              Dear jaha tak baat hai Halal aor Haram ki to ais k bary mai jitna mujhy pata hai wo ap ko bata deta hun ais market mai hum ne sirf buy aor sell karna ni hota ais mai hum ne analysis karny hoty hai aor aus k hisab se kaam karna hota hai ais mai hum agar jowy k tor par agar kaam karty hai to wo haram hai ais mai agar hum study kar k ais mai kaam karty hai to ais mai ye hai k hum ko pata hai k ais mai kaisy kaam karna hai aor ais mai hum ne kitna time dena hai agar hum ais mai mehnat karty hai aor ais mai anlysis k hisab se kaam karty hai to ye halal hai kun k hum ne ais mai study ki hai aor aus k hisab se kaam kar rahy hai ais mai jo sekha hai aus k hisab se kaam kar rahy hain.
              • #8 Collapse

                Re: kya forex islaam main haram hy?

                ​ Assalamualaikum bhai Apne bahut accha Sawaal kiya hai aur Main bhai Apne bahut accha Sawaal kiya hai aur Main aapko Uske baare mein ek baat batana Chahta Hoon ke Agar bhai aapne bahut accha Sawal kiya hai aur Main aapko Uske baare mein ek baat batana Chahta Hoon ke Agar Hum Log ke sath reading Karte Hain haram hai
                Removed by Moderator.
                • #9 Collapse

                  Re: kya forex islaam main haram hy?

                  forex markit main kam karna eik tejarat hy to tejarat hram ni halal hy agr sahi asolon ko mady nazar rakh kar ki jae forex main kam karna us waqt hram ho ga jab us main sowd ka koe pehlo dikhae dy ga q keh islam main sowd hram hy ab ham ko ghor karna ho ga keh kia forex ky kesi bhi pehlo main koe sowd wali ghlak to nazar ni a rahi agr kahin py istrah ki koe khrabi hy tub to hy hram agr sowd ka koe pehlo nazar ni ata to pher hlal hy or jo mairy ilam main hy forex markit ki maelomat us main mujhy to sowd wali koe bat nazar ni atti ab jo main kam kar rha hon woh hy thread ka jawab dina agr mira jawab ho ga thik to us ky badly mujhy boynus mily ga yhan jens hy bdli hoe to jhan py jens bdl jae whan par us karobar main sowd ka dr ni hota to lehza is trade main to is trad main sowd sapet ni hota lehaza yeh jaez or halal hy
                  • #10 Collapse

                    Re: kya forex islaam main haram hy?

                    bhai sub se pahly tu islam main haram buisness ki kiya terms hain un k bary main jan len azarori hai q k sirf kah deny se na tu koi business haram hota hai or na he halal kah skty hain es liye main apko batata chalun k forex trading aik online trdaing business hai jis main account bnanaty wqt hmain aik option diya jata hai swap account ka or swap free account hai jesa k hum sub janty hain k swap sood ko khaty hain or swap free account main ap sood se trading ka business nahi karty hain or yah aik islamic trading bsuiness hai jis main hum halal trakiy se trdaing karty hain wesy bhi islam main wo business haram hota hai jis se hmain khud ko kisi bhi trha ki mahnt nahi karni parhti hai jub k forex k business main hmain boht mahnt karna parhti hai or har trador ko mahnt k bad he es business main kuj milta hai bethy bithay kisi ko bhi kuj nahi milta hai
                    • #11 Collapse

                      Re: kya forex islaam main haram hy?

                      yes dear islam mein wo har kam jis mein koi bhe nafa or nuqsan ho lekin us mein fixed cheezen na houn hhoun jesy kay paisy kisi ko udhar dyny or us mein ap fixed raqamj zyada lo isi tarha forex mein bhe fixed profit hota ha lekin is mein nuqsan ksay chances bhe hotay hein is liye or behtar tor pay is mein ek swap free account hota ha ho kay sirf or sirf islamic accoujnt holta han jis mein agar ap nay koi bhe trad lagai hoti ha to us mein fixed nahi baklay kuch comission kat kay apko milta ha jo kay real mein islamic rules kay mutabiq ek perfect account ha is liye forex ek acha or halal business ha is liye apl swap free account bna kar use befikar ho kar i think kay sakty hein lekin iska mery point of view say forex hilal ha lekin behtar tor pay hammary mulana mufti sahib koi bta sakty hein
                      • #12 Collapse

                        Re: kya forex islaam main haram hy?

                        Aisa business jo nafa aur nuqsan ke shirakat ke bunyad par kiya jay wo Islam man jayz hota hay. Forex trading main hamen nafa bhi hota hay aur nuqsan bhi hota hay. Forex trading main brokers hamen swap free Islamic account provide karty hain jo ky Islam man bilkul jayz hain. Un main hamen apni trades par koe swap waghera ni dena parta. Jis account maan swap dena pary wo Islamic ni hota. Baqi Allah Pak behtar janta hy. Lekin jb broker ham sy swap ni lety aur hamen Islamic account keh kar open karwaty hain aur fr is business main jab ham money invest karty hain to hamen jahan par munafa hota hay wahen nuqsan bhi ho jata hay to is lehaz say to forex trading Islami lehaz say jaiz banti hay.
                        • #13 Collapse

                          Re: kya forex islaam main haram hy?

                          Ji han bhai sahib ap nay bohat hi aehan sawal kia hay ke kia foex islam men haram hay? Mohtaram yeh bohat hi Hassas qiasam ka sawal hay kiun k ham muslims han is liay islam kay mutaliq koi bhi baat poori tasdeeq say karni parti han jab keh ham men say boht say aisay log han jo islam kay bar men namaz roza tak hi jantay han is say ziada kuch nahen jantay Islaam men woh kam haram han jis ka ALLAH aor us kay Rasool Hazrat Muhammad SW nay mana farmia ho ya jo kam islam kay rules kay khilaf ho woh haram hay lehaza Forex agar Islaami qawaneen kay mtabiq ho gi aor is men sood ka len den shamil nahen ho ga to ye halal aor jaiz hay aor agar ye Islaam kay qawaneen kay khilaf hay aor is men sood ka karo bar aor len den hota hay to yeh haram aor mnah ho gi is liay Forex kay baray men halal aor haram jannay kay liay kisi Aalim e Deen say rabta karna bohat zarori hay.
                          • #14 Collapse

                            Re: kya forex islaam main haram hy?

                            g han waseem bhai main apki bat se sehmat krta hun forex trading ka business islam main halal hai es maian kisi bhi trha ka koi intrest nahi hai q k jub hum apna trading account bnaty hain tu hmary liye aik option hota hai jis main hum swap free account bnaty hain jis main hmara trdaing ka business halal ho jta hai or hum os main apny business ko islam k according kar skty hain main haram busisness ayh k koi bhi haram kam hai os k bary main mera khyal hai k wo hota hai jis main hmain kisi bhi trha ki mahnt nahi karni parhti or hmaina yse he bethy bithay paisa milta rahta hai jub k forex k business main aysa kuj nahi hai na tu es main koi bhi sood ka system hai or na he yah haram hai es main hmain mahnt karni parhti hai jis k bad hmain es main eraning milti hai free beth kar hmain kuj bhi forex nahi deta hai
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: kya forex islaam main haram hy?

                              Asalam o alikum friends ap ny both acha question kea ha main koi alam ya mufti ni hon ye mara apna khyal ha forex trading mary khayal sy halal ha q k is k ly hum learning karty han seekty han practice karty han mehnat hoti ha or phr is k sath hum log investment karty Han or is main loss or profit donu han agr is main sirf profit hota to hum keh sakty the k is main profit he profit ha loss ni ha to ye haram ha islam k mutabiq ap koi bi business karny jis main loss or profit donu hon or us pe ap mehnat bi karty hon to ye halal ho ga baqi Mary dostu please kisi achy alam ya mufti saab sy confrom Kar lan or share kar lan ta k confusion khatam ho jay sab dostun ki or Khushi sy trading karny or kisi ko koi shaq bi na ho is main is baat ka khas khayal rakheny k jab bi forex trading main account open karny to wo swipe free hona chae ha bas

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X