Lot size ki importance forex main???

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Lot size ki importance forex main???
    Dosto main nain kaafi baar parha hai aur post bhi daikhi hain k forex main lot size bht ehmiyat rakhti hai aur insan ko lot size apnain account k mutabiq lagani chaye agar chota account ho to chota lot size aur agar barha account ho to barhi lot lagayen koi bhi senior member is k baray main mazeed detail say bata sakta hai k humain kitnain barhay account main kitni barhi lot lagani chaye aur is ki ehmiyat kia hai????
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Trading Main Lots Ke Importance Aur Istemaal:

    Agar aap forex trading kar rahy hain es main lots ka shee istemaal aur en ke ehmiyat sy aap ko wakfi bahut zaroori hai. Agar aap koi bhee trade open karny lagty hain to aap ny ye pehly say dekhna hai kay kitna capital aap risk par ly rahy hain aur kitna lot size aap nay select karna hai. Kun kay ye bbt he sensitive cheez hai es ka ghalat estemaal ya phir anjaany main ghlat istemaal aap ko bhout he mushkil main daal sakta hai.

    Micro Lot ka istemaal:
    Micro lot sab sy chota lot size hai jo lay broker aapko provide karta hai. Micro lot 1000 units kay brabar hoti hai aur micro lot main 1Pip ke value 10 cent yani agar dollar main account ho to 0.10$ kay brabar hoti ha. Micro lot choty account capital kay liey best hoti hai.

    Mini Lot ka istemaal:
    Mini lot kay baad micro lot ka account aapko broker muhaiyaa karta hay. Jis main lot 10000 units kay brabar hoti hai. Aur market main 1Pip ke value 1 dollar kay brabar hoti hai. Darmiyaany capital waly accounts kay liey mini lot ka option zayda suitable hota hai.

    Standard Lot ka istemaal:
    Standard lot mini lot kay baad aata hai aur ye mini lot sy 10 guna jab kay micro lot say 100 guna bara hota hai. Standard lot 100000 units kay brabar hoti hai. Aur market main 1Pip ke value 10$ kay brabar hoti hai. Bary capital waly account aur jo log trading main mahaarat rakhty hain un kay liey standard lot best choice hai.
    • #3 Collapse

      Aslam o Alaikum bhai forex mein trading ky liye apko lots ky istemal ki makamal maloomat honi chhaye trade karnay lagay sab sy pehla kam ye hota ha ky ap kitna capital ap risk pr ly rahay hein aur lot size apnay kitna select kia ha q ky ye baat janana boht xarori ha is mein galti ki waja sy ap bari mushkil mein apr saktay hein
      sab sy pehlay micro lot ye lot sab sy chota size ha lot ka ye lot 1000 units ky barabar hoti ha aur is mein 1 pip ki value 10cent ky barabar hoti ha dollars mein ye 0.10 dollars banay gi ye lot chotay accounts ky liye hoti ha
      is ky baad ati ha mini lot ye lot apko broker daita ha jis mein lot 10000 units ky barabr hoti ha aur 1 pip ki qimat 1 dollar ky barabar hoti ha ye lot darmiyanay accounts ky liye hoti ha
      is ky baad ati ha standard aur akhri lot ye lot un logon ky liye ha jo trading mein expert hein ya jin ky baray account hein ye lot micro lot sy 100 guna zaida bari hoti ha aur mini lot sy 10 guna standard lot 100000units ky barabar hoti ha
      • #4 Collapse

        FOREX TRADING MAIN JUB HUM TRADING KARTY HAIN OR AIK PAIR KO SELECT KARTY HOWE OS MAIN ORDER LGATY HAIN TU HMAIN OS MAIN INVEST KARNI HAI JO K HMARY PASS AVOULABLE BONUS HOTA HAI OS MAIN HUM MANG KARTY HOWE LOT SET KARNI Hoti hai es k liye apko apny account ko chak karna hota hai k hum apny account se kitni lot lga skty hain jub hmary account main bonus zeyda hota hai tu hum bari lot bhi lga skty hain maghr jubhum bari lot lagty hain to os main risk zeyda hota hai maghr xepert trador manag kar skty hain jub k thory bonus main hum kbhi bari lot nahi lga skty hain
        • #5 Collapse

          forex trading main lot ki boht ahmiyat hai q k hum apni trading ko lot ks ath he pori karty hain es ka yah matalb hai k hmain apni trading main invest kitni karty hain or jub hum apni trading main jitna invest karna hota hai lot k sath set karty hain es ka ik method hota hai jub wo apni trading main bonsu ko invest karty hain es liye jub hum trading karty hain or os k liye bonsu ko invest karty hain tu hmain apny bonus k hisab se trading karni hoti hai zeyda bonus par hum bari invest kar ksty hain or lot bhi bari lga skty hain or choty bonus k sath lot kam lga skty hain
          • #6 Collapse

            Lot size kay fully enhisar direct hamaray account ki value par hota hay agar hamara account kam balance ka hay to chahye ham jitney marzi confident ho profit ko earn karnay main hamin kisi surat bhi bari lot nai lagani chahiye jitney bhi senior aur mature traders hein wo bara account honay kay bawajood bari lot lagana recommend nau karte kiun kay forex market kay koi pata nai hota kisi ko bhi kabhi khabi forex market unexpected move kar jati hay is tarha agar hamri lot size bari ho gi to bajaye hamin profit hone kay ulta loss ho jaye ga ham asal main greedy ho jate hein jab hamin thora say bhi profit ho is liye ham bari lot laga kar jaldi main profit earn karna chahte hein aur loss kar bethte hein
            THKS
            • #7 Collapse

              Lots ki Importance Forex mein :

              Dear forex trading business mein lots ka sahih istemal krna boht he zarore hota he aur jo traders new join hote hien aur woh forex trading business mein lots ke sahih istemal ko smjhe bagher apne lots zyada lga dete hien un ko loss ho jata he to es lie lazme he keh trader forex trading business mein trading lots lagane se phle apne account balance ko check kre jitna account balance ho utna he trader volume ke lots ka istemal kr skta he agr zyada high lots ka use krta he aur balance account mein km he to trader ko kabhe profit ke umeed na rhe ge aur trader loss kr bethe ga to mein ap ko yeh btate hon keh kon kon se lots kitne kitne account balance mein sahih hote hien tafseel mulahiza frmaein..........

              Account Balance 10$ to 100$ :

              Dear hr trader chahe woh new ho ya old ho agr us ke pass account balance $100 se km he to us ke lie lazme he keh woh apne trading mein mini lots ka istemal kre mtlb keh woh es account balance se 0.01 volume ke lot ka istemal kre es se zyada high lots agr trader laga deta he to trader ke account ka wash hone ka khtra barh jata he jo keh trader ke lie sahih na he aur forex trading rules aur risk management rules ke khilaf hota he es lie trader 0.01 se 0.02 tk ke volume lots ka istemal es account balance mein kr ke safe profitable trading kr skta he.

              Account Balance 100$ 1000$ :

              Es account balance mein trader ko ache profitable trading krne ke lie 0.03 se 0.05 volume tk ke lots ka istemal krna chahe takeh trader ke trading mein risk involve na ho aur trader asane se apne trading se profit hasil krne mein kamayb ho ske to mein yeh kahon ge keh ap es account balance mein 0.05 ke volume lots istemal kr ke apne trading mein bhtr la skte hien aur risk free trading kr ke acha profit bhe kama skte hien.

              Account Balance 1000$ to 5000$ :

              Es account balance mein trader ko safe aur risk free trading krne ke lie volume lots ka size 0.05 se 0.10 tk ka istemal krna chahe es se zyada high lots ka istemal krna safe nhe he aur phr high risk involve ho jata he aur trader ko losses ka khtra barh jata he to mein yeh kahon ge keh ap es account balance mein agr ache profitable trading ke khahish rkhte hein to yeh chote volume ke lots mtlb keh 0.05 se 0.10 tk mahdod rhein es se zyada lots hrgiz istemal na krein to ap ke trading bhtr ho ge aur ap acha profit bhe hasil krne mein kamayb ho skein ge.

              Account Balance 10000$ ya es se zyada:

              Agr trader ke pass account balance 10000$ se zayda he to us ko chahe keh woh apne trading account mein lots 0.10 se 0.50 volume rkh kr apne order lagaein es se high level ke lots ka istemal bhe loss ka sbb bn skta he to yeh batein thein jo mein ne ap ke sath share kr de hein aur agr kse trader ke pass big investment he aur us ke pass account balance boht zyada he mtlb keh 20000$ se 50000$ tk ka he ya es se bhe zyada he to phr woh standard lots ka istemal kr skta he mtlb keh woh 1.00 ke volume lots ka istemal kr skta he.

              To yeh batein jo mere knowledge mein thein ap ko bta dein hein aur ap ko chahe keh agr ache trading krne he aur forex trading mein aik professional aur successful trader bn kr apne trading krne he to ap ko in lots ka istemal krna chahe jo mein ne tafseel se oper bta de hein es trah se ap apne trading mein bhtreen profit hasil krein ge aur ap ko kabhe loss bhe nhe ho ga.
              • #8 Collapse

                اصل پيغام ارسال کردہ از: manobhai078 پيغام ديکھيے
                Dosto main nain kaafi baar parha hai aur post bhi daikhi hain k forex main lot size bht ehmiyat rakhti hai aur insan ko lot size apnain account k mutabiq lagani chaye agar chota account ho to chota lot size aur agar barha account ho to barhi lot lagayen koi bhi senior member is k baray main mazeed detail say bata sakta hai k humain kitnain barhay account main kitni barhi lot lagani chaye aur is ki ehmiyat kia hai????
                Trading karte huye achhe lot size ka decide karna bahut jyada important Hota Hai Jo keh Agar traders Jyada Bada lot size Laga Denge toh hone ke liye trading karna bahut rishti ho jayega aur thodi si bhi market unke against gayi toh unko bahut jyada loss ho sakta hai isliye Jab We trade Kare Tu samor lot size use kare is se traders ki trade long term kab Chalegi aur loss ke recover hone ke chance Aise Bhi Honge
                • #9 Collapse

                  Lot size ki ahmeyat
                  Dear members firex trading ma apko maloom hai ky tisk bahot zeyada hai lehaza apko yahan py lot size yehni ky trade lagty huy choti value ki trade lgani chye jo ky apky account ko safe rakh sky agr ap ky against bhi market jati hai to bhi apko trading ma heavy liss na uthana pary aor ap apny account ko kisi bhi stage py manage kr sken forex forum ma apko bht best tareeky sy har aikpehlu py prhata jata hai knowledge share kia jata hai ky ap ny trading ma kon kon sy steps py amal krty huy profit earn krna hai apko un steps ko zehn ma rakhna chye safe trading ky leay apko apny Maximum capital agr 200 ho to lot size .10$ he rakhni hai is sy zeyada rakho gay to account ht risk ma chla jata hai
                  • #10 Collapse

                    forex may kaam karnnay k lye haamri lot size income khatam ho gye ha jis ki waja say haam yahan say long time trade lagany k lye yahan say apnay acocunt ko manage nahi kar skty han or haamra daily base par capital increase hony may b kafi problem ho paye gi jis say kafi nuksan ho ga
                    • #11 Collapse

                      My dear friends mary Khayal ma AP ki bath sy bilkol agree krta ho kau ky ager him log ko acha profit bnana ha to is ky leya him logo ko Kam Sy Kam lot size lagani Chaya ager lot size Kam ho gye to him log acha profit hasil KR skty ha or ager lot size big lgaty ha to phir hmra account bi wash ho skta ha is leya him logo ko lot size ko Kam rkna chya
                      • #12 Collapse

                        اصل پيغام ارسال کردہ از: manobhai078 پيغام ديکھيے
                        Dosto main nain kaafi baar parha hai aur post bhi daikhi hain k forex main lot size bht ehmiyat rakhti hai aur insan ko lot size apnain account k mutabiq lagani chaye agar chota account ho to chota lot size aur agar barha account ho to barhi lot lagayen koi bhi senior member is k baray main mazeed detail say bata sakta hai k humain kitnain barhay account main kitni barhi lot lagani chaye aur is ki ehmiyat kia hai????
                        trading karte huye lot size bahut meter Aati Hai ISI liye lot size ko decide karna bahut hi jyada kam Hota Hai Wo Jab Bhi lot size Lagaye toh Soch Samajh Kar Lage Kabhi Bhi Jyada lot size pe trading Na Kare ICSE traders ko bahut nuksaan ho sakta hai Agar hum Badi lot size lagakar trade Karenge toh Hamara Kahoon toh bahut jaldi wash bhi ho sakta hai
                        FRD 07 TRADING JOURNAL
                        • #13 Collapse

                          Lot size ki selection par hi risk/reward ratio ka daro'madar (depend) hota hay, market me achi trading be best aur ideal lot size ki selection par hota hay, some time jab hamara account wash ho jata hay to es ki main waja hi lot size ki ghalat selection hoti hay, lot size ki selection different pairs me different honi chaye, gold me lot size ki selection hamari agar kam ho gi to ye ideal lot size ho gi esi tarha crude oil market ki agar bat ki jaye to gold ki tarha crude oil me be hamari lot size selection 0.04 se zeyda nahi honi chaye agar account balance zeyda ho to traders ki koshish hoti hay key wo lot size zeyda laga kar hi trades open kary magar me es ko over trading hi samjta hon.
                          • #14 Collapse

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: manobhai078 پيغام ديکھيے
                            Dosto main nain kaafi baar parha hai aur post bhi daikhi hain k forex main lot size bht ehmiyat rakhti hai aur insan ko lot size apnain account k mutabiq lagani chaye agar chota account ho to chota lot size aur agar barha account ho to barhi lot lagayen koi bhi senior member is k baray main mazeed detail say bata sakta hai k humain kitnain barhay account main kitni barhi lot lagani chaye aur is ki ehmiyat kia hai????
                            Assam Alaikum Ji Bhai Jaan trading business Mein lot size ki bahut jyada Amir rehti hai Kyunki Agar aapko Yeh Sahi tarike se Maloom Nahi Hoga ke aapko kon se Pare par kitne lot Rakhna hai to aap Hamesha Hai nuksaan Mein rahenge lot size 1 quantity measurement hai Ke aapko Kitna Saman kharidna hai aur kitne sale karna hai tu iske liye Har Kisi pair par aap ko Maloom hona chahiye ke aapko Kitna lot size Rakhna hai lot size ki ahmiyat bahut jyada hai iske liye aap ko chahiye ke apne poora saal ke sath aur pair ko acche tarike Se Dekhne ke baad aap apna lot size set kare
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              dear lot size ki importance bohat he zarori ha jis ki help sy or lot size lga kr k ap is mein achi earning ki ja sakti ha q k forex ek acha or kamyab business ha jis mein achi earning krna zaori tabhi bnta ha jab ap k pass acha experience or knowledge hoga to ap is mein bohat he achi earning kr sakty hein or acha lot size sy ap kamyab profit earn kr sakty hein is liye ap lot size kam use kreen to behtar or lost trading sy bach sakty hein is liye zarori ha k ap forex mein kam lot size use kreen ta k zyada profit ki lalich mein ap zyada loss na krwa sakeen

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X