Long time investment gold main kaisay karain ?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Long time investment gold main kaisay karain ?
    ap loog yahan say long time working karnay k lye ap yahan say mamrket mmay long time k lye gold mamy invest karyen or yahan say kafia auchy walai amount ko gnenrate kar skty han or is say ap ka kaam ko kafi faida mill skta ha or is say ap ko kafi support mill skti hha yaahn say
    Last edited by ; 03-09-2018, 09:53 PM.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Dear gold par trade karna bahot hi asan hai agar ap k pass account thora sa bara hai aor ap gold par trading karty hai to ap ko ye pata hona chaye k ap ne ais par aik plan k hisab se kaam karna hai, jaisy dear ap ne ais mai long term investment ki baat ki hai to ais k liay ye zarori hai k ap k pass bara account ho aor ap jo lots select kary wo ais hisab se ho k gold agar ap k opposite bhi chala jaye to ap ka ais mai account wash na ho,

    Gold par trading plan
    dear agar ap ne gold par kaam karna hai to ap ne ais mai sirf trend mai hi trade karni hai aus k liay ye hai k ap phly market ka long term trend check kary agar market ka trend up hai to ap ais mai buy lagaty jaye gay aor aus k liay aik tareeka hai.
    sab se phly ap ye dekhy k ap k pass balnace kitna hai aus k baad ap ne gold ki moment dekhni hai agar abi gold down aa raha hai to ais year ka low dekhy.
    janb ap ais year ka low dekhy gay to ap ko samjh aa jaye gi k gold kaha tak down ja sakta hai aus k baad ap ne ais k low points pakarny hai jaha se gold bar bar up jata hai mean aun low points ko tor ni sakta ap ne waha se entry leni hai aor aun trades k sath na to ap ne take profit lagana hai aor na hi stop loss lagana hai.
    aus k baad ap ne jo trade lagai hai ausi same lot k pending orders place karny hai.
    For Example aj kal gold 1200 par hai aor ap ne yaha se buy kar lia hai ais k baad ap ne buy ka pending order lagana hai 1150 se aus k baad ap ne 1100 par aik pending order lagana hai buy ka ais se aik to ap k account par zayda orders ni ho gay dosra ais se ap ka account bhi safe ho ga kun k agar ap ais ne ais mai orders zayda laga diay to ap ais mai confuse ho jao gay aor sath hi ap ais mai ghaltian karo gay kabi lot bari laga do gay kabi ap ais mai apni trades ko hedge kar do gay apne simple ye pending orders laga k choar dena hai aor aus k baad ap ne sirf market ko dekhna hai jo ap ne plan banaya hai ais mai ap ne ais ko change ni karna. ais mai jab ap ki kucch trades profit mai aana start ho jaye gi to aus k baad ap ne ye karna hai k jo trade profit mai aa jaye to aus ka stop loss entry point par laga lena hai aor aus k sath aik aor buy ka order laga dena hai. jaisy market ne ap ka 1150 wala order autha lia hai aor market 1170 par hai to ap ne apny order ka stop loss entry point par lagana hai aor aus k sath ap ne 1170 se same lot se buy kar lena hai ais se agar market down jati hai to ap ki aik trade loss mai jaye gi aor ap ka account safe rahy ga magar buy mai jati hai to ap ko double profit ho ga aisy hi apni buy ki lots zayda karty jana hai aor aus k baad ap ko ais mai profit hota rahy ga.
    • #3 Collapse

      Long Time Gold mein Investment :


      Dear forex trading market mein gold ka pair aik boht he acha profitable trading ka pair he aur trader ko chahe keh woh gold pair mein trading kre takeh trader ke investment mein izafa ho aur jb trader gold pair mein trading krta he aur trader ko gold ko ache trah se analysis krna ata he aur trader gold pair ke sahih analysis kr leta he aur gold pair ke current price aur market mein gold ke trend ko smjh kr order place krta he to trader ko boht acha profit gold pair se ho jata he aur gold pair mein long term trading krna bhe bhtreen trading ka tareeqa he aur trader ko gold short term mein bhe boht acha profitable sabit ho skta he aur trader ke lie yeh lazme hota he keh woh gold mein trading ke lie ache investment kre aur gold pair mein volume aur risk ko ache se smjhe aur apne trading mein acha experience aur knowledge ho trader forex market mein gold ke hr news updates ko follow krte howe gold ke trading krein aur forex trading mein gold ke investment se hm apne ache amount generate kr skte hien aur hmare lie yeh lazme hota he keh hm gold pair ko sahih tareeqe se trade krein gold pair mein high volume ke lots ka istemal na krein aur gold mein risk management ko aur money management ke rules ko follow krein phr gold hmein boht he bhtreen faida de skta he.
      • #4 Collapse

        gold me long term trading karny key ley gold ki market ka long time key base par analysis karna chaye agar overall market movement bearish ho to traders key ley zarori hay key wo long term trades market ki moving average ko follow karen, gold ki market movement ko understand karna zarori hay long term gold me trades open karny key ley bahot hi careful ho kar market ko analysis karna chaye es ki waja ye hay key agar gold ki market ko samjny me ham ne koi be mistake ki to es ka result traders key account be wash kar sakta hay.
        Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	1
Size:	7.3 کلوبائٹ
ID:	12318789
        • #5 Collapse

          G han jnb aap nain bht achi bt ki hai main agry karta hun ap say gold main long term trading ki ja sakti hai but is k liye aap ka expereince kaafi hona zarori hai aur doosra gold pr trading khaas tor pr long term trading k liye aap ka account barha hona zaroori hai minimum bhi aap ka account itna barha ho k aap agar markeet k mukhalif vbhi trade laga bethain to aap ka account wash nan ho paye tb hi aap trade lagayen aur doosra apni lot size zaroor check kar lain k yeah aap k account k mutabiq hai ya ni aur apnain account k mutabiq lot size ko tarjih dain lalach main bilkul nan jayen aur araam say sabar say trade karain main aap ko chamd aik cheez batta hun jo k bht hi zarori hain gold pr trading karnain k liye khaas tour pr long term trader k liye
          Analysis before trading...
          G han jnb jub bhi gold pr trading karnain lagain sb say pehlayachi tarahanalysis kar lain aur daikhain k markeet kia behaviour show kar rahi the aur abhi kia chances hain aagay k is k liye donon analysis bht zarori hain aik fundamental aur technical anaylis dono kar lain agar aap aik k saharay bethay rahengay khaas tor pr gold main to aap kamyab ni ho payen gay lehaza both analsis ko tarjih dain aur last weak k chart zaroor check kar lain k gold kon sa trend show kar raha hai aur gold pr trade tb hi lagayen jub gold ksii tremd main ho ni to rukjayenkuch dair or waot karain jub tak aap ko koi achi trade ni mil jaati..aurjubachi trade mil jaye beghaur koi waot kiye aik achi trade lagayen apnain account k mutabiq..
          Calculation before trade....
          Hamesha trade laganain say pehlay achi tarah calculation kar lain us kbaad hi koi trade lagayen is ko money management boltay hain aur money management bht zarori hai aik trader k liye agara aap gold pr trade kar rahay hain to aap ko pata hona chaye k aap kitna lot size lagayen to woh aap kaccount k mutabiq ho ga aur agar aik pip move karay to kitna faida ho ga aur kitna loss ho ga jub aap sahi calculation kar lain tb trade lagayen ....
          Trade lagatay waqat...
          Trade lagatay waqat kuch cheezon ka khiyal rakhnan bht zarori hota hai khaas tour pr tp or sl aur in k ilawa lot size aur entry point bht matter karta hai ..analysis k doran yeah observe zaror kar lain k profit loss ki ratiokia ban rahi hai is trade main agar profit k chances ziada hain tb trade lagayen warnan rehnain dain aur doosra sb say ehm cheez hai entry point aap ko pata hona chaye k aap ko kis time trade lagani chaye aisa nan ho aap entry point miss kar dain aur baad main analysis ko byra bhala kahen ...
          Umeed hai aap ko post pasand ayi ho gi kaafi detail say bataya gaya hai...
          • #6 Collapse

            bhai hum sab janty hain ky gold trading profiable bhi hay to risky bhi hai ais lie long term trading gold karny ky liye sab sy pehly to apny skills and capital grow karna zaroori hai tab he app gold main long term trading kar sakty hy and doosra aap main sy jo bhi gold ko long term main trade karna chahta hai us ko sab sy pehly chart reading signals and news impacat sy faida uthana ana chahyee and phir us ky baad humy pehly slowly apna capital barhana chahye taky ky hum gold market main decision lay sakien and market aik baar phir zaroor apny point py wapis lotti hai likin hum ais ky liye wait tab he kar sakty hy jab humary pass capital size ziyada hoo ager deekha jaye to gold trade main faida hay bhi long term karnay kay ais main short term ky bajaye long term trade faida dati hai
            • #7 Collapse

              forex trading main gold aik aysa pair haijis main trading karna kafi risky hota hai maghr jub hum gold ki trading main acha expirence rakhty hain tu hum gold main boht achi trading kar k profitalble balnce bana skty hain es liye aghr hmain gold ki trading main long term main trading karni hai tu hmain chart main long term k time ko slect karna hota hai jub hum es method ko use karty hain tu market main hony wali changing hmari trade par boht effect karti hai es liye hmain gold ki trading main risk nahi lena chahye q k jub hum gold ki trading karty hain tu market ki taiz moving ki wjah se hmain profot or loss donu he boht fast main hoty hain tu mera khyal hai k hmain gold main long term main trading nahi karni chahye jahan tak mera khyal hai
              • #8 Collapse

                Jnb aap nain bilkul sahi kaha hai gold main insan long time trading karay to behtar hota hai q k is main movement ziada hoti hai aur yeah kam time main bht zida profit day sakti hai is liye log is ko tarjih dwtay hain pr dost jub yeah opposite chalta hai nan to markeet main aik halchal mach jati hai aur kaafi losa kar deta hai account ko wash bhi karwa sakta hai lehaza yeah aik risky trade hai is main trading karni hai to aik shart pe karain k aap ka account minimum 1000dollor ka ho jitna account barha ho ga itna profit day ga aap ko aur wash bhi ni ho ga...
                • #9 Collapse

                  Gold py trading both he risky hy Yar is py kafi sary mry doston ny apna account wash krwa chuky hain ais k Lia ap log phly gold ko study krain
                  • #10 Collapse

                    Trading On Gold In Long-term:

                    Gold par trading long term main intehaai faidy wali ho sakti hai agar aap achi tarha sey panning aur achi strategy say kaam karen. Gold bohut he arsy say expert traders ke best choice raha hai aur jo log gold par trading karna seekh lety hain wo phir kise currency par trading karna pasand nahe karty kun k gold ke trading kafi zayda faidy waali hai. Gold main long term par trading karna asaan hai aur day trading ke nisbat mushkil nahee hai. Gold par trading kay liey aap ko pata hona chahey kay kis season main gold ke demaand barh jaati hai aur gold kis season main sasta ho jaata hai. Gold ke chand malsoos maheenon main demaand barhti hai jis ke wajha sy us ke price lazman up jaati hai. Jis ka baad aahista aahista down aana suru ho jaayi hai.

                    Buy Low / Sell High
                    Gold par long term main trading karny ka aik easy tareeka ye hai kay jab market up trend main ho aur apni value jo pehly trend main high the to wahan par aap sell kar dain aur agar market us sy aur bhee oper chali jaay to again sell kar kay us ko chor dain. Jab gold down trend suru kary ga to aapko heavy profit day ga. Esi tarha jab market down trend main ho aur aap daikhin kay market ab history ka hisaab sy ab mazboot support par aa gaya hai to wahan sy aap long term kay liey buy kar sakty hain.
                    • #11 Collapse

                      اصل پيغام ارسال کردہ از: Frd08 پيغام ديکھيے
                      ap loog yahan say long time working karnay k lye ap yahan say mamrket mmay long time k lye gold mamy invest karyen or yahan say kafia auchy walai amount ko gnenrate kar skty han or is say ap ka kaam ko kafi faida mill skta ha or is say ap ko kafi support mill skti hha yaahn say
                      ap ne gold par kaam karna hai to ap ne ais mai sirf trend mai hi trade karni hai aus k liay ye hai k ap phly market ka long term trend check kary agar market ka trend up hai to ap ais mai buy lagaty jaye gay aor aus k liay aik tareeka hai.sab se phly ap ye dekhy k ap k pass balnace kitna hai aus k baad ap ne gold ki moment dekhni hai agar abi gold down aa raha hai to ais year ka low dekhy.
                      janb ap ais year ka low dekhy gay to ap ko samjh aa jaye gi k gold kaha tak down ja sakta hai aus k baad ap ne ais k low points pakarny hai jaha se gold bar bar up jata hai mean aun low points ko tor ni sakta ap ne waha se entry leni hai aor aun trades k sath na to ap ne take profit lagana hai aor na hi stop loss lagana hai.aus k baad ap ne jo trade lagai hai ausi same lot k pending orders place karny hai.
                      • #12 Collapse

                        Re: Long time investment gold main kaisay karain ?

                        Kishan ke saath kaam karna in Logon ke liye Jyada achha aur paste hota hai long time kam karne ke liye confirmation Ka Hona last me hai yahan se
                         
                        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                        • #13 Collapse

                          Re: Long time investment gold main kaisay karain ?

                          Jab aap log Forex par kaam kar rahe hote hain to aapko Yahan Par patient hone ki jarurat nahi hoti hai aap logo ko chahiye kya apas Jyada time Karke market core stability ke sath 5 Karte Rahe Jab uska original position aajaye aur aapko yahan se profit Hona start ho jaaye toh aap Log Yahan Par long time ke liye admin kar sakte hain bas aap ko thoda sa Yahan Par Apne account constable Rakhna hota hai aur thoda sa market ko Jaguar watch karte rehna chahiye karne ke liye
                           

                          اب آن لائن

                          Working...
                          X