How To Manage Loss
Loss forex trading ke aik talkh hakeekat hay aur es ko tasleem karna har kise kay liey mushkil hota hai. Lekin agar aap es hakeekat ko tasleem kar lety hain aur us ko achi tarha manage kar k trading karty hain to us main aapkay losses kafi kam ho sakty hain. Loss ko manage kesy kiya jata hai aur kis tarha sy mazeed loss sy bacha jaata hai ham aaj ye daikhty hain.
Trading Plan main loss ko manage karny ka tareeka:
Loss jesa k pehly kaha gaya hai kay trading ka hissa hay aur es sy koi bhe trader inkaari nahe kar sakta. Ab es sy nipatny ka tareeka ye hai kay aap apny trading plan main loss ko manage karny ka tareeka add karin.
Maslan aap nay trading karni hay 1000$ Kay Account sy to aap apna loss ka jo target ho ga wo 50$ sy zaida na rakhin. Yani 50$ limit ho loss ke. Us kay baad aap 4 mukhtalif Trades lagany ke koshish karin. Es tarha aik trade ka loss 12.50 set hoga. Aur phir profit aur loss ke ratio 1:2 rakhin. Es tarha jab aap ke 2 trades profit ko aur 2 loss ko hit karin ge to overall aap ke trades profit main aa jain ge.
Aap ko mera tareeka kesa laga? Aur aap apny loss ko kis tarha manage karty hain?
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим