Ham trend ko oppose kiun kertay hain?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Ham trend ko oppose kiun kertay hain?
    g dera members mainay bohat say logo ko aisay dekha hay kay woh trend kay opposite trades laga detain hay wo iss wajah say maslan gold kabhi 1280 say neechay nahi jaata tha lekin ab iska down trend tha to iss nay neechay jaana tha lekin bohat say logon nay phir bhi iss per buy lagai kay yeh bohat lowest point hay iss say neechay nahi jaaye ga
    aisa q / yeh meray saath bhi ho chukka hay or ab tak har baar hota hay tom mera aap sab say yeh sawaal hay kay aisa q hota hay?aap ka bhi ager iss baray may koi experience hay to zarur share kerain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Trend Ko Follow Na Karny Ke Wajha

    Ye zayda tar bandon ke adat hay ya un ka mind set ye hay kay market jab 1 taraf kafi zayda movement karti hay to phir us movement kay baad retrace bhe karti hay. Lekin ham logon ko bas yehi lagta hay k ab retrace ho ge aur ham us retracmnent kay chakar main trade laga dety hain.

    Solution:
    Agar aapko trend kay against trade lagany ke aadat hay to aap sirf 2 cheezon ka khayal rakhin trade lagany kay wakat to aapko es masly se chutkaara mil sakta hay.
    1. Sab se pehly trend ko identify karin. Agar aapko trend ka he pata nahi hay to aap ko trade nahi lagani chahey aur phir ye dekhna chahey k trend kis time frame main aap dekh rahy hain. Bht sary log trend D1 main dekhty hain aur chahty hain kay hamko chand ghanton main profit ho jaay to aisa nahe hota hay.
    2. Dosry nmbr pe jab aap trend ko note kar lain to aap ny te baat zehan main rakhni hay kay trend kay against to trade nahi lagani lekin sath sath acha entery point bhe dhondna hay. Ye nahi kay bas jesy he trend dekha to trade laga de. Bal kay achy point pe enter hona ha aur apna exit plan bhe sath main tiyaar rakhna ha.
    • #3 Collapse

      Bahi na theahk kaha hum log opposit trade lagata hain market ko dahk kr laken ya nahi dahkta ka market ka trend kia hai market up ha ya down is ki sab sa bari waja hai analysis nai krta nah net s analysis search krta hain kisi ka analysis lazmi study karain net s ap ko market ka maloom ho jaya hum log daily ka hisab s trading krta hain agr market ak din ka tohri s move la jaya tu hum foreign trade opposit open kr data hain asa nahi krna chaya ake agr market move krti hai is ka matlab ya nahi ka trend market ka change ho gaya wo agla 2 3 dino mai wapas apna jaga pr ah jati hai or his ki waja s huma loss ka samna krna parts hai mara sath bi asa huwa jasa hi gold tohra up gya or pr down ay tu mai na buy kia laken pr kia huwa gold or down chala gya or stop loss na lagna ki waja s account wash ho gya is lia analysis krain market ka serf mivement ko dahk kr trade buy ya sell na karian warna loss k alawa kuch nahi mila ga agr accha trader banna chata hain tu analysis lazmi karain ta ka loss s bach jayain
      • #4 Collapse

        market trend key opposite trade laga dena traders key ley dangerous ho sakta hay, trend key opposite trading karny ka reason ye ho sakta hay key traders key mind me ye hota hay key trend kesi be time change ho sakti hay kesi time market U turn be le leti hay magar es key chances bahot kam hoty hey

        esy me traders key ley esi trading bahot dangerous ho jati hay loss aur profit key 20% chances aur loss key 80% chances ho sakty hey

        successful traders ki koshish trading me risk ratio ko kam karna hota hay magar market trend ko follow na karna risk ratio ko aur be zeyda kar sakta hay.
        • #5 Collapse

          اصل پيغام ارسال کردہ از: ctanveer پيغام ديکھيے
          g dera members mainay bohat say logo ko aisay dekha hay kay woh trend kay opposite trades laga detain hay wo iss wajah say maslan gold kabhi 1280 say neechay nahi jaata tha lekin ab iska down trend tha to iss nay neechay jaana tha lekin bohat say logon nay phir bhi iss per buy lagai kay yeh bohat lowest point hay iss say neechay nahi jaaye ga
          aisa q / yeh meray saath bhi ho chukka hay or ab tak har baar hota hay tom mera aap sab say yeh sawaal hay kay aisa q hota hay?aap ka bhi ager iss baray may koi experience hay to zarur share kerain.
          Mary khayal ma AP NY bhot hi acha question poucha ha ky bhot sy members market ky Trand ky against trad lgaty ha
          Ye zayda tar bandon ke adat hay ya un ka mind set ye hay kay market jab 1 taraf kafi zayda movement karti hay to phir us movement kay baad retrace bhe karti hay. Lekin ham logon ko bas yehi lagta hay k ab retrace ho ge aur ham us retracmnent kay chakar main trade laga dety hain.to is ky leya him sub logo ko trad ko smjna hota ha phir ager him ko trans ki smja a jti ha to him log kisi bi jnb trad laga skty ha is ma koi msla nhi
          Removed by Moderator.
          • #6 Collapse

            Dear members
            Trend market ma apka dost hai lkn apko trend ko kitna rsa track krna chye yeh ma apko btata hun forex market ma apko four month sy zeyada trend ko track krna chye market ma trend long term itna he rehta hai meri observation ky mutabik apko dekhna chye ky major pairs bullish thy year ky shuru ma aor phr ab sary pair bearish hai 3 4 months sy der string hai so trend ko aik time duration ky husab sy he apko track krna chye isky elawa
            Apko multiple strategy sy market ma technical fundamental aor sentimental Analysis sy agy brhna chye
            • #7 Collapse

              Re: Ham trend ko oppose kiun kertay hain?

              Main samajhta Hoon ke short term trading case Jyada benefits new traders kohi hote hain Kyunki wo small trading Karke Samanya profit bana sakte hain aur tera apni trade close kar dete Hain Jab Se experienced aur Bade Dragon Seiko short term trading ka Jyada fayda nahi hota Kyunki Jab aap planning Karke trading karen to long term trading Karni chahiye
              • #8 Collapse

                Re: Ham trend ko oppose kiun kertay hain?

                Agar Hum Log trendline ko follow kar kar reading Karte Hain To fir Hum logo ko iska bahut hi jyada fayda hota hai isliye Hum logo ko trendline ko follow karke training Karni chahiye sir Hum Log Kafi accha profit hassil kar sakte hain
                • #9 Collapse

                  Re: Ham trend ko oppose kiun kertay hain?

                  Trend k mukhalif simmat me trade lgana bs us waqat theek hota hai jab ap ko pakka pata ho k ab trend change hony wala hai q k jab market koi trend shuru karti hai to kuch der usi trend me move karti hai.
                  Lekin agar ap ny trend k against trading lagi to ap ka account wash ho sakta hai ap ko us sy koi profit nahi mily ga lekin agar ap ko pata hai k is trend me market kafi move kar chuki hai ab trend change kary gi to ap phir trend k against trading kar sakty hai.
                  Is sy ap ko profit hoga lekin aisa hota kam hi hai k market ka trend change hony sy pehly ap ko pata lag jaye is liye wait kar k trading ki jaye to best hai.
                  • #10 Collapse

                    Re: Ham trend ko oppose kiun kertay hain?

                    Kuch log to trend kay sath is liye fight ker rahay hotay hain que kay wo nahi jantay kay trend kia cheez hay aur us ko kaisay dekha aur samga jata hay. kuch logo ko idea hota hay kay forex main trend kisay kehtay hain aur wo jantay bhi hain kay yeah trend hay lakin wo is sorat main trend kay khilaf trade laga detay hain kay shyed yahan say trend change honay wala hay aur wo new trend kay shoro main trade laga ker zayada profit earn ker len. un ki entry boht early ho jati hay aur wo trend ko oppose ker rahay hotay hain.
                    • #11 Collapse

                      Re: Ham trend ko oppose kiun kertay hain?

                      forex mai hum trend ko oppose karty hain pher he hum kamyab hoty hain forex aik bohat bara business hain hum is mai 24 ganty mai sy kese be wakt kam kar sakty hain hum is mai bager pasaio ky account bana kar be kam kar sakty hain forex aik international business hain forex trading aik aam job ke nisbat bohat ache job hain hum is mai agar tukky laga kar kam kary gy to hamy loss ho jy ga forex all world mai bohat taze sy famous ho raha hain hum is mai agar jald baze mai kam kary gy to hum kam sahe sy nahi kar saky gy or hamy loss ho jy ga or hamare sare mahnet zaya ho jy ga
                      • #12 Collapse

                        Re: Ham trend ko oppose kiun kertay hain?

                        Asalam o alikum dear ap ny bilkal tek kaha ha forex trading main hum log bagar analysis k trading karty han trend ko ni dakhty Han trading lagai jaty han hum apna zahan banaty Han ab ye ho ga market ko ni dakhty han trading karty jaty han isi waja sy jab value up chali jati ha to ja k hum sell k bajay buy kar daty or is he tahra jab nechy chali jati ha to wahan buy k bajay sell laga daty han jab k humy wahan wait karna chae ha market ki movement ko clear hony dana chae ha us k baad trade open karni chae ha is ley hum logun ko both ziada loss hota ha k hum log analysis both kam karty han ahtiayat ni karty han or apna he loss karwa daty han
                        • #13 Collapse

                          Re: Ham trend ko oppose kiun kertay hain?

                          Hamein form Pe Aisi post Karni chahiye Jis Ke quality or quantity donon Jyada honi chahie form pe Hamesha trading se related hi post karne chahiye Kitni Achhi hai Hamare post Hogi Hamein utna hi accha form se bonus Milega Is liye Hamesha form safe Forex trading se related knowledge share Karen is se aapki post key-value Jyada Hogi aur jawab bonus Milega Woh Bhi Jyada hoga
                          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                          • #14 Collapse

                            Re: Ham trend ko oppose kiun kertay hain?

                            Assalam o alaikum dear members.Bohat achi baat ki hai dear.Bilkul aisa he hai mairay samait bohat say traders trend kay against bhi trading ker rahey hotay hai or sub ka maqsad yahi hota hai kay agar market reverse keray to faida ho sakta hai.Hum jab market kay traends daikh rahey hotay hain tou saath saath hamarey xehan mai ye bhi araha hota hai kay agar trend aik dum sey change ho gaya to kahi loss nahi ho jaey.or sirf uss aik chance pay trend kay opposite trade open ki jaati hai kay agar trend reverse hua tou profit ho jaey ga.Aisa ziada ter wo traders kertay hain ji ka account balance kaafi acha hota hai.Ye baat faida bhi daiti hai kiyu kay strong balance waley traders trade ko ziada der tak apnay balance ki support sey open rakh kay wait ker saktay hai or achay waqt ka wait bhi kertay rehtay hain.low balance accounts waley traders kay liye ye aik bohat bara risk hai jo unhain bilkul nahi laina chaiye

                            اب آن لائن

                            Working...
                            X