Pivot Point forex trading mein aik bohot important aur powerful tool ha. Pivot points ki madad se ya pata chal jata ha kay market mein potential wapas hony walay points konsay hain. Aisi market jis mein uncertainty ho, us market mein pivot points bohot madadgar sabit hotay hain. Pivot points ki madad se ye bhi pata chalta ha kay market sentiments bullish se bearsh ya bearish se bullish ho gaye. Basic simple pivot ponit maloom karnay kay liye previous high, low aur close ka pata hona chahiye, jis ko is formula mein put kar kay pivot point mil jata ha; P.V=High+Low+Close/3. Is kay sath reistance, support ka bhi pata hona chahiye.
Is example mein dekha ja sakta ha kay Eur/Usd mein daily pivot point 1.22400 ha. Ab market jab bhi Support ya Resistance ye wapas ay gi to ye pivot point tay karay ga kay market ki next movement kiya hogi. Agar Resistance se wapas honay kay baad pivot point ko cross kartay huay market na support ko break kiya, to ye strong sign ha kay bearish movement start hogai aur ye movement jari rahay gi. Isi tarhan agar support se price wapas ho kay pivot point ko cross karti hui resistance ko break kar gai, to ye bullish sign ha aur bullish movement jari rahay gi.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим