Jesa kay previous thread mein discuss kiya tha kay Currencies hamesha pairs kay form mein hotay hain, Base currency aur quote currency. Ab in pairs mein se kuch Major hotay hain aur kuch ko Minor kaha jata ha. Major currency pairs wo hain, jin ki trading volume bohot ziyada ho, matlab un par trading bohot hoti ha aur in ki movement bhi bohot ziyada hoti ha. Ye currencies usually duniya ki bari economic powers ki hoti hain, jesa kay Dollar, Euro, Yen etc. Minor currency pairs woh hain jin mein itni ziyada movement nahi hoti, traders in mein zara kam hi dilchaspi letay hain e.g Turk lira, Indian Rupee etc.
Is kay ilawa Exotic Pairs bhi hotay hain, jis mein Strong economy ki currency ka pair aik ubharti hui, developing ya emerging country ki currency kay sath hota ha.

Pips aik value hoti ha jo 2 currencies kay darmiyan measurement kay liye istemal hoti ha. For example, agar Gbp/Usd na 1.3536 se 1.3537 tak move kiya, to hum kahain gy kay is na 1 pip upside move kiya, currency mein 0.001 pip ka izafa hua.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим