Usually bohot se traders small amount se trading kartay hain, specially forum ka bonus, jo kay limited hota ha aur us ko manage karna mushkil hota ha lekin ye bilkul possible ha kay even $100 se successful trading ki ja sakay.
Sab se pehlay ye baat zehen nasheen kar lein kay account size ka successful honay ya na honay se koi talluq nahi ha, beshak big accounts par profit ziyada milta ha lekin loss bhi ziyada hota ha, specially aik new trader kay liye. Dusra, aik baray account ko manage karnay kay liye pehlay ap ko small account manage karna hoga.
Ap ka focus ye hona chahiye kay mujhay aik acha trader ban'na ha, na kay jaldi jaldi paisay kamanay ki machine, jab ap aik achay trader bann gaye to paisa khud ap ki taraf aye ga.
Market mein success kay liye ap ko lazmi koi na koi popular aur achi trading strategy seekhni hogi, jesay kay Price Action Trading, trading plan banana hoga, risk ko dekhna hoga aur sab se ehem baat kay disciplined rehna hoga, market ki choti bari move se agar ap apni strategy badal dein gy to kabhi kamyab nahi hongy aur sirf strategies hi badaltay reh jain gy.
Apnay chotay trading account e.g $100 ko aisay treat karain jesay ye 1 million dollars hon. Large account aur small account dono ki management aik jesi hi ha. Hamesha small lot size se trade karain aur thoray profit ko bhi bohot janain. Forex trading aik long term career ha, is liye aj small accounts par consistent profit earn karna start karain, kal ap yaqeenan aik baray account ko manage kar sakain gy.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим