Forex trading aik risky aur unpredictable business ha, is mein market kay halaat badaltay der nahi lagti aur agar pehlay se tayari na ki ho to bhari nuqsan ho sakta ha. Khushqismati se forex traders ko stop loss and take profit ki sahulat hasil ha jis ki madad se nuqsan ko kam se kam aur faiday ko ziyada se ziyada kiya ja sakta ha.
Stop loss ko set karnay ka bohot simple logic ha, wo point jahan trader ki trading strategy khatam ho jaye gi ya kam nahi karay gi, us point kay qareeb stop loss laga dena chahiye. Dusri baat ye kay stop loss kabhi bhi support ya resistance kay qareeb na rakhain balkay darmiyan mein kisi munasib point par rakhain. Stop loss agar entry point kay qareeb ho to acha ha.
Take profit kay liye simple risk/reward ratio apply karain. Take profit realistic hona chahiye (for example $100 kay account se $100000 ka profit expect na karain). Take profit support/resistance se agay na rakha jaye balkay in kay qareeb hi rakha jaye kyun kay kai dafa support ya resistance break nahi hoti aur market bari tezi se wapas ho jati ha jis se acha khasa profit kam ho jata ha, is liye in kay qareeb target rakha jaye.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим